Re: Vat do u think about wedding?
Dekhein agar insaan ko waqt sey pehley pattah chal jaey keh woh kisi key saath khush nahin rah sakta to ko kisi ko na apnaey. Shaadi aisa hi aik meywa hai jissey aap jab tak chakhein gey nahin, aap ko iski tursh honey ya meetha honey ka pattah nahin chalta. Hamarey moashrey mein yeh aik ajeeb si baat hoti hai keh jab rishtey ustwaar kiyey jatey hain to kya larkey waley hon, kya larki waley hon, apney aap ko achha sabit karney ki har mumkina koshish kartey hain. Classical exemple munh peh roomal rakh kar aana, nighaein jhukaey rakhna, baat na karna agar karna to meethey ki dali jharrna, chalna to aik aisey andaaz mein chalna keh chaal sey hayya chhalkey waghera... agar yeh sab baad mein aik kaamyab shadi ki zamanat ho to phir koi shaadi nakaam na ho.
Aik ajeeb baat yeh hai keh hamarey moashrey mein ACHHA/ACHHI aur MUHABBAT KARNEY WALA/WALI wohi hota hai jo bazahir achhi shakal-o-surat aur jism mein koi nuqs na ho. Seerat sey ziyada soorat dekhi jati hai, aur sooratein aksar dhoka dey jati hain. Yeh aik bohat aham masla hai keh hamarey moashrey mein insaan key khaloos ko kam dekha jata hai, uski zahri haisiyyat ko ziyada dekha jata hai.
Zahri si baat hai keh shaadi aik farz hai jo har haal mein poora karna parta hai. Yeh aik ehsaas hota hai keh kisi doosrey insaan sey wabasta hona hota hai. Aur aik naee zindagi ka safar shuru hota hai. Naee umangein, naey raastey, naee khawahishein, naey armaan - to zahir hai larkiyaan kya larkey sabhi khush hotey hain.
Dil larkiyon ka ho ya larkon ka DIL dil hota hai aur dil sensitive hota hai!!! Wohi armaan jo larkiyaan rakhti hain keh shadi key baad love milley ga, care milley gi, wohi cheez larkon ko hoti hai keh bivi aik achi shareek-e-safar sabit ho gi, pyaar karney wali ho gi, samajhney wali ho gi. Yeh aik aisa ehsaas hai jo dono janib sey hota hai.
Aksar yeh hota hai keh larkey amli zindagi mein masroofiyat ki bina per apni shareek-e-zindagi ko time na dey paein (jo bilkul intentionally na ho) magar larkiyaan feel karti hain keh hamein woh waqt nahin mil raha - to main ney khud yahan tak dekha hai keh woh bahir tak dekhna shuru kar deti hain. Yehi haal larkon mein paya jata hai....
Originally posted by Barish

Comment