Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

    Originally posted by Gul View Post
    very Sad story SUPER COP...::D: agar wo darama na deykhein tu shayd onn ka damagh khali ziyada rahay ga naa :khi:acha hai agar wo sabzi kat-tay ..ya karhaai kartay ...ya ...aap k liyay samosay banatay koi darama hee deykh lein :) aap ko b mazay k kahnay mil jaein gay na ..and onn ka b taym pass ::) ho ja-ay ga :D:

    Gul jee ap mere baat nehi samjhi shaid :tauba

    Comment


    • #77
      Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

      khwateen ko job zaror krni cha'he'ay laikin is ka mtlb yeh nahi hay k woh sari zindagi job krty he guzar dain ....agr un ko thora bohat experience ho ga job k bary main to woh kisi bhi wqt job kr sakti hain or agr unhain aisa koi chance na milla to woh zarorat k wqt bhi job nahi kr sakain geen:(......

      Comment


      • #78
        Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

        Originally posted by Gul View Post


        umm@topic ...siyasi..khel har jagah hein ..Offices mein tu had se ziyada siyasat hai......agar kisi boss nay kisi secretary per kuch mehrbaani dikha de kisi b wajh se niyat achi thee ya Buri ...tu baqi k sab ,,,loag aur specially koi doosri khatoon ..kia kia siysat karti houngee ...:) yeh siyasat ka khel tu hamaray moashray mein lahoo ban k dorta hai ...oss k bian hamari society na mukamal hai ...( iss ka yeh matlab nahi k I am in favor of this type of politics or of any kind...) but aisa hota hai so ..gahr mein rehnay wali khawateen hee sirf siyaasat ka shikar nahi ..office mein jaanay wali ....b iss se Mehfooz nahi aur phir oss mein jab ghair mard b shamil ho jaein tu ............! siyasat ka rang...........KIA HO GA!?:cc:
        :cc:mera khiyal hay k hum log siyasat ke baat nahi kr rahy hum log yeh baat kr rahy hain k khwateen ko job krni cha'he'ay yaan nahi:blush:...:)
        khair us dusri khatoon ke wajahs ay hum log kmana chod dain?kia us aik khatoon ek wajah say saro khatoon kaam nahi kr sakteen?agr woh aik aurat eh aisi soch rakhny wali hay to is ka mtlb yeh nahi hay k baqe jo kaam krny wali khwateen hay wph gharoon main bhooki baithi rhain geen k us aurat nay us ko aisa kaha hay????....ho ga kuch nahi bas jo dr ja;ain geen or us aik aurat ko moon tor jwab nahi dain geen woh apny gharoon main bhooki marain geen or jo koi smajhdaar ho ge woh us ki baat ka jwaab bhi day ge or apni job bhi countinue rkhay ge:)...or job k liay sirf aik he company nahi hoti k agr yhaan par kisi nay kuch keh dia to kaheen or koi job nahi millay ge......:donno:...achi companies bhi hoti hain jhaan par aisa kuch nahi hota k khwateen ko kisi bhi trhaan ke baat sun'ni pary

        Comment


        • #79
          Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

          Originally posted by Super Cop View Post
          Gul Sister koi kaam ke baat bhi karein :khi:
          ye ap kin chakroon mein par gayein hai :donno:
          KAAM KI BAAT HI TU SAMJH MEIN NAHI AATI NA AAP K COP BHAI SAHIB ...ab kia kiya ja-ay ! :)
          Meray chakar ko chorein jo baat kahi gai`i hai na bhai Jee oss ko samjhiyay ....humble request hai k apnay quoted part ko b parhiyay jo aap nay jazbaati ho k likha magar shayd yaad nahi :):):):)


          Originally posted by Super Cop View Post
          Gul jee ap mere baat nehi samjhi shaid :tauba
          DONT WORRY ab aap ki samjh k aagay meri samjh kahan chalnay waali hai aap ziyada tension nahi lein plz..sehat per acha asar nahi paray gaa !:):):comfort:

          Plz avoid to repeat one thing again and again ....!

