Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MazahiYa Shairi...!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: MazahiYa Shairi...!


    Dil main basa hai piyar tayra, ankhoon main basi hai tasveer tayri
    jab bhi ati hai yaad tayri hum dekhtay hain TOM AND JERRY

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

    Comment


    • #77
      Re: MazahiYa Shairi...!

      mast nazroon se dekh lena tha
      gar tamana thi aazmane ki
      hum to behosh yuhi ho jatta
      kya zarorat thi muskurane ki

      ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
      tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

      Comment


      • #78
        Re: MazahiYa Shairi...!


        Mery Ungli Pakar Lena Mujhe Dhakka Nahi Dena
        Hai Joda Aik He Mere Paas Isay Khonay Se Darta Hoon
        Ye Jab Se Khwab Dekha Hai Tumhare Abbo Ganjay Hain
        Main Ab Darta Hoon Shadi Se, Dulha Bannay Se Darta
        Hoon

        ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
        tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

        Comment


        • #79
          Re: MazahiYa Shairi...!

          Originally posted by naz
          ChanD RaaT Kp BeGuM Ne KaHa , BaZaaR Jaaiye
          AuR Le Aaiye Iss Print Ke Saath Ka Print
          Bazaar Kya Gaye Ke "PRINTOO'N" Main Kho Gaye
          Chehrey Pe Le Ke Aa Gaye Ik Haath Ka Print
          :kr: :kr:
          :roseENIGMA:rose

          Comment


          • #80
            Re: MazahiYa Shairi...!

            Originally posted by naz

            Dil main basa hai piyar tayra, ankhoon main basi hai tasveer tayri
            jab bhi ati hai yaad tayri hum dekhtay hain TOM AND JERRY
            :lol :lol :lol
            :roseENIGMA:rose

            Comment


            • #81
              Re: MazahiYa Shairi...!

              Originally posted by naz
              Aik Hamarey Dost Hain Moalana Hain
              ham ne Unn ki Paarsaayi Dekh li
              Foto Ik Taaweez mein rakhtey Hain
              "jab Zara Gardan jhukaati Dekh li"
              :lol :lol :kr:
              :roseENIGMA:rose

              Comment


              • #82
                Re: MazahiYa Shairi...!


                milawat ka idhar dhanda jo pehle tha woh aaj bhi hai
                zawabit ka idhar phanda jo pehle tha woh aaj bhi hai

                agarche har muhalle mein hai masjid qaim daim
                magar tameer ka chanda jo pehle tha woh aaj bhi hai

                muhazab sari dunya ho gaii taleem tuflaa'n mein
                yahan ustad ka danda jo pehle tha woh aaj bhi hai

                tamanna car, kothi ho to kar khidmat smuggler ki
                bara ye kaargar banda jo pehle tha woh aaj bhi hai

                urrate phir rahe hein gulcharey har soo nazar waley
                choraahe mein khara andha jo pehle tha woh aaj bhi hai

                khudawand farishton ki to bas chandi hi chandi hai
                azal se muztarib banda jo pehle tha woh aaj bhi hai

                bitha kar god mein apni kaha mujnoo ki mummy ne
                nira pagal mera chanda jo pehle tha woh aaj bhi hai

                bazahir aashqi ke sab syllabus parh liye ham ne
                nateeje mein wohi anda jo pehle tha woh aaj bhi hai

                musalsal jang ke badal mussalat hote rehte hein
                magar UN ka agenda jo pehle tha woh aaj bhi hai...

                ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                Comment


                • #83
                  Re: MazahiYa Shairi...!

                  Originally posted by naz

                  ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

                  Hathi nay kaha ja kar hathni ki kabar per
                  Sadqay jaoon tumhari patli kamar per


                  ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

                  Tum bhi becahara,hum bhi becahara
                  Fittay mu tumhara,fittay mu hamara


                  ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

                  Dil kay armaa aanso'on may beh gaye
                  Un kay bachay hamay mamu kah gaye


                  ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

                  Hum nay usay dekha angle badal kar
                  Us nay hamay mara sandle badal kar


                  ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

                  Khuda karay sab haseenaao ke baap mar jaeen
                  Maut ka bahana ho aur hum in kay ghar jaeen


                  ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

                  Ishq kay samander main ghota lagaya
                  Pani both thanda tha main bahar nikal aya


                  ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

                  Un ki gali say guzray,ajab ittefaq tha
                  Unho nay phool phanka,gamla bhi saath tha


                  ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

                  nakam muhabbat ka har eik dukh sehna..
                  .har haal main anjam se darte rehna
                  Qudrat ka barra anjam hai jaidi........
                  mehbooba ki olad ka "mamoon" kehna!


                  ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

                  dil karta hai keh uss kay nazook hontoon koo chuum loonnnnn
                  magar uss kee behteee hooyee naak nay meraa iradaa hee badal diyaaa

                  ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

                  chandni chand se hogi to sitaroon ka kiya ho ga
                  mohabbat eik se hogi to hazaroon ga kiya ho ga


                  ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

                  Teray husn ki kia taareef karoo?tera bander jaisa mu
                  Teri zulfo ki kia tareef karoo?teray ek ek baal pe joon


                  ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

                  Mohabbat mujhay un jawano se hai
                  Jo khatay peetay gharano se hain


                  ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

                  Aj bagh may kali hai, kal gulaab ho ga
                  Mujh se shadi karlo,tum ko sawab ho ga


                  ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
                  last wala acha hai :blush:

                  :kr::kr:

                  Comment


                  • #84
                    Re: MazahiYa Shairi...!

