Re: Apka Khiyaal About Co-Education?
Behna sab sey pehley to me sorry keh bohat late reply kar raha hoon :)
Har tasweer key do rukh hotey hain. Co-education ka jo sab sey bada faedah meri nazar mein hai woh yeh hai keh is sey larkiyon mein khud'aetmadi pedah hoti hai. Woh shuru hi sey mardon ki zindagi mein rehti hai, khud ko apna muqaam dilati hai, jo keh aik achhi baat hai.
Magar co-education key nuqsanaat bohat hain, jo keh waqt key sath sath nazar aa rahey hain. Agar ham taleemi nuqtah-e-nazar sey dekhein to sab sey pehli baat yeh samney aati hai keh hamarey nisaab mein bohat si aisi baatein hain jo larkiyon ko btani chahiye, magar co-educaton ki wajah sey nahin btaee jatin, auraton ki tarbiyat aik mukhtalif andaz mein honi chahiye. Aur woh andaz us waqt tak nahin ho sakta jab tak mard mojood hon.
Aaj kal uni's mein aik ajeeb si baat ho rahi hai keh couples bnaey jaa rahey hain. Jo keh merey nazdeek buraee ki janib jaaney waley raaston mein sey aik hai. Colleges, Uni's taleem key liye hotey couples bnaney key liye nahin. Jo kuchh scandels aaj kal ho rahey hai, yeh taleem key munh per aik tamacha hai.
Islami taleemat bhi ham theek tareeqey sey nahin dey saktey. Wuzu ka tareeqah kaisey btaein gey? Zaroori nahin yeh batein gharon sey seekhi jaein, school isi liye hotey hain.....
Biology aik mazmoon hai jo bohat aham hai. Magar is mein aap larkiyon aur larkon ko aik saath taleem nahin dey saktey.
Bohat si batein apney zehan per munahsir hoti hain. Magar mahool ka bohat asar hota hai. Aur jo kuchh aaj kal co'education mein ho raha hai, is sey behtar hai uni's ko taley laga diyey jaein.

Comment