          Comment


          • #80
            Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

            Originally posted by Gul View Post
            chalein aap nay yeh tu mana k JIA sahiba ki baat ! gahlat hoi k life mein set hoany k baad yani aftre shadi wo job chore sakti hein ..:) Fully MARD per depend kar k ..jab k wo ..tu shadi k baad mulazmat ki liyay tiyar honay ki baat kar rahi thee jaisay maan apni beyti ko ghar gharsti sikhaati hai ...wesay MULAZMAT B karna sikhana chahiyay yeh ONN ki posts se Zahir hota hai :)
            OoOh dear app to meri batoon ko dil per he lay gai hain:khi:.....mainy yeh nahi kaha k aurtoon ko job sikhani cha'he'ay ...oh dear sis yeh koi seekhany wali baat nahi hay mainy experience ke baat ke hay yeh nahi kaha k unhain job seekhani cha'he'ay ...or rahi shadi k bad job chodny ke baat to mainy yeh kahan kaha hay k shadi k baad aurat ko zaroor job krni chahiay...infact mainy to kaha hay k aurtoon ko is mushkil wqt k liay tiyar rehna chaheay jis ke wajah say unhain job krni per sakte hay:(....meri posts say yeh zahir nahi hota k job seekhani chaheay bl k yeh zahir hota hay k aurtoon ko job krni cha'he'ay.....:eye:

            Comment


            • #81
              Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

              Originally posted by jia View Post
              khwateen ko job zaror krni cha'he'ay laikin is ka mtlb yeh nahi hay k woh sari zindagi job krty he guzar dain ....agr un ko thora bohat experience ho ga job k bary main to woh kisi bhi wqt job kr sakti hain or agr unhain aisa koi chance na milla to woh zarorat k wqt bhi job nahi kr sakain geen:(......

              ya agree wid u jani:phool:...aqal baat ker he leti ho kabhi kabhi u b:eye:

              Comment


              • #82
                Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                Originally posted by Shakh-e-Tamana View Post
                ya agree wid u jani:phool:...aqal baat ker he leti ho kabhi kabhi u b:eye:
                Thanx dear:phool:

                Comment


                • #83
                  Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                  Originally posted by jia View Post
                  dear main janti hoon k app nay baat ko samjhany k liay yeh iste'ara ka istemal kia hay.....to mainy bhi app ko usi trhaan jwaab dia:)
                  or rahi job or ghar samnbhalny ki baat to jo lrkian apny ghar k liay job kr sakte hain woh apny gharoon ko bhi ba'khooobi sanbhal sakti hain.
                  :) SAKTI HEIN ki baat hai na janab tu mera b man-na hai k aurat sab kuch kar sakti hai ....magar baat yeh ho rahi hai k wo aisa karti nahi ..
                  kion k aisa mumikn nahi .....baat ki ghambeerta ko deykheiyay aur ek request hai k ..plz jo meri post ki gai urdu doc. hai ghur se parhiyay , oss mein kafi kuch samjhnay ko hai jo aap nay nahi parha! and then try to get my points ...:)


                  Originally posted by jia View Post

                  ..infact woh sanbhalti hain ...mery khiyal main jo smajhdaar lrkiaan hoon ge woh donoon kaam khobsoorti k saath anjaam day sakte hain otherwise unhain smajhdaar nahi kaha ja sakta...
                  Yehan per zara ghuor kijay har baat mein aap agar aur kar sakti hein ko use kar rahi hein ....agar hona chahya tu kia nahi ho sakta :) magar baat yeh k hota nahi na ...! :blush:
                  Originally posted by jia View Post

                  .agr koi aurat job krti hay to woh money making k liay eh krti hay or usay apny ghar ka pata hota hay k woh araam say ghar jaa kr sab kuch handle kr lay ge kion k ghar wally us ki batoon ko asaani say smajh sakty hain ..laikin rahi baat job k time ke to jab koi job krta hay to whaan us ki mrzi nahi chalti k woh time say pehly ghar chali ja'ay yaan phir time say pehly job say chutti kr lay....or ghar wally to phir hr baat ko smajh sakty hain kion k un k ghar k halat un say chopy nahi hoty...unhain pata hota hay k jo job kary ga usay job k liay ziyada time nikalna ho ga.....agr unhaibn manzoor ho ga to woh un ko job krwa lain gay otherwise nahi....or jo job krti hain un k ghar waloon ko to automaticaly pata hota hay k job k roles bhi hoty hain jo k sab ko follow krny prty hain .....offfice ka kaam humain khud he krna hota hay jo k hr haal main hona cha'he'ay jab k ghar k bary main hum janty hain k kai or log bhi gahr per hain jo k us k hissay ka kaam kr sakty hain........kion k job woh apny ghar k liay kr rahi hay to ghar wally itna to kr he sakty hain????
                  Yehan tu baat ghar waloun k compromise aa gai na ....yehan oss aurat ka kia kirdar i mean amal howa jo JOB karti hai ..yeh qudrati baat hai k ghar walay hee suffer kartay hein aur compromise b ...har haal mein ...baat yeh dear SISTER k WO AURAT MANAGE karay jo nokri kar rahi hai ...ghar walay tu karein gee heeeeeeeeeeeeee! :eye:

                  [quote=jia;557907]

                  g haan main janti hoon k yeh khwaaten ke time menegment ke baat nai ho rahi laikin mainy sath he job ke bhi baat ke hay k agr khwateen time ka hissab rkhain geen to hr kaam main asaani ho ge or woh hr kaam kr skain geen:)....laikin kai bachari aisi bhi hain jo k job krny k baawjood apny gharoon ko sanbhalti hain:)...[/quote]

                  What To say about all these agars and kar sakti ....!


                  Originally posted by jia View Post
                  khwateen ko job zaror krni cha'he'ay laikin is ka mtlb yeh nahi hay k woh sari zindagi job krty he guzar dain ....agr un ko thora bohat experience ho ga job k bary main to woh kisi bhi wqt job kr sakti hain or agr unhain aisa koi chance na milla to woh zarorat k wqt bhi job nahi kr sakain geen:(......

                  Iss mein itna sad face bana-nay ki kia zaroorat hai ....Aap ko khawateen ki abilities per shak nahi karna chahiyay ...yaqeen hona chhaiyay ..k wo haar haalat ka saman har dum kar sakti hein oss k liyay practice k zarorrat nahi ...detail baad mein abhi meri fajar ki namaz qaza na ho ja-ay :) ... keep smiling jia jee and be strong ...!
                  Last edited by Gul; 31 October 2007, 15:18.

                  Comment


                  • #84
                    Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                    Originally posted by Gul View Post
                    :) SAKTI HEIN ki baat hai na janab tu mera b man-na hai k aurat sab kuch kar sakti hai ....magar baat yeh ho rahi hai k wo aisa karti nahi ..
                    kion k aisa mumikn nahi .....baat ki ghambeerta ko deykheiyay aur ek request hai k ..plz jo meri post ki gai urdu doc. hai ghur se parhiyay , oss mein kafi kuch samjhnay ko hai jo aap nay nahi parha! and then try to get my points ...:)

                    to theek hay dear is main itna preshan hony ki kia baat hay app smajh lo k mainy kaheen per bhi sakti hain or ager use nahi kia:khi:
                    tab to koi problem nahi ho ge naaaaa:)
                    dear sis mainy app ki woh post bohat gaur say perhi hay or samjhi bhi hoon k us main kia hay or kia nahi hay:)



                    Yehan tu baat ghar waloun k compromise aa gai na ....yehan oss aurat ka kia kirdar i mean amal howa jo JOB karti hai ..yeh qudrati baat hai k ghar walay hee suffer kartay hein aur compromise b ...har haal mein ...baat yeh dear SISTER k WO AURAT MANAGE karay jo nokri kar rahi hai ...ghar walay tu karein gee heeeeeeeeeeeeee! :eye:

                    [quote=jia;557907]

                    g haan main janti hoon k yeh khwaaten ke time menegment ke baat nai ho rahi laikin mainy sath he job ke bhi baat ke hay kjab khwateen time ka hissab rkhain geen to hr kaam main asaani ho ge or woh hr kaam ba'asaani kr lain geen:)....laikin kai bachari aisi bhi hain jo k job krny k baawjood apny gharoon ko sanbhalti hain:)...
                    ab theek hay ab to main kisi qisam ka shaq nahi kr rahi na:)

