Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sada Bahaar Geet

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Sada Bahaar Geet

    Kuch toh loag kahien gai ..!!!
    Logon ka kaam hai kehna ..!!!
    Choro beykaar ki baaton mein ..!!
    Kahin beet na jayee Raena ..!!!

    Kuch reet jagat ki aisee hai ..!
    Har aik subah ki shaam hui
    Tu kaun hai tera naam hai kya
    Seeta bhi yahan badnaam hui..!!!
    Phir kyun sansar ki baaton sai
    Bheeg gaye tere naina ..!!!

    Ham ko jo taney detey hein ..!!
    Ham khoye hein in rangralion mein ..!!!
    Ham nai un ko bhi chup chup kai
    Atey dekha in galion mein
    Yeh sach hai jhooti baat nahi
    Tum bolo yeh sach hai na ? !!!!!

    Kuch to loag kahein gai ..!! Logon ka kaam hai kehna

    Comment


    • #47
      Re: Sada Bahaar Geet

      Zindage mai kabhe koi aay na rabba
      aay jo koi to phir ja'ay na rabba
      denay hon ger mujhy baad main aanso
      Tou pehly koi hansa'ay na rabba
      zindage mai kabhe koi aay na rabba
      aay jo koi to phir ja'ay na rabba
      denay hon ger mujhy baad main aanso
      Tou pehly koi hansa'ay na rabba
      Tou pehly koi hansa'ay na rabba


      jaaty jaaty koi mere khushyo ko lay gaya
      soni soni akhyon ko ghum koi day gaya
      aas jo lagae hai aankh bhar aae hai
      kitna bhe koi sata'ay na rabba
      zindage mai kabhe koi aay na rabba
      aay jo koi to phir ja'ay na rabba
      denay hon ger mujhy baad main aanso
      Tou pehly koi hansa'ay na rabba


      dil leny waly pay koi zor nahe chalta
      piaar ka ye sikka kahi aur nahe chalta
      zindage mai kabhe koi aay na rabba
      aay jo koi to phir ja'ay na rabba
      denay hon ger mujhy baad main aanso
      Tou pehly koi hansa'ay na rabba

      Comment


      • #48
        Re: Sada Bahaar Geet

        Originally posted by Masood
        aaja meri barbaad muhabbat key saharey
        hai kon jo bighree hui taqdeer sanwarey

        aaey bhi na they khushk huwey aankhon mein aansu
        aaey aaey aansu
        nikley bhi na they lut gaey armaan becharey
        hai kon jo bighree hui taqdeer sanwarey

        anjaam-e-muhabbat hamein maloom hai lekin
        hamein maloom hai lekin
        letey hain terey gham umeedon key saharey
        hai kon jo bighree hui taqdeer sanwarey

        tha dil ko faqat teri muhabbat ka sahara
        muhabbat ka sahara
        ham ney isi umeed peh din apney guzarey
        hai kon jo bighree hui taqdeer sanwarey

        aaja meri barbaad muhabbat key saharey
        hai kon jo bighree hui taqdeer sanwarey
        me too like this song...shayad Shamshad Begum ya Suraiyya ki awaz mein band hai
        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

        Comment


        • #49
          Re: Sada Bahaar Geet

          w.salam!

          n nicoooooo silsila:)

          Comment


          • #50
            Re: Sada Bahaar Geet

            Jaane Q Khwabon Ka Mausam Hai Or Main Hon
            Jaane Q Yadon Ki Shabnam Hai Or Main Hon
            Yadin Lai Hain Khushian Bhi Aanso Bhi
            Jaane Q Ik Aisa Sangam Hai Or Main Hon
            Barse Jo Rang Itne Saare Rangeen Hoi Sab Nazare
            Lakin Mera Dil Kahin Bhi Lagta Nahin Bin Tumhare
            Tumko Bus Tumko Dil Dhonde Dil Chahe
            Janne Q Her Lamha Ye Sitam Hai Or Main Hon

            Comment


            • #51
              Re: Sada Bahaar Geet

              Manzilon pa'ey a kai lut'atey hain dilon kai karwaan ..!!
              Kashian sahil pa'ey aksar doobi hain pyar ki ..!!!

