Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sada Bahaar Geet

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: Sada Bahaar Geet



    Yeh aik bohat pyara gana hai, film Saheli sey liya hai:

    kaheen do dil jo mil jatey bigarta kya zamaney ka
    khabar kya thi keh yeh anjaam hoga dil lganey ka

    dil-e-betab sey kah do tadapney sey na ghabraey
    yehi to waqt aaya hai wafa ko aazmaney ka
    kaheen do dil jo mil jatey bigarta kya zamaney ka

    kisi ko kya sunaein ham peh kya guzri muhabbat mein
    keh bas aaghaz hi anjaam hai apney fasaney ka
    kaheen do dil jo mil jatey bigarta kya zamaney ka


    jahan walon ney miltey hi kiya hai yun juda hamko
    keh jaisey khawab dekha tha tumhein apna bnaney ka
    kaheen do dil jo mil jatey bigarta kya zamaney ka

    kaheen do dil jo mil jatey bigarta kya zamaney ka
    khabar kya thi keh yeh anjaam hoga dil lganey ka



    Listen this song right here at Pegham :)
    http://www.forum.pegham.net/showthre...4222#post24222
    Last edited by Masood; 4 August 2005, 23:36.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #77
      Re: Sada Bahaar Geet

      Akele mein wo ghabratey to honge

      Mita ke mujh ko pachhtatey to honge



      Hamari yaad aa jaati to hogi

      Achanak wo tadap jatey to honge



      Wo din tum ko bhi yaad aatey to honge

      Mita ke mujh ko pachhtatey to honge.



      Unhen yaad aayenge wo zindgi bhar

      Jo apne khoon se likhey thay ham ne

      Wo khat nafrat ke sholon me bhi jal kar

      Hamari yaad dilwatey to honge

      Mita ke mujh ko pachhtatey to honge.

      Akely mein wo ghabratey to honge



      Wo ghar walon se karke sau bahaaney

      Saheli saath aati thi milaaney

      Mehakti raaten aur wo din suhaney

      Hamari pyar ke guzre zamaaney

      Khyaal wo zehan pe chhatey to honge

      Mita ke mujh ko pachhtatey to honge

      Akele mein wo ghabratey to honge

      Hamari yaad aa jaati to hogi

      Achanak wo tadap jatey to honge
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment


      • #78
        Re: Sada Bahaar Geet

        Aay mere zindage tu mery sath hai
        Ab mujhy is zamany ki perwa nahe
        Jan lay lon bhe mai jab day don bhe main
        Koi keemat chukany ki perwa nahe


        Tou khuda hai mera mera eeman hai
        Ishq kerna tera mujh pay ahsaan hai
        Tou subha ka ujala mery waastay
        Tou mery waasty dil nasheen sham hai
        Tu mery waasty dil nasheen sham hai
        Tery dil main guzara rahy umer bhar
        Tery dil main guzara rahy umer bhar
        Phir kise aashiyanay ki perwa nahee


        Aay mere zindage tu mery sath hai
        Ab mujhy is zamany ki perwa nahe
        Jan lay lon bhe mai jab day don bhe main
        Koi keemat chukany ki perwa nahe

        Comment


        • #79
          Re: Sada Bahaar Geet

          Badh raha hai dard o gham

          Usko bhoola dene ke baad



          Yaad uski aur aayi

          Khat jala dene ke baad



          Kyon mere hamraz tu ne dil ki haalat puchh li

          Kyon mere hamraz tu ne dil ki haalat puchh li

          Tujhko bhi rona pada

          Mujh ko rulaney ke baad



          Raakh mein kya dhoondte chingaariyan bhi bujh gayi

          Raakh mein kya dhoondte chingaariyan bhi bujh gayi

          Hosh mein aaye bhi ham to

          Ghar jala dene ke baad



          Haaye ab uss bewafaa ne bewafaayi chhod di

          Haaye ab uss bewafaa ne bewafaayi chhod di

          Qabr pe aaya hai wo

          Mujh ko mita dene ke baad
          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment


