Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

    Originally posted by hamzad View Post
    orat ka asal mukam us ka ghar he jahan us ko bohat sara waqt dena hota he,bachon ki tarbeyat karna hoti he or ye aik full time job he is ke elawa phir mazeed kisi job ki kia zarurat he?:donno:ager wo ghar ko bhi dekhe or job bhi kare to wo phir double kaam kare gi or natija thakawat or zehni tension ho ga jo us ke ghar or bachon par bure asraat muratab kare ga.aj ke doar me insan me bardasht kam ho chuki he is leay k insan ne khud ko bilawaja hi dher saer bakheron me masroof kar lia he.purane waqton me khwateen gharon par rehne ko tarjeeh dia karti thein to ghar pursakoon raha karte the jab ke aaj dekh lein kese asaani se ghar toot jate hen.
    Thanx ! for submitting a nice POST :) :salam:Very nice Points ..I am totally agree with U :roseThanx !

    Comment


    • #17
      Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

      Originally posted by jia View Post
      app nay bikul theek kaha hay laikin agr usi ghar main kuch khany ko na hoa or koi or kmany wala bhi na hoa to kia aurat moon daikhti rhay ge k koi aa'ay or mujhy kmaa kr day....mery khiyal say aurat ko zindagi k hr shobay main mharat hasil honie cha'he'ay....taan k woh hr mushkil ka samnaa ba'koobi kr saky or usay kisi ka mohtaaj na hona pary....agr koi khwaateen job kr bhi laiti hain to is main koi problem nahi hay.... job krna dossroon k aagy haath phailany say behtr hay:)
      or agr koi auat job krti hay to is ka mtlb yeh nahi k woh apny bachoon ko nahi sanbhal skay ge...ajj kal k moashry main jo khwateen job krti hain woh poarni khwateen ke nisbat ziyada illam rakhti hain..or apni knowledge k hisaab say woh apny bachoon ke achi parwrish bhi kr sakti hain or job bhi kr sakti hain:)
      deykhiya jia jee ...JAHAN ZAROORAT ka word ata hai na ...Tu we have No arguments for that ....that is obligatory for a WOMAN to help...her family out of BLACK TIME ..right!!!!!! V here are talking about the women who just do job tu b independed or to get more MONEY ...
      but this is true that a woman who goes out for earning can NEVER EVER give equal attention to her family home ..Kids....other family activities ...problems...! she just have tensions which she brought from outside ..and ....:) that can make worst conditions at home.. when our hubby needs a relaxed atmosphere at home when he comes back from a hard long day....at work* ....a wife should b there to relax him not not create more tensions....aap soach sakti hein ghar ka kia naqsha ho ga :)

      Comment


      • #18
        Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

        Originally posted by jia View Post
        App nay bhi biklkul theek kaha hay....laikin aik trf aap keh rahi hain k khwateen ko job nahi krni cha'he'ay or dussri trf app keh rahi hain islaahi turr pr kaam krna theek hay to main app ko btati chalo k jisay hum log job ka name day chukky hain usay dossry lafzoon main kaam krna he kaha jata hay...or jisa k app nay kaha k aisi aurtoon tk illam pohancha'ain jo k kisi wjah say parh nahi sakeen to isay dussry lafzoon main teaching kehty hain or yeh bhi job he hay:)
        aik trf app keh rahi hain k job nahi krni cha'he'ay or dussri trf job k zraya bata rahi hain ?:cc:

        Oh Dear Oh dear :) ....WHY DO WE PPL always think of money....
        JOB here we talk about is .....EARNING MONEY ....
        jo kaam ISLAAHI TURR per kiyay jaatay nah Behnaa wo earn karnay k liyay nahi hotay...wo sirf Allah ko khush rakhnay aur ...Society ko behtar bana-nay k liyay hotay hein ..oss k liyay aap ko ghar se bahir janay ki zaroorat nahi...aap kuch time jo gupping shupping aur parties mein lagatay hein wo time aap onn tak apna mofeed elm deynay mein guzarein ..i think aik aurat jo gahr mein rehti hai oss k pass 2 se 3 ghantay tu rehaty hein hee k wo apni marzi se guzar sakay aap agar chahtay hein k aap k elm se koi fai-da othaa-ay tu .. iss k liyay aap onn 2 ya 3 hours mein kuch b acha kaam kar sakti hein ..but WITH OUT MONEY:)