              Manzilein apni jaga hain rastey apni jaga ..!!
              Jab qadam hee saath na dein to musafir kya kerey ..!! ??
              Yun to hai hamdard bhi aur hamsafar bhi hai mera..!!
              Barh kai koi haath na dey dil bhala phir kya kerey ..!!!
              Manzilein apni jaga hain ........!!!

              Doobney waley ko tinkey ka sahara hee bohat ..!!
              Dil behal jaye faqat itna ishara hee bohat ..!!
              Itney par bhi Asmaan wala gira dey bijlian..!!
              Koi batla dey bhala ye doobta phir kya kerey :) ..!! ???
              Manzilein apni jaga hain ........!!

              Pyar kerna jurm hai to jurm ham sai ho gya
              Qabil -e- maafee hua kertey nahi aisey gunah :) ..!!!
              Sang dil hai ye jahan aur sang dil mera sanam ..!!!
              Kya kerey josh-e-junoon aur hosla phir kya kerey ...!! ???

              Manzilein apni jaga hain raastey apni jaga :)

              Comment


              • #52
                Re: Sada Bahaar Geet

                Merey dil mein aaj kya hai tu kahey toh mein bata doon .!!
                Teri zulf phir sawaron teri maang phir saja doon ..!!!

                Mujhey dewatta bana ker teri chahton nai pooja ..!!
                Mera pyar keh raha hai mein tujhey khuda bana doon..!!
                Merey dil mein aaj kya hai tu kahey toh mein bata doon ..!!!

                Koi humhein jo dhoondana chahey woh hamein na dhoond paye ..!!
                Tu mujhey kahin chupa dey mein tujhey kahin chupa doon..!!!
                Merey dil mein aaj kya hai tu kahey toh mein bata doon ..!!!

                Merey baa'zoan mein a ker tera dard cha'en paye ..!!!
                Terey gae'soan mein chup ker mein jahan kai gham bhula doon ...!!
                Merey dil mein aaj kya hai tu kahey toh mein bata doon ...!!!
                Teri zulf phir sawaron teri maang phir saja doon ..!!!

                Comment


                • #53
                  Re: Sada Bahaar Geet

                  Originally posted by ForumAdmin
                  Merey dil mein aaj kya hai tu kahey toh mein bata doon .!!
                  Teri zulf phir sawaron teri maang phir saja doon ..!!!

                  Mujhey dewatta bana ker teri chahton nai pooja ..!!
                  Mera pyar keh raha hai mein tujhey khuda bana doon..!!
                  Merey dil mein aaj kya hai tu kahey toh mein bata doon ..!!!

                  Koi humhein jo dhoondana chahey woh hamein na dhoond paye ..!!
                  Tu mujhey kahin chupa dey mein tujhey kahin chupa doon..!!!
                  Merey dil mein aaj kya hai tu kahey toh mein bata doon ..!!!

                  Merey baa'zoan mein a ker tera dard cha'en paye ..!!!
                  Terey gae'soan mein chup ker mein jahan kai gham bhula doon ...!!
                  Merey dil mein aaj kya hai tu kahey toh mein bata doon ...!!!
                  Teri zulf phir sawaron teri maang phir saja doon ..!!!
                  Wah Wah Paa ji yeh tu mera Fav hai :x
                  Zindagi Thak Gaye ..!!

                  Comment


                  • #54
                    Re: Sada Bahaar Geet

                    Originally posted by ForumAdmin
                    Merey dil mein aaj kya hai tu kahey toh mein bata doon .!!

                    Koi humhein jo dhoondana chahey woh hamein na dhoond paye ..!!
                    Tu mujhey kahin chupa dey mein tujhey kahin chupa doon..!!!
                    Merey dil mein aaj kya hai tu kahey toh mein bata doon ..!!!
                    bohat hi pyaara geet hai :) mujhe bhi bohat achha lagta hai.
                    :rose

                    Comment


                    • #55
                      Re: Sada Bahaar Geet

                      Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
                      Agar tum na hote, agar tum na hote


                      Tumhein dekh ke to lagta hai aise
                      Bahaaron ka mausam aaya ho jaise
                      Dikhaayi na deti andheron mein jyoti
                      Agar tum na hote, agar tum na hote
                      Hamein aur jeene ki..


