Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Vat do u think about wedding?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: Vat do u think about wedding?

    Originally posted by Barish
    papers too hoote hii boore hain:embarasse :tauba
    orrr bechaare humm students
    Becharey students key paas yehi waqt hai kuchh seekhney ka agar yeh waqt beet geya to pechtawa rah jati hai larki :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #62
      Re: Vat do u think about wedding?

      Originally posted by Masood
      Becharey students key paas yehi waqt hai kuchh seekhney ka agar yeh waqt beet geya to pechtawa rah jati hai larki :)
      isee liyee to bechaare students perr lete hain....
      laboon koo sii ker,dilon perr 70 kg ke pathar rakh ker....:embarasse
      PRAY every1 ke kaal mera paper buhaat accha hoo jai....taake mai khush khush forum per aon

      Comment

      • #63
        Re: Vat do u think about wedding?

        Originally posted by Barish
        isee liyee to bechaare students perr lete hain....
        laboon koo sii ker,dilon perr 70 kg ke pathar rakh ker....:embarasse
        PRAY every1 ke kaal mera paper buhaat accha hoo jai....taake mai khush khush forum per aon
        DIL peh 70 kg ka bada khiyaal hai aur becharey paoun per jo 100 kg rakha huwa hai (weight) :kr: :kr: :kr:
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #64
          Re: Vat do u think about wedding?

          Originally posted by Masood
          DIL peh 70 kg ka bada khiyaal hai aur becharey paoun per jo 100 kg rakha huwa hai (weight) :kr: :kr: :kr:
          itna wait to lerkoon ka hoota hai

          Comment

          • #65
            Re: Vat do u think about wedding?

            Originally posted by Barish
            itna wait to lerkoon ka hoota hai
            Assalaam o alekum,

            larrayi band karien aap log aur jo mauzoo zer e bahes hai uss per baat karien :a stick: :lol
            :tang: RISK IS MY BUSINESS

            DANGER IS MY GAME

            DONT PLAY WITH ME
            BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

            Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

            Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

            Comment

            • #66
              Re: Vat do u think about wedding?

              Originally posted by khurram_shaikh
              Assalaam o alekum,

              larrayi band karien aap log aur jo mauzoo zer e bahes hai uss per baat karien :a stick: :lol
              Walikum Assalam

              this point is really 2 b noted
              orr main ne note ker bhii lia:)

              Comment

              • #67
                Re: Vat do u think about wedding?

                Ajj mai buhat thakii hoi hoon....kiyoon ke kuch der pehlee hii main ghar per aii hoon subah see abb aii hoon to mai INSHALLAH jald hi reply ker doon gi perr hopefully ajj na ker sakoon
                plzz dont mind!!

                Comment

                • #68
                  Re: Vat do u think about wedding?

                  Originally posted by Masood
                  Aap bolti bohat ho :zuban:

                  Zindagi surprises ka naam hai. Kab kis morr per konsa surprise milley ham nahin jaantey. Lehaza shadi sey pehley yeh soch ker khofzada hona keh shadi key baad ki life (aur wife :lol) kaisi ho gi, yeh merey nazdeek pagalpan hai. Fact yeh hai keh kal kisi ney nahin dekhi, un'dekhi kal ka khof dilon peh rakh ker apney aap ko kamzor bnaa lein, yehi drust nahin. Insaan ko har waqt har lamha har muqaam per kisi "unhoni" baat ko milney key liye tayyar rehna chahiye. Unexpected moments sey guzar kar hi life (aur wife :lol) ko sanwarna ashraful-makhlooqiyaat hai :)

                  Baat phir wohi per aa jati hai keh shadi aik aisa phal hai jisney khaya woh bhi pechhtaya jisney na khaya woh bhi pechhtaya - ya iskey ulat, jisney khaya woh bhi khush raha jinsey na khaya woh bhi khush raha :)

                  Ab kuchh batein kahoon ga jo shayid "ghair mohazzab" lagein.

