Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Vat do u think about wedding?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Vat do u think about wedding?

    Originally posted by Barish
    wo ik aisee insaan ke sath hi reh sakta hai joo loving or caring ho...perr usse ye khoof ho ke ageer wo loving or caaring nahii nikla to????
    Dekhein agar insaan ko waqt sey pehley pattah chal jaey keh woh kisi key saath khush nahin rah sakta to ko kisi ko na apnaey. Shaadi aisa hi aik meywa hai jissey aap jab tak chakhein gey nahin, aap ko iski tursh honey ya meetha honey ka pattah nahin chalta. Hamarey moashrey mein yeh aik ajeeb si baat hoti hai keh jab rishtey ustwaar kiyey jatey hain to kya larkey waley hon, kya larki waley hon, apney aap ko achha sabit karney ki har mumkina koshish kartey hain. Classical exemple munh peh roomal rakh kar aana, nighaein jhukaey rakhna, baat na karna agar karna to meethey ki dali jharrna, chalna to aik aisey andaaz mein chalna keh chaal sey hayya chhalkey waghera... agar yeh sab baad mein aik kaamyab shadi ki zamanat ho to phir koi shaadi nakaam na ho.

    Aik ajeeb baat yeh hai keh hamarey moashrey mein ACHHA/ACHHI aur MUHABBAT KARNEY WALA/WALI wohi hota hai jo bazahir achhi shakal-o-surat aur jism mein koi nuqs na ho. Seerat sey ziyada soorat dekhi jati hai, aur sooratein aksar dhoka dey jati hain. Yeh aik bohat aham masla hai keh hamarey moashrey mein insaan key khaloos ko kam dekha jata hai, uski zahri haisiyyat ko ziyada dekha jata hai.

    Originally posted by Barish
    Main ne buhaat se lerkion ko dekha hai jo apnii shaadi k waqt buhat khush hooti hain or unhe dekh ker mujhe aksar buhaat herat bhi hoti hai
    Zahri si baat hai keh shaadi aik farz hai jo har haal mein poora karna parta hai. Yeh aik ehsaas hota hai keh kisi doosrey insaan sey wabasta hona hota hai. Aur aik naee zindagi ka safar shuru hota hai. Naee umangein, naey raastey, naee khawahishein, naey armaan - to zahir hai larkiyaan kya larkey sabhi khush hotey hain.
    Originally posted by Barish
    Anywaays lerkii ke dil main sab see aham khiyaal to yahii hai ke uska sensitive heart care orr love chahta hai...jo usse na mile to wahi sensitive heart toot ker bikhar jata hai shaid yahii wo darr hai jo buhat se lerkion ke dil se nahi jaata....
    Dil larkiyon ka ho ya larkon ka DIL dil hota hai aur dil sensitive hota hai!!! Wohi armaan jo larkiyaan rakhti hain keh shadi key baad love milley ga, care milley gi, wohi cheez larkon ko hoti hai keh bivi aik achi shareek-e-safar sabit ho gi, pyaar karney wali ho gi, samajhney wali ho gi. Yeh aik aisa ehsaas hai jo dono janib sey hota hai.

    Aksar yeh hota hai keh larkey amli zindagi mein masroofiyat ki bina per apni shareek-e-zindagi ko time na dey paein (jo bilkul intentionally na ho) magar larkiyaan feel karti hain keh hamein woh waqt nahin mil raha - to main ney khud yahan tak dekha hai keh woh bahir tak dekhna shuru kar deti hain. Yehi haal larkon mein paya jata hai....
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #32
      Re: Vat do u think about wedding?

      Originally posted by Barish
      in my family i 'vent seen something pathetic after marriage but i've observed it in our society...
      Agar aap moashrey per jaein gi to kabhi kuchh nahin kar paein gi. Moashrey mein bohat si achhi aur buri misalein mojood hoti hain. Moashrey ko observe karna chahiye aur us ka moazna apni zindagi sey karna chahiye. Jahan doosri ki buri misalein nazar aaein unhein khud mein sey door karney ki koshish karni chahiye aur achhi baton ko apnana chahiye. Hamari misaal iskey bilkul bar'aks hoti hai - ham buri batein seekh letey hain, un sey khofzadah hotey rehtey hain aur jo achhaiyaan hain unhein ignore kar detey hain.

      Originally posted by Barish
      buhaat se love marriages jin main dono sides equally satisfied orr khush hoti hain wo bhi nakaam ho jaati hain orr shaid waja yee hoti hai ke b4 marriage wo ik dosre se buhat kuch xpect ker leete hain per after marriage iik dosre kii xpectations per poora nahi uterte....
      Love marriage ho ya arranged marriage - iski nakaami ki wajoohat bohat si hoti hain. Siraf umeedein hi nahin hoti hain. Bohat sey anasar hotey hain jo count kiye jani chahiye. Koi bhi conclusioin karney sey pehley halaat ko dekh lena chahiye.
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #33
        Re: Vat do u think about wedding?