        Comment


        • #19
          Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

          Originally posted by Aanchal View Post
          poornay waqatoun main bhi aurtian kaam karti thein lekan gharoun main reh kay karti the usay job ka naam nahi dia jata tha ....ab vohi kaam bahir ja kay karnay lagi hain to usay job ka naam day kay is ki mukhalafat ki jati hai....aaj bhi aurtian gharoun main kaam kar rahi hain agar yehi bahir ja kay karian to mukhalafat aisa kio ?:donno: ....

          aik aurat ko sirf apnay bachoun apnay ghar key leye nahi pooray mulk ki leye kaam karna chaye :)

          .

          U R Right....MERA POINT YEHI tha ...K WHY WOMEN GO OUT FOR JOB,.....they can stay at home...and can do many things ...
          .laikin is mein b ek point aur oth-ta hai ...
          K ...ek khatoon hein and I KNOW HER VERY WELL...she is really dear to me ...wo ghar rehti hein ...magar ghar reh kar ..She live in another state and .NEW YORK city mein ek Medical institute hai oss se Connected hein computer k through wo Insurance and isi kisam ka kaam karti hein ...and U cant believe .. K wo chanay k bawajood waqt per apnay bachoun ko sahi se kahan nahi dey saktien ..wo Working hard wali conditions deyti hein ...magar onn k bachay kabhi cereal kah rahay hotay hein kabhi cookies ..though she wants to give them tiem in studies but she can not because onn ko ..har waqt Foen per infoz leyan hoti hein reporst likhan hoti hein forms fill karna hota hai i dont know kia kia karna hota hai so it is effecting on her health as well as on her family life...! so.......!:)

          Comment


          • #20
            Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

            Originally posted by jia View Post
            ....mery khiyal say aurat ko zindagi k hr shobay main mharat hasil honie cha'he'ay....taan k woh hr mushkil ka samnaa ba'koobi kr saky or usay kisi ka mohtaaj na hona pary...
            Beyshak AIK AURAT KO WO sab kuch maloom hona chhaiyay ..jo oss k liyay aagay chal kar kaam , aa-ay ....LIFE ki har problem ko face kar sakay ...she should b better than men by all means ....BUT ...oss k liyay b Jon karnay ki har giz zaroorat nahi ....AAP apni abilities ko mukhtalif tareeqoun se ....show kar sakti hein ....:) not only ..... being a WORKING WOMAN ..:)

            Originally posted by Aanchal View Post
            sahi :thmbup: aksar loog yehi kehtay hian jab buhat zarorat hoo tab kaam kia jaye ..lekan mery nazdeek yehi hai kay aap pehlay hi say apnay aap ko set karoo ..takay bad main mushkil aye hi na ...
            bad main kjab job karna chaaye gee to jobs us kay leye available houn gee ?:) itna fast zamana hai kisi bhi cheez key leye kafi hath paoun marnay partay hian ...bad main jo cheez usay chaye woh wesi mill jaye gee usay ?mazeed tension hoo gee usay job dhoundnay main bhi ...or ghar main reh reh kay aksar aurtian is taraf step utha bhi nahi sakti pher ...itna arsa ghar main guzaar kar bahir niklna koi asan nahi hota ...is taraha woh dosroun ki muhtaaj rehti hai koi aye to us ka kaam karwa day :)


            ..
            :) jee dear ! WE should b prepared for any situation ...zahir hai taleem haasil karna har mard o zan per farz hai ...aur iss se kisi ko inkar nahi...WO tallem iss had tak haasil karay jis had tak wo chahti hai ... But taleem haasil karnay yeh matlab har giz nahi k wo job karay ...zamanay k fast honay ka ap kehti hein dear tu zamany ko bana-nay walay b tu hum insan hee hein na....Hum kion nahi MEHDOOD hotay , hum kion nahi waqt ko mutthi mein leytay hum waqt k sath kion bhagtay hein hamein apna stamina ..itna strong karna chhaiay k ...waqt k sath bhagna na paray hum waqt k sath chalein ..:) ....hum yeh kion soachtay hein k ...waqt hamein yeh sab kuch karnay per majboor kar raha hai ....beyshak ek mushkil waqt mein jab KHATOON ko ghar se bahir nikalna prta hai tu wo khas mushkil hota ho ga ...beyshak magar ....AUARAT ki yehi tu salahiyat hai k wo har mushkil waqt mein mard se bahr k mushkil ka samna karti hai ..magar os k liyay yeh kehna lazim nahi lagta k sirf wahi aurta baahdur hai jo gahr se bahir nikal k job karti hai .:) Jin kamoun k muhtaaj honay ki aap baat kar rahi hein wo aurat JOB k binaa b kar sakti hein ....Koi b ghar mein erhnay wali khatoon ...i mean jo working woman nahi ho ..wo sari groceries , saray bank mein bills and other kaam kar sakti ...hai....IS K LIYAY WORKING WOMAN honay ki koi zaroorat nahi :)

