Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

    ^^49: Acha hai na k aap iss daur mey paida ho gaye hein, aur aaj k daur mey tau pehley khud musalmano ko deen ki raushni sey rosshanass kerna zaroori hai :-)

    du'az for you !!

    n dont worry mey yahan koi sawal nahi kerney ayi :lol bas perhney ayi thi, I really liked your idealism wala jawab. (Y) btw ye computer k zarye istekhara kaisey hota hai. mey ney pehli baar suna :-D
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

      Bas aik ajeeb-O-ghareed khuwaish ka poocha tha tou share kardi, waisay bhi hum iss qabil kahan kay kisi ko rosnhi say nawazain hum tou khudh zulmatoon ka musaafir hain!! bas ALLAH SWT hum sab ko haq ki raah per chalnay ki toufeeq ata farmayay AMEEN

      Aap kay liye dhairoon duwayain :)

      Originally posted by Z. View Post
      ^^49: Acha hai na k aap iss daur mey paida ho gaye hein, aur aaj k daur mey tau pehley khud musalmano ko deen ki raushni sey rosshanass kerna zaroori hai :-)

      du'az for you !!

      Question kar lain koi harj nahin, abhi pooray 8 din aur baaqi hay deadline main :lol

      Idealism ko sahi samajha jayay tou humaray bohat say masayil ka hal ho sakta hay asaani say!

      Mujhay bhi jaan kar bohat hayrat hoyee thi, humaray aik dost nay shaadi kay iraaday say aik Imam (Masjid ka naam aur pata main day sakta hoon) say rabta kiya, aur Istikhaara ka tareqa daryaaft kia... unhoon nay uss say uss kay honay waali biwi ka nam poocha aur dono kay naam computer main aik software main feed kar diye aur subah Fajr ki namaz masjid main paRhnay ka kaha aur Fajr kay baad bata diya kay yeh laRki aap kay liye behtar nahin!!!

      [QUOTE=Z.;1168681
      n dont worry mey yahan koi sawal nahi kerney ayi :lol bas perhney ayi thi, I really liked your idealism wala jawab. (Y) btw ye computer k zarye istekhara kaisey hota hai. mey ney pehli baar suna :-D[/QUOTE]
      sigpic

      Comment

      • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

        Originally posted by thefire1 View Post
        Bas aik ajeeb-O-ghareed khuwaish ka poocha tha tou share kardi, waisay bhi hum iss qabil kahan kay kisi ko rosnhi say nawazain hum tou khudh zulmatoon ka musaafir hain!! bas ALLAH SWT hum sab ko haq ki raah per chalnay ki toufeeq ata farmayay AMEEN

        Aap kay liye dhairoon duwayain :)
        Ameen!

        Khata'oN sey paak insaan nahi farishtey hotey hein. Mera zati khayal ye hai k kisi bhi stage pe ham kyun na hon, ham zaroor doosron ko kuch na kuch sekha saktey hein. Jaisey aap apni student life mey aik tutor bhi rahey ... yani zaroori nahi k jadoo ki charri sey her cheez theek ker di jaye balkey chotey chotey step le ker bhi tau doosrey logon ki zindagiyon mey roshni bhari ja sakti hai :-)

        Idealism ko sahi samajha jayay tou humaray bohat say masayil ka hal ho sakta hay asaani say!

        Iss pe aik thread hi laga detey hein :-D

        Mujhay bhi jaan kar bohat hayrat hoyee thi, humaray aik dost nay shaadi kay iraaday say aik Imam (Masjid ka naam aur pata main day sakta hoon) say rabta kiya, aur Istikhaara ka tareqa daryaaft kia... unhoon nay uss say uss kay honay waali biwi ka nam poocha aur dono kay naam computer main aik software main feed kar diye aur subah Fajr ki namaz masjid main paRhnay ka kaha aur Fajr kay baad bata diya kay yeh laRki aap kay liye behtar nahin!!!

        :-D

        -mujhey bas aap uss software ka naam bata dein 372-shock

        Question kar lain koi harj nahin, abhi pooray 8 din aur baaqi hay deadline main :lol
        okay :-D

        - Aap koi series dekhtey hein like HEROES etc :-D
        - Insaan ki zindagi mey uss ki soch ka kitna amal dakhal hota hai?
        - Pakistan ki tamam siyasi rahnumaoN sey kuch kehna perh jaye tau wo kya ho ga? :-D
        - Jab aap zehni taur per thak jatey hein tau kya kertey hein?
        Last edited by Z.; 23 October 2009, 19:47.
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

          Bohat hi achi aur sachi baat kahi aap nay aur main aap ki iss soch say itifaaq-e-rai rakhta hoon. Isi liye humain koshish karni chayeh kay sahi aur sachi baat khahain aur ussi per amal karain taakay aap duniya kay liye aik misaal aur aakhirat kay liye apni rahain humwaar kar sakain!

