Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Apka Khiyaal About Co-Education?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Co_education?

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    co-education honi chahiye

    co-education nahi honi chahiye :blush:
    Intelligent..............:slap:

    Comment

    • Re: Co_education?

      Originally posted by Khalil View Post
      Intelligent..............:slap:
      :thmbup: :thmbup: :thmbup: :thmbup: :D
      sigpic

      Comment

      • Re: Co_education?

        Originally posted by ummid View Post
        Is topic per paihle hi bauht discussion ho chuka hai...
        aap neeche diye linke per click kijye aur check ker lijye..:)
        http://www.pegham.com/showthread.php...ight=education
        MERAY KHIAL MAIN TOO YEH HAMARAY MUASHRAY KAY LIYAE BUHAT HEE ZIADA NUQSAN DAH HAI
        AUR ISLAM BHEE IS KI MUKHALIFAT KERTA HAI
        Fight for Khilafah
        :insha:

        Comment

        • Re: Co_education?

          as ISLAM iska concept nahi deta to definately NAHII honi chahye......!
          ye keh dena k "YE HAMAREY APNEY OOPER HAI"....is a wrong factor....
          ager hamarey apne oper ki baat hai to.....

          hamarey ghar main TV hai.....hamarey ooper hai hum dekhin na dekhin per kiya hum ne dekhna choora?
          is dunya main her accha or bura kaam kerna "HAMAREY OOPER" hi hoota hai phir bhi hum burayan ziada kerte hain.......
          ager sab hum ne apney ooper choor diya to koi haal nahi ho ga hamare AMAAL ka....
          apne ooper rakh ker bhi dekh liya or expereince n observation kehti hai do watever ALLAH SAYS.......!

          jis thread ka link Ummid sis ne dia ap wo bhi dekh sakte hain:)
          i m merging ur thread with that bcoz of related topics

          KHUSH RAHYEE!

          Comment

          • Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

            :mm:

            Comment

            • Re: MUBAHISA: Apka Khiyaal About Co-Education?

              Main Nay Sara Thread Perha Hai
              Kamal Ki Baat Hai Keh Sach Kehnay Wali ''girls'' Hain
              Yaqeen Nahi Aa Raha
              Chaloo Acha Hua Pehlay Hi Bahas Ho Chuki
              Waisay I Hate ..................
              Fight for Khilafah
              :insha:

              Comment

              • Re: MUBAHISA: Apka Khiyaal About Co-Education?

                Originally posted by abdulwahab View Post
                Main Nay Sara Thread Perha Hai
                Kamal Ki Baat Hai Keh Sach Kehnay Wali ''girls'' Hain
                Yaqeen Nahi Aa Raha
                Chaloo Acha Hua Pehlay Hi Bahas Ho Chuki
                Waisay I Hate ..................
                yahan per ager ap girls ko encourage ker dety to kiya jaata apka?:mm:

                Comment

                • Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

                  co education ko mari nazar say bilkol thek hai
                  bus apne apne dil ki bata hota hai mashahla mari 3 batiyan hain sub ki sub co colege main hai kissi ki koi shikaya nahi hai
                  Shakeel and co
                  ab allover the pakistan
                  E.mail
                  shakeelnco
                  mk_shakeel
                  @hoamil.com

                  Comment

                  • Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

                    Originally posted by brainheater View Post

                    CO EDUCATION ITNI BHI BURI CHEEZ NAHIN JITNA LOGOON NEY BAN DIYA HAI
                    Originally posted by aik_lerki View Post
                    umm mery khalya ma to co edcation ma koi burae nahe hai
                    Originally posted by Spy009 View Post
                    Ek taraf to laRkiyoN aur aurtoN ko barabar ka darja dene ki baat kar rahe haiN, to dusri taraf co ed ka muKhalafat, yeh muKhalaft kyoN...?

                    Originally posted by WorThless View Post
                    agar apni zaat hii kharab hai toh bakee sab bhi kharab hee kharab hai , Insaan ka apna aap theek hona chayeh bas , co-Education main parhney kai faidey kitney hein
                    Originally posted by khurram_shaikh View Post
                    ager islamic poin of view se dekhien to co education sahi nahin haan duniyaavi point of view se no problem :)
                    Originally posted by Ambreen View Post
                    co-education mein koi Aeib nahin hain bashart keh education hasil kerne ke dauran Ikhlaqi aur mazhabi HUdod ki pasdari rakhi jay..