            Comment


            • #21
              Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

              hmmmmmmm


              aurton ki job k baray main........well her insaan ki apni thoughts hoti hain..or me ap say apni kuch thoughts share karon gi ais baray main

              jahan tak mera khayal hai keh...ager ap k paas itni qulification hai keh ap izat ki job ker saktay ho tu zaroor kerni chahiye.....per yeh nahi hai keh...ager kisi waja say ap zaiyda nahi perh saki tu ap ko job kerni he nahi chahiye...kerni chahiye..lakin apnay mutabik ki...or mera yeh b khayal hai keh...urat ko job shadi k pehlay tak he kerni chahiye.....haaan shadi k baad b ker sakti hai....but sirf ager zaroort ho tab....ager ap ko zaroort nahi hai tu...shadi k baad ap ko job nahi kerni chahiye...coz ik gahar hota hai ap ka...husband hota hai..buhat si responsibility's hoti hain....so un sab ko peechay chor ker ap ko job nahi kerni chaiye......
              or after babies b mera yahi khayal hai keh uraat ko job nahi kerni chahiye....sara time apnay gahar ko or babies ko he dena chahiye...baat wohi keh ager zaroort ho tab tu zahri baat hai....ap ko her haal main kerni he paray gi.....


              well in sari baaton k end main yahi kahon gi....keh uraat ko jab tak gahar say bahir poun nahi rakhna chahiye..jab tak wo majboor na ho.....us ko zaroort na ho.....meri tu yahi thoughts hain......

              Comment


              • #22
                Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                Originally posted by Aanchal View Post
                hamra point yeh hai kay agar pehlay hi say is taraf kushish ki jaye to majboori peda hi nahi hoo gee ...:D: ab majboori a gai to zahir hai karni hi parey gee jo kay hamra mozoo nahi hai yeh ...

                or shok ki baat kahi hai aap nay to is main boorai kia hai kisi ko job ka shok hoo to ?:D: jesa kay main nay pehlay kaha kay pesa kamana , taleem ka istamal yeh sari cheezian hasil karnay ka haq to aurat ko bhi hona chaye ...or shok hai to tab bhi koi boorai nahi ...

                deekhian aik aurat ghar main reh kay kaam kaaj karti hai bachoun kideekh bhaal karti hai ..or bakis ara waqat tv, parties,or shopping in cheezoun main guzar daiti hai .....or dosri aurat ghar/bachoun kay bas apna waqat jobs main guzartyi hai to kia boorai hai ?

                aurtoun ki zindagi may bhi stages hotay hian ...parhai kay bad shadi say pehlay kafi waqat hota hai us waqat bhi job kar sakti hain ...us waqat kuch khas zimmdarian bhi nahi hoti ..