        Originally posted by Spy009
        Jahan tak main samajhta hoon ke shaadi farz nahin sunnat hai, dusri yeh ke iski zaroorat padti hai, suppose koi ladka ya ladki jab 35-40 ya 50 ho jaye yaa iss se bhi zyadah umr ho jaye, tab usse lagta hoga ke wo budha ho raha hai aur unke budhape ki dekhbhal koun karega. Agar wo beemar ho jata hai to unka dawa daaroo koun karega, shayad issi liye yeh Qudrat ki qanoon hai ke shaadi kare aur aulad wala ho take wo aulad uske budhape ka sahara bane, uske khandan chalaye
        Jis Allah Tabark-o-Tala ney insaan ko pedah kiya hai wohi uskey bachpan, jawani aur budhapey ka bandobast karta hai. Agar shaadi ka yehi aik maqsad hota to shayid shadi sey ziyada aik nurse ki zaroorat hoti jo dekh bhaal karti.

        Mera khiyaal hai keh aurat ko is maqsad key liye nahin pedah kiya geya balkey aurat ki tashkeel is baat ki elamat hai keh mard sey Khuda ki khudai mukamil nahin hoti. Apni qudrat-e-kaamila ko insaan per zahir karney key liye zaroori tha keh mard ki mukhalif jins pedah ki jati. Aur phir inhi key milaap sey insaan ki tashkeel ki jati.

        Rahi baat budhapey ki to kissey kya khaber key woh umer insaan ko dekhna naseeb bhi hoti hai keh nahin? Aur jo log budhapey mein pohanch kar akeley ho jatey hain ya budhapey tak rehtey hi akeley hain, woh apni zaroorat key mutabiq zindagi guzaney ka hunnar jantey hain.

        Jahan tak ta'aluq dawa daroo karney ka hai to yeh hamarey pakistan/india key moashey mein hai keh mard ko aurat ka "mohtaj" bnaa diya geya hai keh wohi ghar ka nizaam chaley gi. Europe mein koi kisi ka nahin aur insaan har umer mein apna dawa daroo khud karta hai.
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #34
          Re: Vat do u think about wedding?

          Originally posted by khurram_shaikh
          Assalaam o alekum,

          sorry to say yehaan aap kuch hud tak ghalat hain aur main aapse muttafiq nahin achchey bure sab mien hoote hain chaahe wo larke hon ya larkiyaan taali ek haath se nahin bajti barish ji :)
          Walikum Assalam!!!

          n well agreed!:)
          i was just defending girls...:eye:
          Acche n bure log be shak her jaga hoote hain.....per pata nahi kiyon mere dil main ik ajeeb sa concept hai....but i fully agree with u...i was just kidding nothing else:khi:

          Comment

          • #35
            Re: Vat do u think about wedding?

            Originally posted by barg.e.gul
            ye behass chor dein key larkey compromise ker saktey hein key larkey--kyoon key aap sab ab barhey ho gaye hein :P

            stick to the topic

            inshAllah
            Ooops hum too baare ho gai hain:cc:
            sorry i 4got....:embarasse

            per main ne kuch ghalat to nahii kaha tha na?:tauba
            now me CHUP....bilkul aise:shh:

            Comment

            • #36
              Re: Vat do u think about wedding?

              Originally posted by Spy009
              Believe me "Angoor to khattey hain" wali fitrat ladkon mein nahin paayi jaati
              and I am sure ke yeh fitrat ladkiyon mein bahut payi jaati hai.
              No u r rooooooong:na:
              ye fitrat to INSAAN mai hai n girls to insan hain or mere khiyal mai to boys bhi insanon ki category se hi belong kerte hain :khi: to ye bat to un mai bhi hoi na phir?:(

              Comment

              • #37
                Re: Vat do u think about wedding?

                Originally posted by Masood
                Dekhein agar insaan ko waqt sey pehley pattah chal jaey keh woh kisi key saath khush nahin rah sakta to ko kisi ko na apnaey. Shaadi aisa hi aik meywa hai jissey aap jab tak chakhein gey nahin, aap ko iski tursh honey ya meetha honey ka pattah nahin chalta. Hamarey moashrey mein yeh aik ajeeb si baat hoti hai keh jab rishtey ustwaar kiyey jatey hain to kya larkey waley hon, kya larki waley hon, apney aap ko achha sabit karney ki har mumkina koshish kartey hain. Classical exemple munh peh roomal rakh kar aana, nighaein jhukaey rakhna, baat na karna agar karna to meethey ki dali jharrna, chalna to aik aisey andaaz mein chalna keh chaal sey hayya chhalkey waghera... agar yeh sab baad mein aik kaamyab shadi ki zamanat ho to phir koi shaadi nakaam na ho.