                    Originally posted by SaPpHiRe View Post
                    ke apna aap sahi hona cahiye to phir koi problem nahi hogi.......
                    Originally posted by mr_sad View Post
                    co education ko mari nazar say bilkol thek hai
                    bus apne apne dil ki bata hota hai mashahla mari 3 batiyan hain sub ki sub co colege main hai kissi ki koi shikaya nahi hai
                    I would go for BIG NO

                    Aur yeh jo aap loog aik stupid comment de rahay hein ke ager insaan khud acha ho to kuch nahi hota, insaan apna mahool khud banata he, how silly you ppl are. Aik baat bataiye ager koi insaan nasha kerta he to kyoon kerta he, aik acha bhala insaan aik achay ghar ka insaan nashay ka aadiyoon kyoonker ho jata he? Yeh company he hoti he, yeh mahool hota he jo isay aahista aahista is duldul mein dhakeelta he.

                    Aaj kul co-education ka mahool ke peechay jo buraiyaan panap rahi hein shayad wo aap loog un se na-wakif hein aur ya phir shayad aap loog bhi un ka hissa bun chukay hein. kabootar ke aankhein bund kerne se billi gaib nahi jo jati.

                    Co-education School level tak theek he, lekin college / Uni mein nahi honi chahiye...ager koi institute Male aur Female doono ke liye he to us mein separate class arrangements hona chahiye, aik class mein larkay larkiyaan nahi honi chahiyein. Haan convocations, quiz ya kuch extra carricular activities co hoo lekin wo bhi aik hud mein.

                    Pichlay dinon aik doost se milnay mujay Gift Univ. Gujranwala janay ka itfaaq hua, wahan university ki cantein mein kia mahool dekhta hoon, her table pe aik larka aik larki ya do larkay do larkiyaan couples bana ke bethay hein, aur itnay saaray couples banay huay thay ke mujay aisa lag raha tha ke jese yeh sub students nahi bulke no-beyaahta jooray hein aur yahan pe honeymoon mananay aaye hein. aur akser larkiyon ke baray mein pata chala ke wo sialkot ya deegar sheheron se aai hein aur wahan kisi hostal mein rehti hein, aur us insitute ke rung mein puri tarah rang chuki hein. un ke waledein ko kia pata ke un ki buchiyaan un ki peeth peechay kia gul khila rahi hein. Ager perhna he maksood he to co-education aik shart nahi he, co-education ke bagair achay tareekay se perha ja sakta he.

                    Aur plz koi fazool se comments se co-education ko defend na he karay to acha he, cuz, i am very much clear in this regard. aur is co-education mein kia kia hota he, ager mein yahan detail mein bataon to shayad munasib na lagay...in universities aur colleges ki bohat sari ehlaaq se giri hui videos bhi dekh chuka hoon, jo co-education he ki paida-waar he.
                    :thmbup:

                    Comment

                    • Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

                      I think k co education ka muashray k bigar main koee dakhal nahien hai bal k is say ham main aitmad barhta hai...aaj kal khwateen mardon k saath kam ker rahi hain agar wo co education main taleem hasil nahein kerain gee tu wo us tarha mardon k saath confidance say baat nahien ker sakain gee yaa mard ho sakta hai un k saath confidance say baat na ker sakain...tu agar wo school aur college say hi aik doosary k saath rahain gay tu un main koee jhijak baqi nahien rah jaey gee...aur jab wo practical main dakhil hoon gay tu un ko koee mushkil nahien ho gee
                      sigpic

                      Comment

                      • Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

                        Originally posted by mr_sad View Post
                        co education ko mari nazar say bilkol thek hai
                        bus apne apne dil ki bata hota hai mashahla mari 3 batiyan hain sub ki sub co colege main hai kissi ki koi shikaya nahi hai
                        yae u r al right
                        ..YAHOO PASS HO GAYA...

