Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Apka Khiyaal About Co-Education?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

    Originally posted by ummid
    co-education..........
    i think humein co-education ko incourage nahi karna chahiye.
    hum jis maashrey mein pale badhe hai wahan per ladkey or ladkiyon ke liye alag alag hoodod or qwanin hai. phir sub se badh kar fitarat ne marad or aurat ke bich jo kashish rakhi woh darasal ek ghar takhlikh karney ke liye ideal hai bus agar aap behtarin ghar takhlikh karna chahtey hai (jo hamari masharati zindagi ka sooton hai) tu aap ko mard or aurt keh har chor raste ki nafi karni chahiye. lakin is keh bajay hum or aap kya karte hai????????
    hum jalti hoi aag per tail daltey hai or saath bachao bachao keh nare lagate hai or koi bewaqoof bhi hamein bachane nahi aata.
    i think mein ne apni baat kafi clear kardi hai.
    (this words are not my own words. kafi time pehle kahi padhey jo mere khayalat ki akkasi kar rahe hai)
    Your quote italic highlighted is totally wrong, aap kis zamaney ki baat kar rahey hain, log chand per ja chukey hian, space mein tair rahey hian, Mars pe bahut jald insan ka qadam step inn honey wala hai...aur yeh aurat mard ke bich mein farq laa kar ham yaqeenan 12th century mein pahunch jayenge.

    Rah gayi burai wali baat to yeh to sirf aur sirf girsl hostel mein bhi milega, buray log sabhi jagah hain, sabhi mahol mein hain, iska yeh matlab nahin ke co ed bura ho gaya.

    Co ed agar na ho to girls bahut peechhey rah jayengi, unka dayera kitchen, silayi kadhayi tak hi rah jayega.
    Phir to ladkiyan Medical, MBA karney se rah gayi

    Aaj puri duniya mein co ed hai, agar co education nahin hai to uska education standard low hai and education pattern will be unrecognized, jiska koi value nahin hoga.
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment


    • #32
      Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

      Originally posted by Spy009
      Your quote italic highlighted is totally wrong, aap kis zamaney ki baat kar rahey hain, log chand per ja chukey hian, space mein tair rahey hian, Mars pe bahut jald insan ka qadam step inn honey wala hai...aur yeh aurat mard ke bich mein farq laa kar ham yaqeenan 12th century mein pahunch jayenge.

      Rah gayi burai wali baat to yeh to sirf aur sirf girsl hostel mein bhi milega, buray log sabhi jagah hain, sabhi mahol mein hain, iska yeh matlab nahin ke co ed bura ho gaya.

      Co ed agar na ho to girls bahut peechhey rah jayengi, unka dayera kitchen, silayi kadhayi tak hi rah jayega.
      Phir to ladkiyan Medical, MBA karney se rah gayi

      Aaj puri duniya mein co ed hai, agar co education nahin hai to uska education standard low hai and education pattern will be unrecognized, jiska koi value nahin hoga.
      assalamaalaikum.
      mr. spy009
      mein usi zamane ki baat kar rahi hon jis mein aaj hum or aap saans le rahe hai.


      I think now I am more clear. Phir bhi koi etaraz ho tu shoq se uthaiye, I am always ready to clear my point of view.
      Khush rahiye.
      Allahafiz.

      Comment


      • #33
        Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

        ARRRE LOOGON......:tauba
        BEHNON OR BHAYOOON:embarasse Innnnne saari discussion???

        Me ka thora wait to kiya hota na:tauba .......Anyways........

        CARRY ON UR DISCUSSIONS OR MAIN APK IK IK REPLY KA TAFSEEL SE :insha: JAWAAB DON GI!:)

        after my papers :tauba :cc:
        to ap log carry on shon rahin
        stay tune

        or larayaan nahi kerni ok?:hathora
        HER PERSON KO USKA POINT OF VIEW XPRESS KERNE KA POORA IKHTIAAR HAI.....OR YE KABHI MAT SAMJHIN K JO HUM SOCHTE HAIN WO 100% CORRECT HAI........DOOSRON KO BHI UNKI BAT XPRESS KERNE KA MOQA DIJIYE!!!