                Aik ajeeb baat yeh hai keh hamarey moashrey mein ACHHA/ACHHI aur MUHABBAT KARNEY WALA/WALI wohi hota hai jo bazahir achhi shakal-o-surat aur jism mein koi nuqs na ho. Seerat sey ziyada soorat dekhi jati hai, aur sooratein aksar dhoka dey jati hain. Yeh aik bohat aham masla hai keh hamarey moashrey mein insaan key khaloos ko kam dekha jata hai, uski zahri haisiyyat ko ziyada dekha jata hai.

                Zahri si baat hai keh shaadi aik farz hai jo har haal mein poora karna parta hai. Yeh aik ehsaas hota hai keh kisi doosrey insaan sey wabasta hona hota hai. Aur aik naee zindagi ka safar shuru hota hai. Naee umangein, naey raastey, naee khawahishein, naey armaan - to zahir hai larkiyaan kya larkey sabhi khush hotey hain.

                Dil larkiyon ka ho ya larkon ka DIL dil hota hai aur dil sensitive hota hai!!! Wohi armaan jo larkiyaan rakhti hain keh shadi key baad love milley ga, care milley gi, wohi cheez larkon ko hoti hai keh bivi aik achi shareek-e-safar sabit ho gi, pyaar karney wali ho gi, samajhney wali ho gi. Yeh aik aisa ehsaas hai jo dono janib sey hota hai.

                Aksar yeh hota hai keh larkey amli zindagi mein masroofiyat ki bina per apni shareek-e-zindagi ko time na dey paein (jo bilkul intentionally na ho) magar larkiyaan feel karti hain keh hamein woh waqt nahin mil raha - to main ney khud yahan tak dekha hai keh woh bahir tak dekhna shuru kar deti hain. Yehi haal larkon mein paya jata hai....

                itna lamba reply type kiya tha jo server time out ki waja se urrr gaya................................:embarasse :embarasse :embarasse

                Comment

                • #38

                  Ji bilkuul per wat about those jo shaadi se pehle shaadi se darre hoe hoote hain??ke pata nahii baqqi ki life kese guzre gi..

                  Kia shaadi ka sara charm n unka saraa pagalpannn khatam ho chukka hoota hai???
                  Yaa qadar khoo chuki hooti hai???

                  Wassse nature ka khoobsorat hona ziada zaroori hai,wassse nature ke khoobsorat log buhat kamm hote hain na is jahaan main ziada terr to dhooka hai na dunya main?:)

                  thx 4 discussion n 4 ur comments!
                  KHUSH RAHIYYE!

                  Comment

                  • #39
                    Re: Vat do u think about wedding?

                    Originally posted by Masood
                    Agar aap moashrey per jaein gi to kabhi kuchh nahin kar paein gi. Moashrey mein bohat si achhi aur buri misalein mojood hoti hain. Moashrey ko observe karna chahiye aur us ka moazna apni zindagi sey karna chahiye. Jahan doosri ki buri misalein nazar aaein unhein khud mein sey door karney ki koshish karni chahiye aur achhi baton ko apnana chahiye. Hamari misaal iskey bilkul bar'aks hoti hai - ham buri batein seekh letey hain, un sey khofzadah hotey rehtey hain aur jo achhaiyaan hain unhein ignore kar detey hain.

                    Love marriage ho ya arranged marriage - iski nakaami ki wajoohat bohat si hoti hain. Siraf umeedein hi nahin hoti hain. Bohat sey anasar hotey hain jo count kiye jani chahiye. Koi bhi conclusioin karney sey pehley halaat ko dekh lena chahiye.

                    Orr koon se anaasirr hoote hain?:)
                    Can u xplain a little bit?

                    Comment

                    • #40
                      Re: Vat do u think about wedding?

                      Kia shaadi ka sara charm n unka saraa pagalpannn khatam ho chukka hoota hai???
                      Yaa qadar khoo chuki hooti hai???

