Assalamo allaikum :)
Sab sey pehley to tumaam ahl-e-watan ko Pakistan ki 62ween saalgirah mubarik ho
Ab aatey hain merey controversial sawaal ki janib....
Ham 14. August 1947 ko Pakistan ki AAZADI ka din kehtey hain. Kya yeh waqiyey hamari AAZADI ka din hai ya aik naii state ki birth ka din hai?
Kya ham is din AAZAD huwey they? Pakistan ba'haisiyat STATE kis ki ghulami mein tha jo 14 august 1947 ko aazad huwa tha? (iskey bar'aks ham Hindustan, India ya Bharat ki aazadi ka din 15 august kah saktey kyun keh India -as state- pehley sey mojood tha).
Meri naqis raaey mein yeh lafz istimaal karna mozuu nahin keh hamein AAZADI mili thi, kyun keh us sey pehley Pakistan ba'haisiyat aik state mojood nahin tha! Pakistan ko ba'haisyat state 14 august 1947 aur uskey baad tasleem kiya geya hai - lehaza meri naqis raaey mein hamein Pakistan ki Pedaish ka din kehna chahiyey - aur har saal jo manatey hain, issey Pakistan ki Saalgirah key taur per mana chahiyey - na keh aazadi key taur per!
What do you say?

Comment