                continue .....:D:
                shok me job karna burai nahi he lekin isi shok shok me aap janti hen k males ki job ke leay jobs ka aik masla ban chuka he.bohat sari jaghon par khawateen ne mardon ka haq ghasab kar rakha he or asal zarurat mand mard jinhon ne aik puri family chalani hoti he un ko jobs nahi mil paten.or bat he zarurat ki to mera point ye he k bila zarurat or khas tor par jab larki married he or us ke kids chote hen to us ko job nahi karni chaey.me aik family ko janti hon wife doctor hen un ke husband ki job bhi esi he k zeada time bahir rehna parta he or ab dono ki gher mojudgi me un ke 2 kids ghar par aik mulazim ke sath ghar par akele hote hen ab ye kahan ka insaf he ya kahan ka shok he k ap apni sab se qeemti cheez apni job par risk me rakh rahe hen.har insan ki aik infradi kahani ya kirdar he ager to wakai life style esa he k job asaani se ki ja sakti he to kare warna orat ko afeyat apne ghar me hi naseeb hoti he.or waqt na neya hota he na purana wohi rehta he.bachon ko aaj bhi wesi hi tawajo or piyar ki zarurat hoti he jese pehle thi.pehle bache ki tarbeyat maan karti thi ab taleem to zarur achi mil jati he lekin tarbeyat ka bohat fuqdaan he.ager esa nahi hota to apne moashre me barhti hui beycheni ko dekh lein.maon ke paas waqt nahi k bachon ko acha bura samjha saken.sara hafta parents apni apni job me bzy life bhaag rahi hoti he bas weekends par kuch time share kar lia jata he.
                baki jab kids bare ho jaen or orat ke pas waqt ho to us waqt bhi wo koi kaam kar sakti he it depends on situation:)

                Comment


                • #23
                  Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                  Originally posted by Gul View Post
                  Thanx ! for submitting a nice POST :) :salam:Very nice Points ..I am totally agree with U :roseThanx !
                  thanxx:)aap ke points bhi aik dam:thmbup:

                  Comment


                  • #24
                    Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                    Originally posted by Gul View Post
                    Oh Dear Oh dear :) ....WHY DO WE PPL always think of money....
                    JOB here we talk about is .....EARNING MONEY ....
                    jo kaam ISLAAHI TURR per kiyay jaatay nah Behnaa wo earn karnay k liyay nahi hotay...wo sirf Allah ko khush rakhnay aur ...Society ko behtar bana-nay k liyay hotay hein ..oss k liyay aap ko ghar se bahir janay ki zaroorat nahi...aap kuch time jo gupping shupping aur parties mein lagatay hein wo time aap onn tak apna mofeed elm deynay mein guzarein ..i think aik aurat jo gahr mein rehti hai oss k pass 2 se 3 ghantay tu rehaty hein hee k wo apni marzi se guzar sakay aap agar chahtay hein k aap k elm se koi fai-da othaa-ay tu .. iss k liyay aap onn 2 ya 3 hours mein kuch b acha kaam kar sakti hein ..but WITH OUT MONEY:)
                    dear every one knows that job is only the way of earn MONEY.......jo bhi koi job krta hay woh paessy kmany k liay he krta hay ...koi koi hotty hain jo k sirf apna shoq poora krny k liay krty hain..laikin ziyada tr majboor log hoty hain jinhain apny bachoon ke behtr parwrish krni hoti hay or apny ghar ko theek treqay say snwaarna hota hay....mery khiyaal say is main koi harj nahi hay k khwaaten job kran .......or unhain zarorat k wqt he nahi bl k us k ilawa bhi job krni chahiay ...kion k woh apny future k bary main kuch nahi jateen k kaisa hoga..... kia pata usay whaan ja kr is ki zarorat bhi par sakti hay...or yeh sab khwateen ghar per baithy baithy nahi rk sakteen unhain ghar say bahir nikalna he parta hay or ajj kal k dor main koi aisi aurat hay jo k ghar main baithna cha'hti hay?

                    Comment


                    • #25
                      Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                      Originally posted by Gul View Post
                      U R Right....MERA POINT YEHI tha ...K WHY WOMEN GO OUT FOR JOB,.....they can stay at home...and can do many things ...
                      .laikin is mein b ek point aur oth-ta hai ...
                      K ...ek khatoon hein and I KNOW HER VERY WELL...she is really dear to me ...wo ghar rehti hein ...magar ghar reh kar ..She live in another state and .NEW YORK city mein ek Medical institute hai oss se Connected hein computer k through wo Insurance and isi kisam ka kaam karti hein ...and U cant believe .. K wo chanay k bawajood waqt per apnay bachoun ko sahi se kahan nahi dey saktien ..wo Working hard wali conditions deyti hein ...magar onn k bachay kabhi cereal kah rahay hotay hein kabhi cookies ..though she wants to give them tiem in studies but she can not because onn ko ..har waqt Foen per infoz leyan hoti hein reporst likhan hoti hein forms fill karna hota hai i dont know kia kia karna hota hai so it is effecting on her health as well as on her family life...! so.......!:)
                      mery khiyal say zarori nahi hay k hr aurat (Working women)aisi hooon ge jo k apny bachoon ko time nahi day pati hoon ge ...infact kai aisi khwateen hai jo k job krti hain is k baawjood bhi woh apny gher waloon ko bhi time daiti hain apny bachon ko bhi sanbhalti hain or un k bachy bhi un say khush hoty hain....yeh ab job krny wali khwaaten per depend krta hay k woh kis hud tk apny ghar ko bhi or apni job ko bhi sanbhal sakti hain.:)agr woh yeh sab theek trhaan say nnahi kr sakteen to is say acha hay k woh job na krain laikin is ka mtlb yeh nahi hay k koi bhi aurat job na kary.......aurtoon ko khudkafeel hony k liay ghar say nikalna he parta hay....ghar per baithy kuch nahi hota...ghar say bahir nikal kr he bahir k halat ka or apny gird-o-nwaah ka pata chalta hay.....
                      porany zmany main bhi aurtain job krti theen....to ab kion nahi kr sakteen?