                    Comment


                    • #85
                      Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                      Originally posted by Gul View Post
                      Iss mein itna sad face bana-nay ki kia zaroorat hai ....Aap ko khawateen ki abilities per shak nahi karna chahiyay ...yaqeen hona chhaiyay ..k wo haar haalat ka saman har dum kar sakti hein oss k liyay practice k zarorrat nahi ...detail baad mein abhi meri fajar ki namaz qaza na ho ja-ay :) ... keep smiling jia jee and be strong ...!
                      sad isliay hoon k app meri baat nahi maan raheen:wk..k aurtoon ko job krni cha'se'ay:eye:
                      or rahi baat khwateen ke abilities per shaq ke to dear sahi lafzoon main app un ki abilities ko aik limit tk mehdood kr rahi hain....g haan woh hr haal main hr halat ka samnaa kr sakti hay mainy kab kaha k woh nahi kr sati:cc:laikin us ko kal k liay kuch samaan to kr k rakhna cha'he'ay na...jo k app keh rahi hain k nahi hona cha'he'ay to main sad face he bnaoo ge or kia karoon ge:(

                      Comment


                      • #86
                        Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                        Originally posted by Super Cop View Post
                        bilkul Aanchal sis i am totally agree with u

                        and aise aurtein ya tu Star Plus ke darame dekhte hai ye fer wo mashoor hai na ke Khali Dimagh shaitaan ka ghar hota hai tu ye phir dosri aurtoon ke khilaf sazishein karte rehte hain
                        Originally posted by jia View Post
                        :cc:mera khiyal hay k hum log siyasat ke baat nahi kr rahy hum log yeh baat kr rahy hain k khwateen ko job krni cha'he'ay yaan nahi:blush:...:)

                        Sazish aur Siyasat ek hee baat hoi naa..!:rose
                        Originally posted by jia View Post
                        khair us dusri khatoon ke wajahs ay hum log kmana chod dain?kia us aik khatoon ek wajah say saro khatoon kaam nahi kr sakteen?agr woh aik aurat eh aisi soch rakhny wali hay to is ka mtlb yeh nahi hay k baqe jo kaam krny wali khwateen hay wph gharoon main bhooki baithi rhain geen k us aurat nay us ko aisa kaha hay????

                        Kuch samjh nahi kis aurat ki kia baat ho rahi hai ? AIK AURAT koansi ?

                        Originally posted by jia View Post
                        ....ho ga kuch nahi bas jo dr ja;ain geen or us aik aurat ko moon tor jwab nahi dain geen woh apny gharoon main bhooki marain geen or jo koi smajhdaar ho ge woh us ki baat ka jwaab bhi day ge or apni job bhi countinue rkhay ge:).
                        Aap Behna Kuch confused lag rahi hein ....Janay kia kehna tha ur kia keh gaein ....anyway ....ZAROORAT k waqt kaam karna NA GUZEER hai ...oss waqt hum yeh kabhi nahi saochtay ki kia hona CHAIYAY ....oss waqt hum kar guzartay hein Allah aur khud apni zaat per bharosa rakh k ...aap mujhay JOB karnay wali 20% khawateen...mein se 80% k baaray mein baat karein
                        Jo SIRF LIFE STANDARD High karnay ko ...JOB karti hein ya yeh keh lein apni zarooriyaat ko iss qadar barhaa leyti hein k ONN HEE zarooriyat (FAZOOLIYAT) ki MUhtaaj ho k reh jaati hein ..WO bhooki nahi mar rahi hotein .wo apni zarooratoun jo k fazool hoti hein oss ki ghulami mein job ko nikalti hein ...! just dhiyan dijay iss baat per ..! Zaroorat ....aur lazim mein buhat farq hai dear ! jia jee! :rose
                        Originally posted by jia View Post

                        ..or job k liay sirf aik he company nahi hoti k agr yhaan par kisi nay kuch keh dia to kaheen or koi job nahi millay ge......:donno:...achi companies bhi hoti hain jhaan par aisa kuch nahi hota k khwateen ko kisi bhi trhaan ke baat sun'ni pary