                  Baligh honey key baad ham insaan apni mukhalif jins ki kashish mehsoos kartey hain. (ofcourse NOT EVERY PERSON THINKS ABOUT IT - BUT GENERALLY). Larkon ka sar-e-aam larkiyon ko tang karna mehaz aik shararat hi nahin, dil'lagi hi nahin balkey aik chaska hota ho jo woh poora kartey hain. Isi tarha aaj kal larkiyaan khud larkon ko apney janib tawajoh dilati hain, libaas sey, harkaat sey, chaal sey, baton sey... Yeh "nadani" ki umer hoti hai, siraf "hasil" karney ka ehsaas hota hai. Magar wasool karney key baad jo faraeez hotey hain, unsey yeh fiker door hoti hai.

                  Yehi woh charme hai. Jis mein koi ghalti sarzad na ho jaey, is dar sey larkey aur larkiyon ki shadiyaan ki jati hai. Shadi key baad key chand maah isi charme ya nashey mein guzar jatey hain, magar jab "real" life apna asar dikhana shuru karti hai to woh nasha maand parna shuru ho jata hai. Sochon jo pehley bardasht ho jati thi woh ab clash hoti hain. Yehi wajah hai keh aik doosrey mein woh kashish nahin mehsoos hoti jo shadi sey pehley hoti thi, aur jaisa main ney shuru mein kaha tha, jo cheez mil jaey uski qadar kho jati hai.

                  Zaroorat is amar ki hai zehni tor per larkey aur larki ko itna mature kiya jaey keh ussey ehsaas ho keh shadi ki kya kya zimmeydari hai. Tarbiyat mein yeh baat shamil honi chahiye keh shadi mehz 2 bolon key parhney ya jismon key milap ka naam nahin, balkey yeh zindagi hai. Aur zindagi ki khoobsurati insaan khud bnata hai. Aapis mein bahimi soch develope karney ki zaroorat hai aur qurbani deney key jazbey ko ubharney ki zaroorat hai. Compromising shadi ka buniyadi asool hai.

                  Dekhin Barish! Khaliq ney har cheez takhleeq ki hai. Khaliq ney har seerat bnaee hai. Lekin ham insaan jab apney khaliq ki baat ko nahin maantey to insaan ki soorat ko kaisey qabool kar lein? Hamara moashra bohat ajeeb sa moashra hai. Ham (generally) lecture detey hain keh har cheez Allah ki bnaee hui hai, magar jab waqt parta hai to ham har sabaq bhool jatey hain. Kal hi TV per aik program dekh raha tha. Is mein aik classical exemple dikhaee gaee hai hamarey moashrey ki keh badi behan rang-o-shakal ko ghareeb hai, aur chhoti behan utni hi khoobsurat hai. Badi behan ka rishta nahin hota keh jo rishta aata hai woh chhoti ko pasand kar kertey hain aur badi ko nahin. Seerat kaun dekhta hai??? Merey apney mohalley mein (pakistan) aisi aik misaal hai keh larki budhi ho jati hai magar uska rishta nahin hota. Ham log kehney key aur hain aur karney key aur. Khaaliq ki agar ham baat maanein to ham zaleel-o-ruswa na hon.

                  Achhi soch hai aap ki - Allah aap ki soch mein pukhtagee dey. Ameen.

                  Nature mein khoobsurati aati hai jab duniya ko heech maan liya jaey aur iskey faani honey ko apney qol-o-fail mein shamil kar liya jaey aur sachey Rab ki sachi sachi baton ko mazbooti sey pakar liya jaey. Jab doosrey insaan key wajood ko tasleem kar liya jaey keh us mein bhi khoobi hai, khami hai, to ander ki khoobsurati khud'bakhud aa jati hai. Zaroorat is amar ki hai keh apni khudi ko samjha jaey, insaan ki tashkeel ki wajah ko samjha jaey. Duniya ki haqeeqat ko jaan liya jaey aur aakhrat ko apney zameer mein basaa liya jaey to ander shfaaf ho jata hai.

                  Sab sey pehli baat to yeh keh aap ko koi majboor nahin kar sakta (mazhabi, qanooni tor per) keh aap aik anjabi sey biyah karo. Aap ko us sey milney ka poora ikhtiyaar hai. Baqi aap ko apney buzurgon per itna yaqin hona chahiye keh woh aap key liye jo sochein gey achha sochein gey. Phir aap ko aik achhi beti ban ker unka faisla drust sabit karna ho ga. Bohat mushkil hai magar na'mumkin nahin. Aur jab larkiyaan ya larkey yehi kar key dikha dein to waldein ko aik sakoon milta hai. Unki aakhrat aasan ho jati hai keh unki beti apney ghar mein khush hai.