                      Hamein jo tumhaara sahaara na miltaa
                      Bhanvar mein hi rehte kinaara na miltaa
                      Kinaare pe bhi to leher aa duboti
                      Agar tum na hote, agar tum na hote


                      Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
                      Agar tum na hote, agar tum na hote
                      Last edited by Mehak; 24 July 2005, 15:46.
                      :rose

                      Comment


                      • #56
                        Re: Sada Bahaar Geet

                        Originally posted by Mehak
                        Hamein jo tumhaara sahaara na miltaa
                        Bhanvar mein hi rehte kinaara na miltaa
                        Kinaare pe bhi to leher aa duboti
                        Agar tum na hote, agar tum na hote


                        Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
                        Agar tum na hote, agar tum na hote

                        :rose bohat pyara geet hai "agar tum na hotey...."
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #57
                          Re: Sada Bahaar Geet

                          Originally posted by Spy009
                          shayad Shamshad Begum ya Suraiyya ki awaz mein band hai
                          Nahin janab yeh gana Noor Jehan ki aawaz mein hai aur Noor Jehan hi is film ki heroine thin aur unhi peh picturise huwa tha. Ghalban yeh film "Anmol Ghari" ka hai. :)
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #58
                            Re: Sada Bahaar Geet

                            Yehi hai pyaarey zindagi, kabhi hain gham aur kabhi khushi
                            rait mein moti miltey hain, phool khizaan mein khiltey hain
                            torr na dori aas ki, yehi hai pyaarey zindagi
                            kabhi hain gham aur kabhi khushi


                            yeh deewaney duniya waley, waqt key saath badaltey hain
                            jab bantey hain kisi key saathi, char qadam hi chaltey hain
                            matlab key yaraney hain, apney bhi beganey hain
                            ham ney duniya dekh li, yehi hai pyarey zindagi
                            kabhi hain gham aur kabhi khushi



                            Khushiyaan kya hain dil waley to, dukh bhi hans kar sehtey hain
                            ham to janein chaand sitarey, gardish hi mein rehtey hain
                            mushkil ko aasan samajh, har gham ko mehmaan samajh
                            baat hai thori der ki, yehi hai pyaarey zindagi
                            kabhi hain gham aur kabhi khushi

                            rait mein moti miltey hain, phool khizaan mein khiltey hain
                            torr na dori aas ki, yehi hai pyaarey zindagi....
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #59
                              Re: Sada Bahaar Geet

                              Originally posted by Mehak
                              Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
                              Agar tum na hote, agar tum na hote


                              Tumhein dekh ke to lagta hai aise
                              Bahaaron ka mausam aaya ho jaise
                              Dikhaayi na deti andheron mein jyoti
                              Agar tum na hote, agar tum na hote
                              Hamein aur jeene ki..


                              Hamein jo tumhaara sahaara na miltaa
                              Bhanvar mein hi rehte kinaara na miltaa
                              Kinaare pe bhi to leher aa duboti
                              Agar tum na hote, agar tum na hote


                              Hamein aur jeene ki chaahat na hoti
                              Agar tum na hote, agar tum na hote

                              per yeh line to main dhoondte rah gaya...

                              Tumhen kya bataaon ke tum mere kya ho
                              Meri zindagi ka tumhi aasra ho...
                              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                              Comment


                              • #60
                                Re: Sada Bahaar Geet

                                Originally posted by Spy009
                                per yeh line to main dhoondte rah gaya...

                                Tumhen kya bataaon ke tum mere kya ho
                                Meri zindagi ka tumhi aasra ho...
                                yeh lines us song mein nahin hain jo merey paas hai, male singer ki aawaz mein wo geet hai. :)
                                :rose

                                Comment

                                Working...
                                X