                      Comment


                      • #26
                        Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                        Originally posted by Gul View Post
                        [COLOR=Indigo][I][FONT=Georgia][SIZE=3] anyway ....sab se pehlay I just want to know k rules mein Quote karnay se koi problem tu nahi agar aisa hai tu ....Plz do tell me ..RIGHT!
                        ji aap quote kar sakti hain koi masla nahi hai :rose
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment


                        • #27
                          Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                          Originally posted by Gul View Post

                          anyway ... :) hum har cheez mein time ko blame kartay hein k waqt hee aisa aa giya hai ....tu dear zaroortein tu har durr mein kahin na kahin kisi na kisi soorat moojood rahein, Har zamany mein oss k mutabiq zarooratoon k sawal othay ...magar hamari khawateen nay apnay aap ko oss se roka ..aur they lived happy life..hum kis tarah mehdood kar sakti hein apni zarooratoun ko yeh hum khud hee apnay ehtesaab karein tu jaan sakti hein ..:) yeh ek individual ko theek honay ki zaroorat hai ...and u know that k
                          ek fard se millat banti hai ...:) *har fard hai millat k muqaddar ka sitara*

                          [/SIZE][/FONT][/I][/COLOR]
                          ji zaroratian pehlay bhi the ab bhi hain ...ab facilities kafi a gai hian ladies ko job karnay main masla nahi hai ..peechlay zamnay ki taraf nazar dorraian to ladies ko facitilies hi nahi the job karnay ki jo karti .....ab waqat badal chuka hai ......zamnay kay sath sath chalna chaye ....
                          aurtian job nahi karian gee to school teachers kahan say aian gee ? sirf Males parhian gay ..or aksar waldenn Males teacher kay paas apni larkeoun ko nahi parhtay ..:)....aik aurat ghar main apnay bachoun ki sahi tarbeyat kar sakti hai to ghar say bahir woh mulk kay hazaroun Lakhoun bachoun ki tarbeyat kar sakti hai ...

                          ladies job na karian to lady doctors kahans ay aian gee ? nurses kahans ay aian gee ? kia female apni har beemari ka Ilaaj Male doc say karwaian gee ?
                          ladies ki job say ladies hi ko faida hoo ga na ? woh apni baat asani say agay pouncha sakti hian ..apna masla asani sai lady doc ko bata sakti hian ...


                          khawateen har mulk ki taqreban adhi abadi to zaror hoti hain ....agar adhi abadi baki adhi badi(Males) pay depend kar kay beath gai to mulk kahan say taraqqi karey ga ....
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment


                          • #28
                            Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                            Originally posted by Gul View Post
                            [COLOR=Indigo][I][FONT=Georgia][SIZE=3]
                            Jee sahi kaha aap nay k wo kafayat-shoaari nahi kanjoosi k has tak ho jaati hein magar sirf oss money k liyay jo wo earn karti hein ...hubby ki kamaai ko be dregh kharch karti hein ....ya kuch adverse situations b create ho jaati hein ,,jo mein next posts mein yaqeenan quote karoon gee :)