          • #80
            Re: Sada Bahaar Geet

            Piaar hum ko bhe hai piar tum ko bhe hai
            tou yey kiya silsilay hoa ga'ay
            bay vafa hum nahe bay vafa tum nahe
            tou kyo itny gilay hoo ga'ay
            chalte chalte kesy yay faasly ho ga'aaaayy

            kiya pataaa kahaaa hum chalaaaaay

            dunya jo pochy to kiya hum kahain koi ye hum ko samjha day
            thais lage do pal main tout gaa'y sheeshy ky thay kiya sab vaaday
            jata ha koi kyo sapno ko thukra kay
            pa'ay ga ye dil kiya kise ko bata kay
            chalte chalte rakh hum dil jaly ho ga'ay
            bujjh ga'ay diay piaar kay

            doub gaya ha jesy dard main dil aanso bhare hain ab aankhain
            tanhaiyo ki jo rut aa gaee ujre hoe hain sab raahain
            socha tha pa'ain gay dono aik maznil ko
            rahain jo badle tou tum he bata do
            chalte chlate gum kaha qaflay ho ga'ay

            khoo ga'ay kahaaaa raasty

            Piaar hum ko bhe hai piar tum ko bhe hai
            tou yee kiya silsilay hoa ga'ay
            bay vafa hum nahe bay vafa tum nahe
            tou kyo itny gilay hoa ga'ay
            chalte chalte kesy yay faasly ho ga'aaaayy

            kiya pataaa kahaaa hum chalaaaaay

            Comment


            • #81
              Re: Sada Bahaar Geet

              Originally posted by aik_lerki
              Aay mere zindage tu mery sath hai
              Ab mujhy is zamany ki perwa nahe
              Jan lay lon bhe mai jab day don bhe main
              Koi keemat chukany ki perwa nahe


              Tou khuda hai mera mera eeman hai
              Ishq kerna tera mujh pay ahsaan hai
              Tou subha ka ujala mery waastay
              Tou mery waasty dil nasheen sham hai
              Tu mery waasty dil nasheen sham hai
              Tery dil main guzara rahy umer bhar
              Tery dil main guzara rahy umer bhar
              Phir kise aashiyanay ki perwa nahee


              Aay mere zindage tu mery sath hai
              Ab mujhy is zamany ki perwa nahe
              Jan lay lon bhe mai jab day don bhe main
              Koi keemat chukany ki perwa nahe
              A lovely song i just love it

              Comment


              • #82
                Mai ik ghareeb benawa, Main ik faqir besada

                Meri naza ki iltija ju pa saku tu saath do

                Comment


                • #83
                  Re: Sada Bahaar Geet

                  tere piyar ki tamana
                  gham-e-zindagi ke saey
                  bari tez andheyan hen
                  ye chiragh bujh na jaey
                  he ajeeb dastaan kuch ye hamari dastaan bhi
                  kabhi tum samjh na paey,kabhi ham suna na paey
                  na feza he apne bas me na nazer me he kinara
                  kahin mere dil ki kashti na bhanwar me doob jaey

                  Comment


                  • #84
                    Re: Sada Bahaar Geet

                    Kabhi kabhi mere dil mai khiyaal ata hai
                    K zindagi teri zulfon ki naram chaon mai guzarti tu shadab ho bhi sakti thi
                    Yeh ranj o gham ki sayahi ju dil pe chai hai
                    Yeri nazar ki shuaaon mai khu bhi sakti thi

                    Magar yeh ho na saka
                    Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai k
                    tu nahi tera ghum teri justuju bhi nahi
                    Guzar rahi hai kuch is tarhe zindagi k
                    jaise ise kisi k sahare ki aarzo bhi nahi
                    Na koi rah, na manzil, na rooshni ka suragh
                    Bhatak rahi hai andheron mai zindagi meri
                    Mai ik ghareeb benawa, Main ik faqir besada

                    Meri naza ki iltija ju pa saku tu saath do

                    Comment


                    • #85
                      Re: Sada Bahaar Geet

                      Kabhi kabhi mere dil mai khiyaal ata hai
                      K zindagi teri zulfon ki naram chaon mai guzartne pati
                      tu shadab ho bhi sakti thi
                      Yeh ranj o gham ki sayahi ju dil pe chai hai
                      Yeri nazar ki shuaaon mai khu bhi sakti thi