        Thx!
        Best Regards!
        Barish!:)

        Comment


        • #34
          Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

          Originally posted by Yaaram
          Acha mOzo hay Barish main apne comments le kar aaon ga InshAllah :)
          WAITING......4 REPLY!:cc:

          Comment


          • #35
            Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

            Originally posted by Spy009
            I am totally against of your thoughts,

            Jab Pegham shuru shuru mein aaya tha to issi tarah ka related subject tha mujhe yaad nahi aa raha hai, shayad Aanchal ji ka start kiya huwa thread tha,
            aap search karen wahan answer mil jayega

            Co ed kisi bhi ma'eyne mein bura nahin hai balke co ed se qualified boys girls ek kaamyab mentality ka personality hota hai, kahin bhi job talash karney ya self settle honey mein ussey koi dushwari nahin hoti hia, unka thinking deegar logon (students) ke comparatively higher hota hai.
            personal experience
            Maine 8th standard tak Co ed mein padha, saath hi 4 years ka co ed public school (MRB Public School, Delhi) mein teaching bhi kiya.
            Main ne to apni thoughts xpress hii nahii kiin abhi:cc: :khi:

            Comment


            • #36
              Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

              Originally posted by ummid
              assalamaalaikum.
              mr. spy009
              mein usi zamane ki baat kar rahi hon jis mein aaj hum or aap saans le rahe hai.


              I think now I am more clear. Phir bhi koi etaraz ho tu shoq se uthaiye, I am always ready to clear my point of view.
              Khush rahiye.
              Allahafiz.
              Salam

              Aap itni jal kyon gayi...yeh koi maidan e jung to nahi...apna apna opinion pesh kiya gaya hai,
              Chand ki khoobsurati aur badsoorati se matlab nahin hai, baat ho rahi hai taraqqi ki,

              Har chiz ka negative pahloo nahin hota, pabandiyan jahan zyadah hoti hain, wahin se ladkiyan zyadah bhagti hain, aur koun kahta hai ke wahan burayiyan nahin hoti, boys ko choren...girls hostel ka jayeza len...achhey boorey log sabhi jagah hai to iska result poorey pe nahin dalna chahiye. Insaan ko waqt ke saath chalna chahiye, log 12th century lantern wale zamaney pe to nahni jayega naa....jahan log soap ki jagah mitti se nahatey thay.
              Western ka ham blame lagatey hain zara imaandari se batayen koun Eastern country hai jo western ko follow nahin kar raha hai, Europe aur US ki burayi kartey hain lekin jana wahin chahtey hian, job wahin karna chahtey hain. Filme, music, dance western design garments se koun Eastern country bacha hai, aap Pakistan ke hain Islamic country hai to weekend Friday ki jagah Sunday kyon hai. To jo qaul hai wo fa'a nahin, to blame lagana naa insaafi huwi, iss liye hamey waqt ke saath chalna chahiye, warna peechey rah gaye to result ghulami ka hoga.
              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment


              • #37
                Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                Originally posted by Barish
                Main ne to apni thoughts xpress hii nahii kiin abhi:cc: :khi:
                Masshhhooommm Bachhi to thought pesh karo naa
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment


                • #38
                  Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                  Originally posted by Spy009
                  Salam

                  Aap itni jal kyon gayi...yeh koi maidan e jung to nahi...apna apna opinion pesh kiya gaya hai,
                  Chand ki khoobsurati aur badsoorati se matlab nahin hai, baat ho rahi hai taraqqi ki,

                  Har chiz ka negative pahloo nahin hota, pabandiyan jahan zyadah hoti hain, wahin se ladkiyan zyadah bhagti hain, aur koun kahta hai ke wahan burayiyan nahin hoti, boys ko choren...girls hostel ka jayeza len...achhey boorey log sabhi jagah hai to iska result poorey pe nahin dalna chahiye. Insaan ko waqt ke saath chalna chahiye, log 12th century lantern wale zamaney pe to nahni jayega naa....jahan log soap ki jagah mitti se nahatey thay.
                  Western ka ham blame lagatey hain zara imaandari se batayen koun Eastern country hai jo western ko follow nahin kar raha hai, Europe aur US ki burayi kartey hain lekin jana wahin chahtey hian, job wahin karna chahtey hain. Filme, music, dance western design garments se koun Eastern country bacha hai, aap Pakistan ke hain Islamic country hai to weekend Friday ki jagah Sunday kyon hai. To jo qaul hai wo fa'a nahin, to blame lagana naa insaafi huwi, iss liye hamey waqt ke saath chalna chahiye, warna peechey rah gaye to result ghulami ka hoga.
                  Tasleem!
                  First of all mein koi jali nahi hon! Or dusri baat mujhe yeh bhi pata hai keh yeh medan-e-jang nahi hai!
                  I totally agree with you keh har cheez ka sirf negative pehloo nahi hota!