                            yeh to pher un aurtoun ka qasoor howa jo apni ya hubby ki kaamai ka khayal nahi reakhti is main job ka kahan qasoor ata hai ?:D: aisi batian un aurtoun main bhi paai jati hain jo job nahi karti ...jo sughhar aurtian nahi hoti , ghar nahi sanbhaal sakti ...is main sirf job karnay wali khawateen ko mulawis nahi kia ja sakta :D:

                            Maan hona ....maan ki tarah hona mein bihat farq hai ...beshak maan apnay jazbaat apnay ehsasat ko kabhi b peechay nahi chorti chahay wo ek ghar mein rehnay wali maan ho ya ...ghar se bahir kaam karnay wali maaN....yeh jazba tu equally janwaroun mein b hai ..MAAN ki azmat se kisay inkar hai , but yes I have seen so many families jahan ..working mothers har waqt yehi rona daaliti hein k ..kia karoon kaam se wapic aao tu itnay thakay hotay hein ..ghar ko sahi se time nahi dey saktay ...bachay ignore ho rahay hein ....agar Mulazim hein tu jo haalat mein nay deykhay wo ...those are so ridiculous that...:(

                            main jin ko janti houn woh ghar or bachoun ko sahi time daiti hain ...is leye har aurat aisi nahi hai ....bachoun ko time na deenay wali baat haito job na karnay wali female bhi kuch aisi hoti hain ......main aisi ladies ko janti houn ghar main theek thaak pesay hotay hian , job bhi nahi karti lekan ghar kay mamlay main dull hoti hian ...aisi aksar ladies ko kahana banana bhi nahi ata ......to yeh to aurt aurat pay hota hai ...job karnay wali aurat main ehleyat hai to wo ghar or job donoo ko sahi mangae kar sakti hai :rose


                            Job but with out salary ..and we are talking about the JOB which Women DO for earning Money .....:)
                            job without salary sahi or job with salary ghalat ?:D:
                            No dear hamra topic job ka hai is main sirf yeh nahi hai kay aurat kamnay kay leye job karey ya na karey .:rose
                            Last edited by .; 29 October 2007, 17:42.
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment


                            • #29
                              Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                              Originally posted by jia View Post
                              mery khiyal say zarori nahi hay k hr aurat (Working women)aisi hooon ge jo k apny bachoon ko time nahi day pati hoon ge ...infact kai aisi khwateen hai jo k job krti hain is k baawjood bhi woh apny gher waloon ko bhi time daiti hain apny bachon ko bhi sanbhalti hain or un k bachy bhi un say khush hoty hain....yeh ab job krny wali khwaaten per depend krta hay k woh kis hud tk apny ghar ko bhi or apni job ko bhi sanbhal sakti hain.:)agr woh yeh sab theek trhaan say nnahi kr sakteen to is say acha hay k woh job na krain laikin is ka mtlb yeh nahi hay k koi bhi aurat job na kary.......aurtoon ko khudkafeel hony k liay ghar say nikalna he parta hay....ghar per baithy kuch nahi hota...ghar say bahir nikal kr he bahir k halat ka or apny gird-o-nwaah ka pata chalta hay.....
                              porany zmany main bhi aurtain job krti theen....to ab kion nahi kr sakteen?

                              yep har aurat aisi nahi hoti :thmbup: main nay khud kai aurtian aisi deekhi hain jo ghar pay hoti hain job nahi karti pher bhi apnay bachoun ki sahi tarebeyat nahi kar pati ...is leye bachoun ki sahi tarbeyat na honay ka ilzam job pay lagana sahi nahi hai ......main pehlay bhi aik cheez keh chuki houn TIME MANAGEMENT ki kay jo aurtian is ka khyal karti hain woh job,ghar donoo ko sanbhal sakti hai :rose
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment


                              • #30
                                Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                                main aik aisi aurat ko janti houn jis nay shadi kay bad husband kay leye apni aik buhat achi job jis main woh acha khasa kamati the woh choor di ....kuch saloun bad us kay husband nay hi usay choor dia :)

                                aik aurat ko pehlay hi say in sab cheezoun kay leye tayyar rehna chaye ...ab itnay saloun bad aik aurat kay leye ghar say bahir niklna , job hasil karna itna asan nahi hota ...job aisi cheez bhi nahi insaan jab chaye hath main a jaye ...aik sahi job kay leye kafi hath paoun marnay partay hian ...pher kuch saloun main banda set hota hai ....
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...
                                X