                      Magar yeh ho na saka
                      Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai k
                      tu nahi, tera ghum teri justuju bhi nahi
                      Guzar rahi hai kuch is tarhe zindagi k
                      jaise ise kisi k sahare ki aarzo bhi nahi
                      Na koi rah, na manzil, na rooshni ka suragh
                      Bhatak rahi hai andheron mai zindagi meri
                      Inhi andheron mai reh jaon ga kabhi kho kar
                      Mai janta hoon meri hum nafas, magar yun hi
                      kabhi kabhi dil mai khiyal aata hai.....
                      Mai ik ghareeb benawa, Main ik faqir besada

                      Meri naza ki iltija ju pa saku tu saath do

                      Comment


                      • #86
                        Re: Sada Bahaar Geet

                        mat ro mere dil
                        chup ho ja hua so hua
                        wo jo piyar me hota he
                        etbaar me hota he
                        tere sath bhi mere yaar wahi to hua

                        Comment


                        • #87
                          Re: Sada Bahaar Geet

                          Originally posted by shy
                          mat ro mere dil
                          chup ho ja hua so hua
                          wo jo piyar me hota he
                          etbaar me hota he
                          tere sath bhi mere yaar wahi to hua
                          :eek::eek: Itna chota sa gana.... :donno:
                          Mai ik ghareeb benawa, Main ik faqir besada

                          Meri naza ki iltija ju pa saku tu saath do

                          Comment


                          • #88
                            Re: Sada Bahaar Geet



                            pakistani singer "Atif Aslim"s song fr some one special.:) :rose

                            na jane kab see ,umeede kuch baqe hai
                            mujy pher beh tere yaad ,kyu aate hai !
                            najane kab seee.....


                            Ddoor jitna bhe tum muj see ,pas teere ma
                            Ab to aadat se hai muj ko ase jeene ma
                            Zindage se koe shIqwa bhe nahe hai
                            ab to zinda ho ma is neele aasman ma

                            chaht ase hai ya teere ,barhte jaye
                            aahat ase hai ya teere yuu muj ko sataye
                            ke yaade gahre hai atne dil doob jaye
                            aur aankho ma ya gham ,num ban jaye

                            ab to adat se hai muj ko ase jeene ma !
                            ab to adat se hai muj ko ase jeene ma !
                            sabee raate hai ,sabhe batein hain
                            bula do unhein ,mita do unhe
                            najane kab seee.....

                            Comment


                            • #89
                              Re: Sada Bahaar Geet

                              ^ayesha kya aap ney in ka "Bhikra hun mey suna hai"? wo bhi bohot acha hai
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment


                              • #90
                                Re: Sada Bahaar Geet

                                Aik Geet meri taraf sey bhi :)

                                Saraab ka geet hai jo mujhey bohat pasand hai :rose


                                Jeena Mera
                                Jeena mera tere liye tu nahin paas to kya huwa
                                khushboo teri har pal rahey sanso mein meri sada
                                main nahin janta meri manzil kahan
                                youn hi chalta rahoon main agar
                                yeh hai kaisa sahar junoon ka safar
                                tera ehsaas hi to rahey ga amar

                                samjhey gi na yeh duniya kabhi
                                terey hi dam sey hai meri khushi
                                kehtey hain woh jissey deewangi
                                jaaney woh kya hoti hai bekhudi
                                Jeena mera tere liye tu nahin paas to kya huwa
                                khushboo teri har pal rahey sanso mein meri sada
                                main nahin janta meri manzil kahan
                                youn hi chalta rahoon main agar
                                yeh hai kaisa sahar junoon ka safar
                                tera ehsaas hi to rahey ga amar

                                kitna adhoor tha tujh bi to main
                                tujh sey mila to mila mujh ko chain
                                mil hi gaey hain ham to sanam
                                duniya karey gi ab kya sitam
                                Jeena mera tere liye tu nahin paas to kya huwa
                                khushboo teri har pal rahey sanso mein meri sada
                                main nahin janta meri manzil kahan
                                youn hi chalta rahoon main agar
                                yeh hai kaisa sahar junoon ka safar
                                tera ehsaas hi to rahey ga amar



                                Listen this song right here at pegham:
                                http://www.forum.pegham.net/showthre...3574#post33574
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X