                  Taraqi ke naam per auraton ka istehsaal karne walon ki koi kami nahi hai!
                  Islam ka duniya mein aana or duniya ke kone kone mei phelna yahi sub se badi taraqi hai iske baad aap kis taraqi ki baat kar rahe hai.
                  Aaj hum mazhab ki baat karte hoyed arte hai kyun ke istarah hum per buniyaad pasand or rajaat pasand (narrow mind) hone ki chaap pad jati hai.
                  Ek aur baat waqt ke saath chalna aur waqt ke saath badlna do alag baatein hai! waqt ke saath chalne ka matlab hai keh aap apne iqtedar, apni tehzeeb ko lekar naye zamane ki har cheez se aashna ho jaye. Or waqt ke saath badlne ka matlab hota hai aap apni tehzeeb-o-tamadun ko chod kar naye rang mein rang gaye!
                  Humein waqt ke saath chalna hai badlna nahi hai!
                  Aur raha sawal eastern countries jo west ko follow karti hai tu aap cheen ko deklein unhun ne apna culture nahi choda, japan ko deklen who bhi apne culture ko mazbooti se pakde hoye hai!
                  Jo accha ahi use dekein jo bigad gaya hai use sudharne ki koshish kijye!
                  Warna quran mein tu likha hi hai na:

                  Matlab TUMHARE LIYE TUMHARA DEEN MERE LIYE MERA DEEN.
                  Koi baat bori lagi ho tu SORRY!
                  aap ne apni raye di mein ne apni.
                  Khush rahiye.
                  allahafiz.

                  Comment


                  • #39
                    Re: Apka Khiyaal About Co-Education?


                    ARAY ARAY GHUSSA NAHI........ SAB LOG SAKOON SAI BAAAT KARAIN......

                    CHIPKOOOOOOOOOOOO

                    Comment


                    • #40
                      Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                      Originally posted by Barish
                      Assalam-o-Alikum pegham.net!!!
                      Originally posted by Barish

                      Mera aj ka topic buhat common hai or iss per thoori discussion honi chahiye becoz it deals with youth…n their career….!

                      Co-education ko ap kis nazarye se dekhte hain?
                      Kia apk khiyal mai co-education Islamic society k liye nuqsaan-de hai ya iska hoona koi ghalat baat nahi.

                      Apne replies mai reasons zaror dijiye ga k either u like co-edu or not…….y n y not?

                      Kia co-edu hamari society mai bura asar dal rahi hai ya nahi?
                      Wo institutions jo co hain or jo separate hain un mai kia farq hai…

                      Waiting 4 ur precious rai!
                      KHUSH RAHIYYE

                      WASALAM!