                  Larki ko Allah Tala ney nazuk pedah kiya hai, aur yehi larkiyoon ki khoobsurati aur kashish hai keh woh nazuk hain. Lekin aik haqeeqat hai keh larkiyaan bohat bardasht rakhti hain aur badi sey badi qurbani deney sey bhi daregh nahin kartin. Larkey fitri tor per sakhtdil hotey hain magar ehsaas rakhtey hain aur feeling bhi.

                  Well agreed!

                  Unhee dekhh ker ye khiyaal aata haii ke tanhai waqai insaan ko kahii kaa nahii chorrti n shaadi zaroori hai

                  Ager insaan ki life mai yahii ikk charm raahe to zindaagi jaldee maand perr jaati hai perr ager zindaagi mai her rishtee ki base saccha pyar,care,doosti hoo tab zindaagi ka koi rishta maand nahii perta orr hamesha life charmful rehti hai

                  KHUSH RAHIYEE!

                  Comment

                  • #69
                    Re: Vat do u think about wedding?

                    Originally posted by Barish
                    Wase yahaan iik baat quote kerr doon ajj kal meeri mulaqaat ik aise personality see hoo rahii hai jo iik PHD doctor hai….around 40 yrs….ik women jinhoo ne shaadii nahii kii or aab zindaagii ke iss morr per tanhaai ne unki psychii ko kafii disturb kerr dia hai….
                    Unhee dekhh ker ye khiyaal aata haii ke tanhai waqai insaan ko kahii kaa nahii chorrti n shaadi zaroori hai
                    Yeh is baat ka saboot hai keh jo dastoor qudrat ney ham insano key liye muqaddar kiyey hain, un sey inehraaf nahin hai aur in key khilaaf kuchh karein to insaan ko khud hi dukh hota hai. Shadi ham insaano ki zindagi mein aik aham hissah hai. Na aurat mard key bghair rah sakti hai na mard aurat key bghair. Ham aik doosrey key liye laazm-o-mazloom hain (mazloom ziyada tar MARD hi hotey hain :lol :lol).
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #70
                      Re: Vat do u think about wedding?

                      Originally posted by Masood
                      Yeh is baat ka saboot hai keh jo dastoor qudrat ney ham insano key liye muqaddar kiyey hain, un sey inehraaf nahin hai aur in key khilaaf kuchh karein to insaan ko khud hi dukh hota hai. Shadi ham insaano ki zindagi mein aik aham hissah hai. Na aurat mard key bghair rah sakti hai na mard aurat key bghair. Ham aik doosrey key liye laazm-o-mazloom hain (mazloom ziyada tar MARD hi hotey hain :lol :lol).
                      Hmmmm yee too hai....apnee maqaasidd koo paa ker bhi unhee tanhaii hii mili....ik acchi job,ik acchi pay,ik acchi reputation n status kee baad bhi sirrf tanhai?:(
                      kitnaa ghalat hoa na yee saab....

                      aapkoo males kii side lenee ka bara shooq hai..... :hathora

                      Comment

                      • #71
                        Re: Vat do u think about wedding?

                        Originally posted by Barish
                        Hmmmm yee too hai....apnee maqaasidd koo paa ker bhi unhee tanhaii hii mili....ik acchi job,ik acchi pay,ik acchi reputation n status kee baad bhi sirrf tanhai?:(
                        kitnaa ghalat hoa na yee saab....

                        aapkoo males kii side lenee ka bara shooq hai..... :hathora
                        male ki side... hmmm to main khud kya hoon?

                        Puraney khiyalaat rakhney waley log kehtey hain keh larkiyon ko kyun parhaya jaey jab keh unhein ghar ko hi sambhalna hai. Well main yeh nahin kehta hoon keh yeh soch drust hai. Ilm mard ki nisbet auraton key liye ziyada zaroori hai. Lekin agar larkiyaan ilm is liye seekhti hain keh khudmukhtaar ban jaein aur shadi na karein ghar na bsaein to yeh sara sar ghalat hai. Kaam karein, career bnaein magar aurat mard key bghair na'mukamil hai.
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #72
                          Re: Vat do u think about wedding?

                          Originally posted by Masood
                          male ki side... hmmm to main khud kya hoon?

