Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Controversial Question
Collapse
X
-
Re: Controversial Question
Originally posted by Admin View PostAssalamo allaikum :)
Sab sey pehley to tumaam ahl-e-watan ko Pakistan ki 62ween saalgirah mubarik ho
Ab aatey hain merey controversial sawaal ki janib....
Ham 14. August 1947 ko Pakistan ki AAZADI ka din kehtey hain. Kya yeh waqiyey hamari AAZADI ka din hai ya aik naii state ki birth ka din hai?
Kya ham is din AAZAD huwey they? Pakistan ba'haisiyat STATE kis ki ghulami mein tha jo 14 august 1947 ko aazad huwa tha? (iskey bar'aks ham Hindustan, India ya Bharat ki aazadi ka din 15 august kah saktey kyun keh India -as state- pehley sey mojood tha).
Meri naqis raaey mein yeh lafz istimaal karna mozuu nahin keh hamein AAZADI mili thi, kyun keh us sey pehley Pakistan ba'haisiyat aik state mojood nahin tha! Pakistan ko ba'haisyat state 14 august 1947 aur uskey baad tasleem kiya geya hai - lehaza meri naqis raaey mein hamein Pakistan ki Pedaish ka din kehna chahiyey - aur har saal jo manatey hain, issey Pakistan ki Saalgirah key taur per mana chahiyey - na keh aazadi key taur per!
What do you say?
wesay seriously keya ham azad hain?
meri baat aap ko talakh to bohat lagti hai magar main aap ki har baat ko teh dil say kabool bhi kerta hun chahay aap mujhay "begherat" hi kyon na keh dein,jis ki aik wajah hai jo aap kabhi nahi samajh sakein ge.
Britishers say azadi miltay hi ham khush ho gey magar howa keya ke ham IMF ki ghulami main chalay gey.keya pakistan ka bacha bacha IMF ka ghulam nahi hai?wo kehtay hain ke patrol ki keemat barhao to ghulamo ki tarah sar tasleem kham ker ke keemat barha di jaati hai.wo kehtay hain ke bijli ki keemat zeada karo to sar jhuka ke ghulamo ki tarah bijli ki keemat zeada kar di jaati hai.aur aik aik pakistani usi keemat par wo mazkoora cheez kharidta hai.koyi ehtajaj nahi.
General ayoub kay zamnay main sugar ki keemat shayad aik "ana" barhi thi to log sarkon par nikal aye thay aur us ko kutta ke khatab say nawaz diya.aaj sab khamosh hain koyi ehtajaj nahi,aur yeh rawaiya ghulamon ka hota hai.
yeh azadi aik sarab hai.jesay sehra main sarab dekh key piyasa khush ho jata hai kay paani mil geya magar wo paani hota nahi... wesay nazar to ata hai kay ham azad hain magar indirectly ham azad nahi ghulam hain.
mera jawab dekh kay aap ko fir ghussa awe ga ...........lols
shayad fir begherat keh daalein.to janab ham to aap kay chahnay walon main say hain aap jo kahein ham sun'nay ko tayyar hain :dance5:sigpic
Comment
-
Re: Controversial Question
Originally posted by Admin View PostAssalamo allaikum :)
Ham 14. August 1947 ko Pakistan ki AAZADI ka din kehtey hain. Kya yeh waqiyey hamari AAZADI ka din hai ya aik naii state ki birth ka din hai?
kia angrez hindustaan par QABIZ tha? :shyy:That's Enough...!!
Comment
-
Re: Controversial Question
Originally posted by Admin View PostZoniash aur MindFreak - aap dono ko is thread mein mazeed kuchh likhney ki ijazat nahin!
ok mager yeh insaaf nhe hain admin g is liya k main usmanistaan per baat ker rahi the is k siwa kuch nhe fazol batain kisi aur ny start ki the any way ap ka hukam sir ankhun per :embarasseab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei
sigpic
Comment
-
Re: Controversial Question
Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Postje bilkul :shyy:
kuch aai samajh :shyy:That's Enough...!!
Comment
-
Re: Controversial Question
Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Postbus phir jab humaiN angrezoN say aazadi mili to humara dil nai chaha kay hindu hum par musal'lat ho jaiN, isi leay hum nay aazadi ki tehreek kay end maiN qayam-e-pakistan ka mutalba bhi kardia, to is terha yeh Jashan-e-Azadi bhi hai aur Qayam-e-Pakistan ki Salgirah bhi :hairdrayer:
kuch aai samajh :shyy:That's Enough...!!
Comment
Comment