                      aslamo alykum meri taraf se sab behan bhaiuon ko , mery khiyal main hamray moashry ka sab se bara almiya ye hy k jab kabhi bhi hameen kisi baat per guftgu kiliye kaha jata hy to hum asal mozu se hut jaty hain aur aik dosry ki ikhtilafi raay ko bardasht naheen karty .ab yahaan bhi yehi hua hy k mohtarma ny jo sawalaat kiye hain un main aik sawal ye bhi tha k ...kia aap k khiyal main co-education islamic socity kiliye nuqsan de hy ya iss ka hona koi ghalat baat naheen?
                      ye tah asal sawal jis ka hameen jawab dena chaiye tha kiuonk muslmaan hony k naty hameen is hi sawaal par gour karna chaiye tha aur islamic point of view peesh karna chaiye tha jo k islaam ki demand hy?likin afsoos sab ny apni apni zati raay to de k k hameen co education pasand hy iss liya aur iss k ye ye faydey hain iss liye ye honi chaiye likn asal sawal ka jawab kisi ny naheen diya seway khalil sahib k unhoon ny jung k waqea se qayaas karty huy co education ko jayez qaraar diya aur sath main likha k islaam main iss ki ijazaat hy (likin pata naheen wo islaam kon sa hy )mery khiyaal main ye un ki apni zaati ray hy aur wo akasar iss kisam ki ray de jaty hain ?begair mutalia kiya .
                      rahi baat ye k co education islamic socity kiliy achi hy ya naheen to seedhi se baat hy k ye deen ALLAH ki tarf se nazil karda hy aur sharee qawaneen khuday bazrg u bartar k banay huy hain un main hargiz koi siqam yani kami naheen ho sakti lehaza jab islaam mardo aur urat k azadana ikhtilaat ko mana farmata hy to lazmin iss main hikmateen ziyada hian un faydoon ki banisbat jo aap tamaam loogon ny co education k haq main diye hain . ab mery khiyaal main mujh ko yahaan mardo aurat k azadana ikhtlaat par koi quran o aur sunnat se dalil peesh karny k zaroorat naheen kiuon k aap sab log hi janty hon gay iss mozu par aap logon ny zaroor khuch na khuch paraha hoga.lehaza hameen chaiye k hum apny deen ka defa kareen na k magrbiyat zada moashray se mutasar bhokar apny deen hi ka huliya begaar leen .w/slaam aabid:phool:
                      Last edited by aabi2cool; 18 January 2006, 16:38.
                      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                      Comment


                      • #41
                        Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                        Originally posted by aabi2cool

                        seway khalil sahib k unhoon ny jung k waqea se qayaas karty huy co education ko jayez qaraar diya aur sath main likha k islaam main iss ki ijazaat hy (likin pata naheen wo islaam kon sa hy )mery khiyaal main ye un ki apni zaati ray hy aur wo akasar iss kisam ki ray de jaty hain ?begair mutalia kiya .

                        Ager main aap ko sabit ker don k islam main jaiz hay to pher???

                        Comment


                        • #42
                          Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                          Originally posted by Last Knight
                          [/center]
                          Ager main aap ko sabit ker don k islam main jaiz hay to pher???
                          PLZZZ MUFTEE SAHB.......JALDE SEY SABIT KAROO.......KION KE ME KHOD COEDUCATI0N PARTA RAHA HON...........:ghug:
                          Life is more strict than a teacher
                          A teacher teaches a lesson
                          and takes an exam.
                          But life takes an exam
                          and then teaches a lesson

                          Comment


                          • #43
                            Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                            Originally posted by Last Knight
                            [/center]
                            Ager main aap ko sabit ker don k islam main jaiz hay to pher???
                            PLZZZZ MUFTEE SAHBI JALDEE SEY SABIT KAROO........ KION KE MEY COEDUCATION ME PARTA RAHA HON..OR AGY BE IRADA HAY..........
                            Life is more strict than a teacher
                            A teacher teaches a lesson
                            and takes an exam.
                            But life takes an exam
                            and then teaches a lesson

                            Comment


                            • #44
                              Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                              Originally posted by Munda_pk
                              PLZZZZ MUFTEE SAHBI JALDEE SEY SABIT KAROO........ KION KE MEY COEDUCATION ME PARTA RAHA HON..OR AGY BE IRADA HAY..........
                              humm
                              dekhain G yehi sabit hugia hay k ager asad perhta raha hy to es ka matlab hay k theek hee hay:mm:

                              Comment


                              • #45
                                Re: Apka Khiyaal About Co-Education?

                                Originally posted by Last Knight
                                humm
                                dekhain G yehi sabit hugia hay k ager asad perhta raha hy to es ka matlab hay k theek hee hay:mm:
                                dekheen bhai yahaan baat dalail se aur sharee hawala se sabit kareen asad ka amal kisi bhi muslim kiliye hujat naheen hy uon to main bhi co education mai parha hon:phool:
                                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                                Comment

                                Working...
                                X