Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Controversial Question

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • RulzZ
    replied
    Re: Controversial Question

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    to phir jab un ka qabza khatam howa to wahaN kay sab loog aazad kehlaiN gaiy na :shyy:
    je bilkul :shyy:

    Leave a comment:


  • RulzZ
    replied
    Re: Controversial Question

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    Je haan :shyy:
    to phir jab un ka qabza khatam howa to wahaN kay sab loog aazad kehlaiN gaiy na :shyy:

    Leave a comment:


  • RulzZ
    replied
    Re: Controversial Question

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    w/salam,

    kia angrez hindustaan par QABIZ tha? :shyy:
    Je haan :shyy:

    Leave a comment:


  • chaand_nager
    replied
    Re: Controversial Question

    Originally posted by Admin View Post
    Zoniash aur MindFreak - aap dono ko is thread mein mazeed kuchh likhney ki ijazat nahin!

    ok mager yeh insaaf nhe hain admin g is liya k main usmanistaan per baat ker rahi the is k siwa kuch nhe fazol batain kisi aur ny start ki the any way ap ka hukam sir ankhun per :embarasse

    Leave a comment:


  • Admin
    replied
    Re: Controversial Question

    Zoniash aur MindFreak - aap dono ko is thread mein mazeed kuchh likhney ki ijazat nahin!

    Leave a comment:


  • RulzZ
    replied
    Re: Controversial Question

    Originally posted by Admin View Post
    Assalamo allaikum :)

    Ham 14. August 1947 ko Pakistan ki AAZADI ka din kehtey hain. Kya yeh waqiyey hamari AAZADI ka din hai ya aik naii state ki birth ka din hai?
    w/salam,

    kia angrez hindustaan par QABIZ tha? :shyy:

    Leave a comment:


  • Mirza Ghalib
    replied
    Re: Controversial Question

    Originally posted by Admin View Post
    Assalamo allaikum :)

    Sab sey pehley to tumaam ahl-e-watan ko Pakistan ki 62ween saalgirah mubarik ho

    Ab aatey hain merey controversial sawaal ki janib....


    Ham 14. August 1947 ko Pakistan ki AAZADI ka din kehtey hain. Kya yeh waqiyey hamari AAZADI ka din hai ya aik naii state ki birth ka din hai?

    Kya ham is din AAZAD huwey they? Pakistan ba'haisiyat STATE kis ki ghulami mein tha jo 14 august 1947 ko aazad huwa tha? (iskey bar'aks ham Hindustan, India ya Bharat ki aazadi ka din 15 august kah saktey kyun keh India -as state- pehley sey mojood tha).

    Meri naqis raaey mein yeh lafz istimaal karna mozuu nahin keh hamein AAZADI mili thi, kyun keh us sey pehley Pakistan ba'haisiyat aik state mojood nahin tha! Pakistan ko ba'haisyat state 14 august 1947 aur uskey baad tasleem kiya geya hai - lehaza meri naqis raaey mein hamein Pakistan ki Pedaish ka din kehna chahiyey - aur har saal jo manatey hain, issey Pakistan ki Saalgirah key taur per mana chahiyey - na keh aazadi key taur per!

    What do you say?
    lolsssss ... ghoomta firta awara gard ki dairy ki tarah aaj fir socha kisi ko tease ker loon.
    wesay seriously keya ham azad hain?
    meri baat aap ko talakh to bohat lagti hai magar main aap ki har baat ko teh dil say kabool bhi kerta hun chahay aap mujhay "begherat" hi kyon na keh dein,jis ki aik wajah hai jo aap kabhi nahi samajh sakein ge.
    Britishers say azadi miltay hi ham khush ho gey magar howa keya ke ham IMF ki ghulami main chalay gey.keya pakistan ka bacha bacha IMF ka ghulam nahi hai?wo kehtay hain ke patrol ki keemat barhao to ghulamo ki tarah sar tasleem kham ker ke keemat barha di jaati hai.wo kehtay hain ke bijli ki keemat zeada karo to sar jhuka ke ghulamo ki tarah bijli ki keemat zeada kar di jaati hai.aur aik aik pakistani usi keemat par wo mazkoora cheez kharidta hai.koyi ehtajaj nahi.
    General ayoub kay zamnay main sugar ki keemat shayad aik "ana" barhi thi to log sarkon par nikal aye thay aur us ko kutta ke khatab say nawaz diya.aaj sab khamosh hain koyi ehtajaj nahi,aur yeh rawaiya ghulamon ka hota hai.
    yeh azadi aik sarab hai.jesay sehra main sarab dekh key piyasa khush ho jata hai kay paani mil geya magar wo paani hota nahi... wesay nazar to ata hai kay ham azad hain magar indirectly ham azad nahi ghulam hain.
    mera jawab dekh kay aap ko fir ghussa awe ga ...........lols
    shayad fir begherat keh daalein.to janab ham to aap kay chahnay walon main say hain aap jo kahein ham sun'nay ko tayyar hain :dance5:

    Leave a comment:


  • aabi2cool
    replied
    Re: Controversial Question

    Originally posted by zoniash View Post
    to daant nekalne wali kia baat hain is main
    :d:

    Leave a comment:


  • chaand_nager
    replied
    Re: Controversial Question

    Originally posted by aabi2cool View Post
    han parha main nayyy372-haha
    to daant nekalne wali kia baat hain is main

    Leave a comment:


  • aabi2cool
    replied
    Re: Controversial Question

    Originally posted by zoniash View Post
    main tay day deta hain ans
    han parha main nayyy372-haha

    Leave a comment:


  • chaand_nager
    replied
    Re: Controversial Question

    main tay day deta hain ans

    Leave a comment:


  • aabi2cool
    replied
    Re: Controversial Question

    Originally posted by *khushi* View Post
    insaan ke liyee maan sab say mukaddas hasti hoti hai ..or yay dherti yay watan hamaara maan hain ...aor kisi ka apni maan kay kirdaar kay kissi bhi pehlo per shak kerna yakeenan kitna ghair munaasib .
    آپ خواہ مخواہ میں جذباتی ہورہی ہیں اور جزبات کی رو میں بہہ کراصل سوال کو بھول گئی ہیں یہاں کسی نے کسی کے کردار کی بابت اپنی تشویش کا اظہار نہیں کیا بلکہ یہاں پر منفرد انداز اختیار کرتے ہوئے بڑئے ہی خوبصورت پیرائے میں ایک ایسا سوال اٹھایا گیا ہے جو کہ ایک عرصے سے ہر پلیٹ فارم پر موضوع بحث رہا ہے لہزا آپ اس کا جواب دیجیئے ۔ ۔

    Leave a comment:


  • naveed iqbal
    replied
    Re: Controversial Question

    Originally posted by Admin View Post
    Assalamo allaikum :)

    Sab sey pehley to tumaam ahl-e-watan ko Pakistan ki 62ween saalgirah mubarik ho

    Ab aatey hain merey controversial sawaal ki janib....


    Ham 14. August 1947 ko Pakistan ki AAZADI ka din kehtey hain. Kya yeh waqiyey hamari AAZADI ka din hai ya aik naii state ki birth ka din hai?

    Kya ham is din AAZAD huwey they? Pakistan ba'haisiyat STATE kis ki ghulami mein tha jo 14 august 1947 ko aazad huwa tha? (iskey bar'aks ham Hindustan, India ya Bharat ki aazadi ka din 15 august kah saktey kyun keh India -as state- pehley sey mojood tha).

    Meri naqis raaey mein yeh lafz istimaal karna mozuu nahin keh hamein AAZADI mili thi, kyun keh us sey pehley Pakistan ba'haisiyat aik state mojood nahin tha! Pakistan ko ba'haisyat state 14 august 1947 aur uskey baad tasleem kiya geya hai - lehaza meri naqis raaey mein hamein Pakistan ki Pedaish ka din kehna chahiyey - aur har saal jo manatey hain, issey Pakistan ki Saalgirah key taur per mana chahiyey - na keh aazadi key taur per!

    What do you say?
    w/salam
    ap ki bat kafi had tak sahi hy
    laken jb 14august ko pakistan aazad hoa tha us waqt to ye aazadi ka din hi tha.badqismati se baad me aany waly hukmerano ne is ko pher ghulam bena diya.
    ab dekhty hain hamari kharja policy kab change hoti hy.