                          Puraney khiyalaat rakhney waley log kehtey hain keh larkiyon ko kyun parhaya jaey jab keh unhein ghar ko hi sambhalna hai. Well main yeh nahin kehta hoon keh yeh soch drust hai. Ilm mard ki nisbet auraton key liye ziyada zaroori hai. Lekin agar larkiyaan ilm is liye seekhti hain keh khudmukhtaar ban jaein aur shadi na karein ghar na bsaein to yeh sara sar ghalat hai. Kaam karein, career bnaein magar aurat mard key bghair na'mukamil hai.
                          aap.......:cc: pata nahii:pagal:

                          jii bilkuul...taleem zaroor haasil karoo...per aurat,aurat hii baan ker rahee too ziadaa acchi lagtii hai....mera apna zaati khiyaal too ye hai ke ik lerkiii jitna perna chahee perhe,ager after marriage usee uske in laws se permission hoo to after marriage bhii perhe....perr is tarah ke ghar koo bhi poori tawajuu de...per after marriage girls ka job kerna mujhkooo ziada thiik nahii lagta kiyoon ke is tarah babies n family koo thiik se time nahii dia jaa sakta....:)

                          Comment

                          • #73
                            Re: Vat do u think about wedding?

                            Originally posted by Barish
                            aap.......:cc: pata nahii:pagal:

                            jii bilkuul...taleem zaroor haasil karoo...per aurat,aurat hii baan ker rahee too ziadaa acchi lagtii hai....mera apna zaati khiyaal too ye hai ke ik lerkiii jitna perna chahee perhe,ager after marriage usee uske in laws se permission hoo to after marriage bhii perhe....perr is tarah ke ghar koo bhi poori tawajuu de...per after marriage girls ka job kerna mujhkooo ziada thiik nahii lagta kiyoon ke is tarah babies n family koo thiik se time nahii dia jaa sakta....:)
                            pata nahin to pata kijiye na :eye:

                            Agree keh shadi key baad agar larki parhna chahey to ussey permission honi chahiye - keh ilm zewar hai aur ilm aulad ki tarbiyat key liye bohat zaroori hai. Job ka jahan tak ta'aluq hai to main zaati taur per larkiyon ki job key khilaf nahin hoon, it depends very much on the circumstances - job karna koi buraee nahin magar jab aulad ho jaey to sab sey pehi priority aulad honi chahiye. Aur hairat ki baat yeh hai keh aaj kal yahan Denmark mein yahan key muqaami logon ney yeh jaan liya hai keh behtar ghareloo nizaam key liye zaroori hai keh kisi aik ka ghar per (khaas ker aurat) tawajoh dein.

                            Larki ko Allah Tala ney tmaam tar nasaktein, tamaam tar khoobiyan, tamaam tar husn aur muhabbat dey ker pedah kiya hai, issey isi andaaz mein rehna chahiye :)
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • #74

                              kahaan se?

                              jii agerr ghaar ke halaat majboor ker dain orr iskee ilawa koi charrra naa hoo tab to job essential hoo jaati hai per waase jab economic conditions thiik hon tab job nahii kerni chahiye kiyoon ke kuch girls ye samajhti hain ke job ke begher unki degree utilize nahii hoo paati...jaab ke unke babies kii good parwarishh hoo jai to taab hii unki degree poori tarah utilize hooti hai...
                              job kii gharz se perna himaakat hai...khud kuch seekhne ke liye or ik acchi generation koo ik acche tareeqe see aage berhaane ke liyee dono,deeni as well as dunayawii taleem zaroori hain:)

                              ji bilkul!!:lpop:

                              Comment

                              • #75

                                kahan sey?? yeh bhi main btaoun koi kaam khud bhi kar liya karein :tomato:

                                Jo larkiyaan yeh samajhti hain keh unki taleem without job utilise nahin ho sakti, woh ahmaq hain. Larkiyon ki taleem ka behtareen istimaal unki aulad ki tarbiyat sey patah chalta hai. Lekin baat yeh hai keh namood-o-numaish ziyada ho gaee hai. Aik doosrey ki dekha dekhi larkiyaan aisa karti hain. Zaroorat hai to larki ko zaoor job karni chahiye.

                                Yeh lollypop kahan sey li??? :khi: :cc:
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X