          Originally posted by Z. View Post
          Khata'oN sey paak insaan nahi farishtey hotey hein. Mera zati khayal ye hai k kisi bhi stage pe ham kyun na hon, ham zaroor doosron ko kuch na kuch sekha saktey hein. Jaisey aap apni student life mey aik tutor bhi rahey ... yani zaroori nahi k jadoo ki charri sey her cheez theek ker di jaye balkey chotey chotey step le ker bhi tau doosrey logon ki zindagiyon mey roshni bhari ja sakti hai :-)
          Jee jee zaroor lagayeh, INSHALLAH mujhay aur sab ko bohat kuch seekhnay ka mouqa milay ga, laikin main aisay thread GUPSHUP main laganay say mutafiq nahin hoon, agar ho sakay tou HALA jee say request karain kay woh GENERAL DISCUSSION ka aik section open karain jiss main hum aisay hi bohat say topic discuss kar saktay hain, aap senior member hain aap ki baat woh taalain gi nahin, main naya member hoon aur main koi aisa impression nahin daina chata hay aatay saath hi tabdeeliyon ki baat kar raha hay... :lol

          Originally posted by Z. View Post

          Iss pe aik thread hi laga detey hein :-D

          Woh tou mujhay bhi nahin pata, sach much :)

          Originally posted by Z. View Post

          :-D

          -mujhey bas aap uss software ka naam bata dein 372-shock
          1. Nahin series tou shouq say nahin dekhi haan quiz program kaafi regularly dekhta hoon "Are you smarter than a fifth grader?" aur uskay ilaawa comedy serials aksar dekhta hoon regularly nahin such as "The King of Queens", "Everybody loves Raymond" etc.

          2. Meray khayal main infiraadi soch khatarnaak saabit hosakti hay, kiyonki hum baaz auqat apni taraf say koi kaam soch kar uss per amal kartay hain aur humain ehsaas nahin hota kay iss ka anjaam kia hoga, waisay future ko koi predict nahin karsakta magar humesha koi bhi faisla karnay say pehlay apni soch ko shamil karnay kay saath saath kisi ka mashwara laina bohat zaroori hota hay, yehi tareeqa humain Nabi-e-Karim SAW nay samjhaya, yeh topic bhi wasee hay iss kay liye bhi aik thread bana hi lain aap :) Meri baat kay infiraadi soch khatarnak hosakti hay ki misaal aisay doonga kay agar humain pata hay kay cigrette peena ghalat hay magar hum apni SOCH KO MAD-E-NAZAR rakhtay huway peetay hain aur beemari ko apni nazar rakhtay hain, traffic kay qawaneen humari saftey kay liye banayain apni soch say ussay touRtay hain aur apnay saath saath auroon ki zindagi ko bhi khatray main daaltay hain... Infiraadi soch ka humari zindagi per asar bohat khatarnaak hosakta hay!!!

          3. ISLAM ko apni zindagi aur siyasi mamlaat main shamil karain aur KHOUF-E-ILAHI paida karain kiyonki khuwa kitni hi zindagi main ayash kiyon ka kar lain bilakhir MOUT ka zaiqa aap ko chakna hay!

          4. Sooo jaata hoon yaa kuch daair dehan bata kar aankhain band kar laita hoon chayhe 10 minute kay liye hi kiyon na ho:)

          Originally posted by Z. View Post
          - Aap koi series dekhtey hein like HEROES etc :-D
          - Insaan ki zindagi mey uss ki soch ka kitna amal dakhal hota hai?
          - Pakistan ki tamam siyasi rahnumaoN sey kuch kehna perh jaye tau wo kya ho ga? :-D
          - Jab aap zehni taur per thak jatey hein tau kya kertey hein?
          sigpic

          Comment

          • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

            shukrya thefire bro.

            - Jitney bhi serious topics hein wo Behiss Mubahissa sec. mey post kiye jatey hein. Jo k current affairs k sath sath gird-o-nawah k mukhtalif mauzaat pe baat kerney k liye banaya gaya tha/hai :-)

            btw Pegham pe naye pauraney members sabhi equal hain :-D, aap jab chahein kisi bhi tabdeeli koi bhi suggestion de saktey hein. AZ team yaqeenan suggestion dekhti hai ye nahi k naye member ney kaha hai k pauraney ney :-D

            and m v curious about that software LOL ... khair ! :-D

            have a good time around :thmbup:
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment

            • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

              :)
              sigpic

              Comment

              • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                Assalam o Alaikum WR WB Fire Sahab...