                        Comment

                        • Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

                          well ham ye samjhte hain k co-education k haq main jo arguments diye jate hain woh bhot ache hain. I mean plus points kafi hain lakin ye mode itna flourish es liye nahi ho saka (ya could I say. nahi ho sakta??) kyun k hamara social set up es k bilkul opposite hai. ham samjhte hain k co-education students ko confident banata hai lakin hota ye hai k hamari society ki norms aik khas line per chalti hain tou buchey dou mukhtalif worlds ko balance nahi ker pate aur bhot si negative impacts samney aate hain. like Aamir ne kaha k unhon ne kisi institute main dekha k co education ki waja se students biggerr rahe hain tou ham samjhte hain k yahan es ki zimadari society per ayed hoti hai. aik factor tou ye hai k hamare yahan aik taraf tou parents buchon ko strict check mein rakhte hai k family and social norms ko follow karu aur doosriu taraf wohi parents unn ko her sahoolat faraham kerne k chaker mein ye bhool jate hain k woh facility buche ki zehni ro ko kis taraf le ker ja rahi hai. hamara media kia dikhata hai?? hamara nahi khyal k kabhi parents ne ye sochne ki zehmat ki ho k unn k buchey electronic media k kis pehloo se kis tarah affect ho rahe hain. so hota ye hai k jab buchey ya students aik dam se es co-education k mahole mein jate hain tou woh wrong direction ko follow kerne lagte hain. ofcourse hamesha esa nahi hota na he 100% students spoil hote hain.
                          so bunyadi zaroorat hai society mein aik sense of maturity peda kerne ki her level per.
                          "All I have learned from Life is that I know nothing."

                          Comment

                          • Re: MUBAHISA: Apka Khiyaal About Co-Education?

                            is main bhi Separate Institutes jeety the :shh: :blush:

                            Comment

                            • Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

                              Originally posted by Gul-e-Lala View Post

                              khuda key liya " hum yeh , hum wo " na kia kareen
                              app singular haan ya plural

                              akhri jumlay ko 100 watt key bulb ki roshni daleen
                              "sense of maturity " sey kia murad hay
                              is key through ager app co - education ki favour ker rahi haan to afsoos hay

                              main to sirf itna kahoon ga key wo kon si co - education class naeen hay jahan pairs naeen baneen

                              meri nazar main is ka sirf aik hi faida hay key Government ko 2 alag alag institute naeen bananey pertay
                              otherwise koi faida naeen

                              is cheeze per itni dafa baat ho chuki hay key ab is thread ko dekh ker ajeeb si uljan hoti hay key abi tak yeh zeray behas hay
                              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                              Comment

                              • Re: co education ko app kis nazar say deekhtay hain ???

                                Originally posted by filbahere View Post
                                khuda key liya " hum yeh , hum wo " na kia kareen
                                app singular haan ya plural

                                akhri jumlay ko 100 watt key bulb ki roshni daleen
                                "sense of maturity " sey kia murad hay
                                is key through ager app co - education ki favour ker rahi haan to afsoos hay

                                main to sirf itna kahoon ga key wo kon si co - education class naeen hay jahan pairs naeen baneen

                                meri nazar main is ka sirf aik hi faida hay key Government ko 2 alag alag institute naeen bananey pertay
                                otherwise koi faida naeen

                                is cheeze per itni dafa baat ho chuki hay key ab is thread ko dekh ker ajeeb si uljan hoti hay key abi tak yeh zeray behas hay
                                I dont think so k hamarey Ham kehne se kisi ka bill ata hai :embarasse wese ham poori koshish ker rahe hain es Ham se peecha churrane ki..

                                ham ne kahin nahi kaha k ham co-education ko recommend kerte hain ager aap ne hamara reply ghore se perrha hai tou ham ne start mein he kaha hai k hamari society ki norms esi hain k yahan co-education prevail nahi ker sakti. ye jo pairs wagera wali baat hai ye bhi immaturity ko show kerti hai aur kuch nahi. aur ham ne yehi kaha hai k pehle humain apni over all soch change kerne ki zaroorat hai phir ham co-education implement ker saktey hain SUCCESSFULLY. humain es baat ki samjh nahi ati k jahan dou mukhalif sinf k log baat ker rahe hun wahan yehi kyun kaha jata hai k there is something wrong.
                                anyways ham ne co-education k haq ya mukhalifat mein tou kuch kaha he nahi hai ham ne ooper ki gae baat ki aik logic di hai aur ye bhi kaha hai k zaroori nahi aap log es se agree karen.
                                aap plz aik baar phir hamare reply ko perrhye aur dekhye k ham ne kiya kaha hai werna ham aap k "is key through ager app co - education ki favour ker rahi haan to afsoos hay" ko mind bhi ker sakte hain k u have misinterpretted my views.
                                "All I have learned from Life is that I know nothing."

                                Comment

                                Working...
                                X