                    Originally posted by pagla
                    Humain yahan famouse honay ke liye kuch wakat to darkaar hai he, so kuch na kuch kaheen na kaheen share kartay he rehna hai aap doston ke liye......:eye:

                    so enjoye karain...

                    ISS SE PEHLEY KE GHAR KE PARDOAN SE
                    TEADY PATLOON KOI SILWA LOON
                    ISS SE PEHLEY KE TUJH KO DE KER DIL
                    TEREY KOOCHAY MEIN KHUD KO PITWA LOON
                    ISS SE PEHLEY KE TERI FARQAT MEIN
                    KHUD-KUSHI KI ISKEEM APNA LOON
                    ISS SE PEHLEY KE AIK TERI KHATIR
                    NAAM GUNDOO'N MEIN APNA LIKHWA LOON


                    MEIN TERA SHEHAR CHORR JAON GA

                    TUJH KO AAGAH KIYON NA KER DOON MEIN
                    APNEY ISS INTIZAAM SE PEHLEY
                    MASHWARA'H BHI TUJH-HI SE KERNA HAI
                    APNI MARG-E-HARAAM SE PEHLEY
                    KOI AISI TRAIN BATLA DEY
                    JAY JO TAIZ-GAAM SE PEHLEY
                    AAJ ISS DINNER KO BHUGTA KER
                    KAL KISI WAQT SHAAM SE PEHLEY

                    MEIN TERA SHEHAR CHORR JAON GA
                    MEIN TERA SHEHAR CHORR JAON GA

                    Thanks.....

                    :kr::kr::kr:

                    Comment


                    • #85
                      Re: MazahiYa Shairi...!

                      Originally posted by naz
                      jhot bolna gunah hai :khi:
                      mai tabhi nahi bolti :blush:

                      Comment


                      • #86
                        Re: MazahiYa Shairi...!

                        Originally posted by naz
                        :kr:
                        :wk thanx janam

                        Comment


                        • #87
                          Re: MazahiYa Shairi...!

                          Originally posted by naz
                          :lol :lol :lol :kr:
                          i love you

                          Comment


                          • #88
                            Re: MazahiYa Shairi...!

                            Originally posted by khurram_shaikh
                            Assalaam o alekum,

                            sabnien hi kuch naa kuch pesh kiyaa hai to mainien soochaa main bhi kuch haazir karoon aap sabki khidmat mien :lol :lol :lol


                            Tu chandramukhi main surajmukhi,
                            tu mujhse dukhi main tujhse dukhi.
                            Chatt se chhalang laga de,
                            phir tu bhi sukhi, main bhi sukhi



                            Suraj Hua Madham , chand bhi chalne laga,
                            mein thehra raha, zamin chalne lagi, sajna kya yehi pyaar hai ??
                            Nalayak, yeh pyar nahi EARTHQUAKE hai ! BHAAG



                            Pyaar ke jaam ko aise na piyo,
                            ke Adha piya aur adha chhor diya
                            Yaaron yeh pyaar hai pyaar
                            Nahin koi Vim Bar
                            Jo thodasa lagaya aur bas hogaya.......!!
                            :lol:lol:phool:

                            Comment


                            • #89
                              Re: MazahiYa Shairi...!

                              Originally posted by naz



                              Aisa bhi nahin hai ke

                              I don't like your face.

                              Par dil ke storage mein

                              no more disk space...

                              Ghar se jab tum nikale

                              pehen ke reshmi gown.

                              Jaane kitne dilon ka

                              ho gaya server down...

                              Jabse meri zindagi mein,

                              aayi hai ik female.

                              Bhool gaya hai sab kuchh

                              kya mailbox, kya e-mail...

                              Dil se ek ishq ki

                              application create kar raha hoon.

                              Pyaar se debug karna

                              mein wait kar raha hoon...

                              Tumhaare intezaar mein

                              neend aayee so gaya.

                              Yeh dekho mera connection

                              time out ho gaya...

                              Kal jab mile thhe

                              to dil mein hua ek sound.

                              Aur aaj mile to kehte hain

                              your file not found!

                              Jo muddat se hota aaya hai,

                              woh repeat kar doonga...

                              Tu naa mili to apni zindagi

                              ctrl+alt+delete kar doonga...

                              Shayad mere pyar ko

                              taste karna bhool gaye...

                              Dil sey aisa cut kiya

                              ke paste karna bhool gaye...

                              Laakhon honge nigaah mein

                              kabhi mujhe bhi pick karo...

                              Mere pyaar ke icon pe

                              kabhi to double-click karo...

                              Roz subha hum karte hain

                              pyar se unhe good morning...

                              Woh aise ghoor ke dekte hain

                              jaise 0 errors aur 5 warning...

                              Nazar mein to kai hain

                              aur shaayad lonely hain...

                              Problem yehi hai ki voh

                              ab read only hain..
                              :kr::kr:

                              Comment


                              • #90
                                Re: MazahiYa Shairi...!

                                Originally posted by naz
                                :kr::kr:

                                Comment

                                Working...
                                X