                      Wassse nature ka khoobsorat hona ziada zaroori hai,wassse nature ke khoobsorat log buhat kamm hote hain na is jahaan main ziada terr to dhooka hai na dunya main?:)

                      [/quote]

                      Assalaam o alekum,

                      Ji baarish aapnien likhaa ke shaadi ke baad wo change kyoon ho jaate hain to dar asl baat yeh hai ke wo change kahaan hoote hain woh to apni asliyat per aajaate hain ab jaise larkaa jaisa ke ussnien shaadi hoonien se pehle apnien aapko pesh kiyaa thaa usski family nien pesh kiyaa lekin haqeeqatan larke mien aisi koee khoobi nahin to jo bhi khoobiyaan bayaan ki gayi thin dikhaayi gayi thin wo sirf waqti thi ?? n same wth girl too larki ke maan baap nien larki ko bilkool change ker ke pesh kiyaa jabke waisa kuch thaa nahin to aise waqaat mien shaadi ke chand dinoon baad jab larka larki ek doosre ke saath rahien gey to unhien ek doosri ki asli soorat dikhti hai

                      aur aapnien kahaa ke aapki shaadi kisi anjaan larke so hoogi to kyaa aap ko darr nahin lagegaa aap khaufzadaa nahin hoongi to aap sirf itnaa soochien jahaan tak mujhe ilm hai aur mainien ab tak yehi dekhaa ke humaare walidain ko kyaa yeh feelings nahin aayi hoogi jab unki shaadi huee thi ? kyoon ke unke zamaanien mien to mujhe nahin yaqeen ke aaj jaisa mahaul thaa balke wo humse zeyaadaa khush rahe aur unhoonien humse zeyaadaa enjoy kiyaa life ko :)
                      :tang: RISK IS MY BUSINESS

                      DANGER IS MY GAME

                      DONT PLAY WITH ME
                      BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                      Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                      Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                      Comment

                      • #41
                        Re: Vat do u think about wedding?

                        Originally posted by khurram_shaikh
                        .
                        Assalaam o alekum,

                        Ji baarish aapnien likhaa ke shaadi ke baad wo change kyoon ho jaate hain to dar asl baat yeh hai ke wo change kahaan hoote hain woh to apni asliyat per aajaate hain ab jaise larkaa jaisa ke ussnien shaadi hoonien se pehle apnien aapko pesh kiyaa thaa usski family nien pesh kiyaa lekin haqeeqatan larke mien aisi koee khoobi nahin to jo bhi khoobiyaan bayaan ki gayi thin dikhaayi gayi thin wo sirf waqti thi ?? n same wth girl too larki ke maan baap nien larki ko bilkool change ker ke pesh kiyaa jabke waisa kuch thaa nahin to aise waqaat mien shaadi ke chand dinoon baad jab larka larki ek doosre ke saath rahien gey to unhien ek doosri ki asli soorat dikhti hai

                        aur aapnien kahaa ke aapki shaadi kisi anjaan larke so hoogi to kyaa aap ko darr nahin lagegaa aap khaufzadaa nahin hoongi to aap sirf itnaa soochien jahaan tak mujhe ilm hai aur mainien ab tak yehi dekhaa ke humaare walidain ko kyaa yeh feelings nahin aayi hoogi jab unki shaadi huee thi ? kyoon ke unke zamaanien mien to mujhe nahin yaqeen ke aaj jaisa mahaul thaa balke wo humse zeyaadaa khush rahe aur unhoonien humse zeyaadaa enjoy kiyaa life ko :)
                        Walikum Assalam!!!

                        Ya apni asliyat per a jate hain khud koo thiik hi rakhna chahiye na both girl n boy ko?

                        Comment

                        • #42
                          Re: Vat do u think about wedding?

                          Originally posted by Barish
                          itna lamba reply type kiya tha jo server time out ki waja se urrr gaya................................:embarasse :embarasse :embarasse
                          :tomato: allways a good idea of copying before pressing submit :lol
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #43
                            Re: Vat do u think about wedding?

                            Originally posted by Masood
                            :tomato: allways a good idea of copying before pressing submit :lol
                            :tauba :embarasse
                            meraa mazaqq uraya?:cc: :hathora

                            Comment

                            • #44
                              Re: Vat do u think about wedding?

                              Originally posted by Barish
                              :tauba :embarasse
                              meraa mazaqq uraya?:cc: :hathora
                              Nahin to:embarasse main to soch raha hoon keh aap ki replies ko reply karoon
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              • #45
                                Re: Vat do u think about wedding?

                                Originally posted by Barish
                                No u r rooooooong:na:
                                ye fitrat to INSAAN mai hai n girls to insan hain or mere khiyal mai to boys bhi insanon ki category se hi belong kerte hain :khi: to ye bat to un mai bhi hoi na phir?:(
                                I can go longer discussion ...but better to divert:tang:

                                Be cool :rose

                                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                                Comment

                                Working...
                                X