    Leave a comment:


  • saraah
    replied
    Re: Controversial Question

    Originally posted by *khushi* View Post
    ye jooo amir jee hain inse aik promise hai mera ke gupshup mei replies karte waqt seedha ee he likhungi
    coz putahy eee s eunko irritation hoti hai
    thts yyyyy

    agr me baal ki khaal utaaroon gi tou tum larrai karo gi ,aur admin ka topic b khraab hojaye ga ...so leave it :wk

    Leave a comment:


  • aabi2cool
    replied
    Re: Controversial Question

    assalamo allaikum :)

    sab sey pehley to tumaam ahl-e-watan ko pakistan ki 62ween saalgirah mubarik ho
    میری طرفسے بھی مسعود بھائی آپکو اور تمام پیغامینز کو بہت بہت جشن آزادی مبارک
    ....


    ham 14. August 1947 ko pakistan ki aazadi ka din kehtey hain. Kya yeh waqiyey hamari aazadi ka din hai ya aik naii state ki birth ka din hai?

    Kya ham is din aazad huwey they? Pakistan ba'haisiyat state kis ki ghulami mein tha jo 14 august 1947 ko aazad huwa tha? (iskey bar'aks ham hindustan, india ya bharat ki aazadi ka din 15 august kah saktey kyun keh india -as state- pehley sey mojood tha).
    Meri naqis raaey mein yeh lafz istimaal karna mozuu nahin keh hamein aazadi mili thi, kyun keh us sey pehley pakistan ba'haisiyat aik state mojood nahin tha! Pakistan ko ba'haisyat state 14 august 1947 aur uskey baad tasleem kiya geya hai - lehaza meri naqis raaey mein hamein pakistan ki pedaish ka din kehna chahiyey - aur har saal jo manatey hain, issey pakistan ki saalgirah key taur per mana chahiyey - na keh aazadi key taur per!

    What do you say?
    اب آتے ہیں آپکے سوال کے جواب کی طرف جہاں تک آپ کا یہ کہنا ہے کہ یہ دن ایک نئی ریاست کے وجود میں آنے کا دن ہے لہذا اسے ریاست کے جنم دن کے طور پر منانا چاہیے تو آپ کا یہ کہنا بالکل بجا ہے ۔ کہ بلا شبہ یہ دن دنیا میں ریاست مدینہ کے بعد دوسری واحد نظریاتی ریاست کے وجود میں آنے کا دن ہے ۔۔ ۔ اور جہاں تک آپ کا یہ کہنا ہے یمیں اس دن کو پاکستان کی برتھ ڈے کے طور منانا چاہیے نہ کہ آزادی کے دن کے طور پر . . .. . کیونکہ آپ کی نظر میں پاکستان تو 14 اگست سے پہلے وجود میں ہی نہیں تھا سو اس کی غلامی چہ معنٰی دارد ؟؟؟؟؟ تو ہمیں آپکی اس بات سے اختلاف ہے ۔ ۔ ۔ ۔
    دراصل یہاں آپ کا زہن ایک الجھن کا شکار ہے اور آپ ایک نظریاتی ریاست کے وجود میں آنے کو فقط جغرافیائی اعتبار سے دیکھ رہے ہیں یہ نہیں دیکھ رہے کہ ان جغرافیائی حدوں کی آزادی کے پیچھے جو نظریہ تھا ، یہ اس نظریے ہی کا کرشمہ تھا کہ ان جغرافیائی حدوں کو آزادی ملی ۔ ۔ ۔ ۔اور یوں جغرافیائی حدوں کی آزادی در اصل اس نظریئے کی آزادی تھی کہ جسے ایک پوری قوم نے ایک عظیم لیڈر کی سربراہی میں پایا تکمیل تک پہنچایا تھا ۔ ۔ ۔
    یہ سچ ہے کہ یہ دن دنیا میں ایک نئی ریاست کے وجود میں آنے کا دن ہے سو اس لحاظ سے یہ ایک ملک کی سالگرہ کا دن ہے مگر اس ملک کے وجود میں میں آنے کے پیچھے جو نظریہ ہے . . .
    اس لحاظ سے ہم یہ کہہ سکتے ہیں کے 14 اگست کو ہمیں بحیثیت قوم دوسری قوموں کی غلامی سے آزادی پاکستان کی برتھ کی صورت میں ملی سو اس لحاظ سے یہ دنیا میں ایک نئے ملک کے معرض وجود میں آنے کا بھی دن ہے اور ایک قوم کو دوسری قوموں کی غلامی سے آزادی کا بھی دن ہے ۔ ۔ ۔ ۔
    Last edited by aabi2cool; 14 August 2009, 17:21.

    Leave a comment:

Working...
X