Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Controversial Question

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Z.
    replied
    Re: Controversial Question

    walaikum salam

    Mr. Admin bhai jo main page pe green green images hein wo bohot pyaari lag rahi hein

    Un ko add kerney ka shukrya :hairdrayer:

    Leave a comment:


  • ummid
    replied
    Re: Controversial Question

    khushiyaan tu kisi bhi surat manai jaa sakti hai...
    us ke liye sahi naam or jagah ka hona koi zaroori nahi... ab ager koi azadi ki khushi manaye ya salgiraah ki... kya farq parta hai??? :D
    bus khushiyaan jaise bhi aaye unhe welcome kare.... :haey:
    or aap aise controversial Question pooch ker avein khud ko sayana na saabit karein.... :D

    Leave a comment:


  • mano_billi
    replied
    Re: Controversial Question

    post 1 ka part 2 after advertisements mulahiza farmayein :hii: :shyy:

    hum azaad hue the to aik new state manzar e aam par ayi thi ..aik azaad Pakistan world map par ubhra tha :aug:

    to hum happy 2 u bhee keh sakte hein Pak ko ...aj bana jo tha :shyy:

    happy to u tab bhee hoti he jab hum cake cut'te hein :haey: hum 14 aug pe cake khate hein green and white :shyy:
    ap happy to u keh lein


    Last edited by mano_billi; 14 August 2009, 11:23.

    Leave a comment:


  • mano_billi
    replied
    Re: Controversial Question

    Kia hum ne 1947 me British Rule se azaad ho ke .. aik alag riyasat nahi banayi thi? :donno:

    independence ka matlab hota he freedom from dependence...kia hum India me British Rule ke uper dependent nahi the? :donno:

    kia hum ne aik alag azaad mulk nahi paya? :donno: ya hum Pakistan me rehte hue kisi par rely karte hein jo azaad nahi hue?

    hum apne pau par khare nahi hue the?:hii: ...pau par khud khare hona...independent hona azadi nahi hoti kia? :think:

    kia azaadi self maintenance ko nahi kehte? :shyy:

    ya phir azaadi direction of one's own affairs without any inteference ko nahi kehte? :fly:

    ye meri azaadi he ke me ap ke question ka answer kar rahi hu
    ya meri bhee happy to u hi hui? :dance5:


    azadi fundamental right ko kehte hein jo har shehri ko milta he uske mulk me :hairdrayer:
    to kia itne lambe lecture ke baad bhee hum khud ko or apne Pakistan ko azaad kehne ke mustahiq nahi :shyy::

    Leave a comment:


  • Admin
    replied
    Re: Controversial Question

    Originally posted by Champion_Pakistani View Post
    14 Aug ko Jashn e Azaadi manatay hain .....pher humay aadazi mili thi tu tabi manatay hain na

    Uffff for God sake - just read the posts above - aur uskey baad jawab dijiyey!!!!!

    Leave a comment:


  • ChaMpioN PaKiStaNi
    replied
    Re: Controversial Question

    14 Aug ko Jashn e Azaadi manatay hain .....pher humay aadazi mili thi tu tabi manatay hain na

    Leave a comment:


  • Admin
    replied
    Re: Controversial Question

    Originally posted by Barish aur Gulab View Post
    14 Aug ko humay aazadi mili thi janab.bus yehi kahon gi
    Originally posted by mano_billi View Post
    kia ghulami se azaad hone ko azaadi nahi kehte?

    Ham ghulam they kiskey? Sawaal ko tum dono ney ghaur sey parha hai?????

    Leave a comment:


  • *bEbO*
    replied
    Re: Controversial Question

    14 Aug ko humay aazadi mili thi janab.bus yehi kahon gi

    Leave a comment:


  • mano_billi
    replied
    Re: Controversial Question

    Walaikum Asalam

    kia ghulami se azaad hone ko azaadi nahi kehte? :think:

    Leave a comment:


  • Admin
    started a topic Controversial Question

    Controversial Question

    Assalamo allaikum :)

    Sab sey pehley to tumaam ahl-e-watan ko Pakistan ki 62ween saalgirah mubarik ho

    Ab aatey hain merey controversial sawaal ki janib....


    Ham 14. August 1947 ko Pakistan ki AAZADI ka din kehtey hain. Kya yeh waqiyey hamari AAZADI ka din hai ya aik naii state ki birth ka din hai?

    Kya ham is din AAZAD huwey they? Pakistan ba'haisiyat STATE kis ki ghulami mein tha jo 14 august 1947 ko aazad huwa tha? (iskey bar'aks ham Hindustan, India ya Bharat ki aazadi ka din 15 august kah saktey kyun keh India -as state- pehley sey mojood tha).

    Meri naqis raaey mein yeh lafz istimaal karna mozuu nahin keh hamein AAZADI mili thi, kyun keh us sey pehley Pakistan ba'haisiyat aik state mojood nahin tha! Pakistan ko ba'haisyat state 14 august 1947 aur uskey baad tasleem kiya geya hai - lehaza meri naqis raaey mein hamein Pakistan ki Pedaish ka din kehna chahiyey - aur har saal jo manatey hain, issey Pakistan ki Saalgirah key taur per mana chahiyey - na keh aazadi key taur per!

    What do you say?
    Last edited by Admin; 14 August 2009, 10:21.
Working...
X