                Bohat hi achay jawabaat diya aap ne....Aap kay jawabaat parh ker aap ki ala soch ka andaza hota hai...
                Aap ko jaaan ker aur aap se mil ker khushi hoi...
                Allah Paak aap ko zindagi kay her imtihaan main kamyabi ata karay ameen sumameen..
                Khush rahain :)

                میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا

                میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                Comment

                • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                  Walaikum Assalaam Mehwish

                  Aap jaisay ala fikar aur soch rakhnay waalay member say aisay alfaaz aana waqayi aik aizaaz ki baat hay, main nay zindagi say jo kuch seekha ussay yahan share kardiya aur mazeed seekhnay ki justajoo hay... Koi bhi insaan perfect nahin hosakta aur achi baatain seekhnay ka silsila tou martay dam tak chlata rehta hay.

                  Aap ki purkhuloos response aur duwayoon ka liye main aap ka behadh mamnoon hoon aur aap kay liye aur aap kay family kay liye bhi duago hoon kay ALLAH SWT aap sab ko apni hifz-O-amaan main rakhay AMEEN

                  Apni duwayoon main iss khaksaar ko yaad rakhyeh ga.

                  fi Amaan ALLAH
                  sigpic

                  Comment

                  • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                    Tamam Bhaiyoon aur Mr. Khan ki Behnoon :lol Ms. Khan ko chouR kar offcourse!!!

                    Aaj aakhri din hay, jo bhi sawaal karnay hay, jald keh daalain, aaj ka din main koshish karoon ga kay sab kay sab jawaab day daloon, haan agar koi sawaal nahin tou koi gham nahin... kehtay hain nay "NO NEWS is GOOD NEWS" :)
                    sigpic

                    Comment

                    • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                      Originally posted by thefire1 View Post
                      Tamam Bhaiyoon aur Mr. Khan ki Behnoon :lol Ms. Khan ko chouR kar offcourse!!!

                      Aaj aakhri din hay, jo bhi sawaal karnay hay, jald keh daalain, aaj ka din main koshish karoon ga kay sab kay sab jawaab day daloon, haan agar koi sawaal nahin tou koi gham nahin... kehtay hain nay "NO NEWS is GOOD NEWS" :)
                      :-D

                      I would say k hamesha issi tarhan achi achi postings pegham pe kartey rahien, khush rahein and wish you well in your upcoming projects in'shaAllah
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment

                      • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                        Assalaam-O-Alaikum

                        Let me take this opportunity to THANK the administration of this forum for giving me the opportunity and for being very kind enough to posting this THREAD.

                        Main aap sab say maazrat khuwaa hoon agar meri kisi bhi baat say aap main say kisi ko bhi koi takleef poohanchi ho, meray liye yeh forum aik seekhnay aur seekhanay ka zarya hay aur main INSHALLAH bharpoor koshish karta rahoon ga kay SACHI aur ACHI baatain aap sab say sachayi kay saath share karoon, kiyon yeh alfaaz aik AMAANAT hay aur HAQ ki baat karnay say humain kabhi bhi sharam mehsoos nahin honi chayeh.

                        HALA jee aap ka aur Mr. Khan aap ka bohat bohat shukriya kay aap nay iss khaksaar ko iss qabil samjha.... baqi unn tamam memebers ka bhi bohat bohat shukriya jinhoon nay iss INTERVIEW ko paRha, aur apnay khoosburat alfaazaoon say nawaaza.

                        Khush rahyeh,

                        May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                        Aap ki duaoon ka talabgaar, ek khaksaar

                        Fi Amaan ALLAH
                        S. Mohammad ALI

                          Allah ap ko bhee khush rakhe or aise hi humare beech khushi khushi rahein or baht si kamyabiya bhee milein

                          thanks for being with us and for giving ur time fire wale bhai teddy
                          Last edited by mano_billi; 1 November 2009, 10:18.

                          Comment

                          • Re: In The Spotlight ~*theFire1 ji~*

                            Dear S. Mohammad Ali ji,

                            Ummid hai apka maheena pegham interview spotlight mein acha guzara hoga.
                            apki bari mein kafi jaan kar buht acha laga....
                            or jitna be appni hosilmandi sy kaam liaa aur sawalo ka jawabat apni uniqe way sy sab ki samni pesh kia.... buht shukria. :rose
                            issy hai pegham ki sath dety rahi or zindagi mein aur be tarqee kari aur ALLAH talah ki hifzo amaan mein rahien.AMEEN

                            on the behlaf of Administration team and Pegham memberz... big thank you.

                            be happpy alwayz.
                            ALLAH HAFFIZ.
                            Last edited by *Hala*; 1 November 2009, 18:57.
                            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                            :pr:

                            Comment

                            Working...
                            X