                        :) sirf aik muskarahat ! ....
                        iss jawab k sath k jo b mard hazraat b jobs baar baar change karein onn ki kisi ability per ksi b company ko confidence nahi rehta ....KioN k koi b new EMPLOYERS yeh nahi deykhtay k EMPLOYEE nay pichli itni dher saari jobs kion CHORIEN ....kia wo khatoon yeh kahein gee k jee wahan sab laog oss ko buri nazar se deykhtay thay iss liya job chorna pari....iss per ..Wahan ki admin...... k zehan per kia image banay gaa! :) yeh b zehan mein rakhein naa! :comfort:

                        Comment


                        • #87
                          Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                          Originally posted by jia View Post
                          sad isliay hoon k app meri baat nahi maan raheen:wk..k aurtoon ko job krni cha'se'ay:eye:
                          or rahi baat khwateen ke abilities per shaq ke to dear sahi lafzoon main app un ki abilities ko aik limit tk mehdood kr rahi hain....g haan woh hr haal main hr halat ka samnaa kr sakti hay mainy kab kaha k woh nahi kr sati:cc:laikin us ko kal k liay kuch samaan to kr k rakhna cha'he'ay na...jo k app keh rahi hain k nahi hona cha'he'ay to main sad face he bnaoo ge or kia karoon ge:(

                          Saaaman OH GOD ...Jia jee koi new baat la-ein naa aap kitni baar iss baat ko dhuraa chuki hein ....and mein kai baar iss baat ko apni daleel k zariyay ..deny kar chuki hoon :) ...
                          ...yeh koi breakfast nahi k subah k liyay bread and egss aaj hee store se la k rakhnay hein ..yeh poori LIFE ki baat hai...
                          aik khatoon jo u can say 21 ki age se jon karti rahien ..24 years ki age mein shadi hoi yani oss nay qareban 3 saal job ki...oss ko aadat ho gai independed honay ki in the meanings of KHUD KAFEEL....oss k hubby ko ya ghar waloun ko oss ki job se problems hein ...ab wo kia karay ...oss ki life ka ek hissa oss nay khud apni marzi se guzara ..ab wo shadi k baad apnay khawand ak munh deykhay ..gee har cheez k liyay ...oss ko COP karna mushkil ho ga k nahi ....oss k bad hallat kisi b extreme per ja saktay hein ....... haan agar khuda na khwasta ...aisay haalat ban jaaein k oss khatoon ko shadi k bad job karna par ja-ay ....tu oss k liyay sab haalat sazgaar hein aur tab wo job kar sakti hein ...!
                          aap ka sad face mujhay har giz acha nahi lagta :) kion k that makes me sad too....magar ...........karoon mein kia meri aadat hai muskaranay ki :rose
                          take it easy ...and try to understand my point ...DONT MAKE UR BEAUTIFUL face SAD .kion k iss face se mein tu raazi honay wali nahi :khi:..Keep smiling.
                          ...:rose

                          Comment


                          • #88
                            Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                            Originally posted by Shakh-e-Tamana View Post
                            ya agree wid u jani:phool:...aqal baat ker he leti ho kabhi kabhi u b:eye:
                            AQAL KI BAT ! :):) YEH AAP AWAAM hein :eye: ya.............! :rose

                            Comment


                            • #89
                              Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                              M Really Sorry I ve joined v late but actually my PC was suffering 4m viral infection :(

                              but now INSHALLAH Me Here :dua

                              Comment


                              • #90
                                Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                                Starting In The Name Of ALLAH :rose

                                Aj ka topic Aurat or uska mulazmat krna hai......kiya Aurat ko mulazmat krni chahye ya nahi???
                                Main "NAHI" k haqq mai jaoon gi.......or main apny topic ko kuch is tarah defend krna chaahon gi k......Aurat ka tasawwur hamesha se hamary muas'ry mai "Ghar Ki Zimmedar" ka hi raha hai.....q k Aurat apny ghar k lye buhat ziada caring or zimmydaar hooti hai baat ye nahi k mardon mai ye khoobyan nahi.......mardoon ko bhi ALLAH TAALA ny in tamam senses n feelings se nawaza hai pr mard or Aurat ki zimmedaryon mai buhat fark hai.....
                                ik Aurat apny ghar ki nighibaan tasawwur ki jaati hai........jab wo student ho tab uski saari tawajju apni studies pr or jb studies complete to usy ik nae ghar ki zimmydaari somp di jaati hai jahan nae ghar k sabhi logon or apny Husband ki zimmydaari us pr hooti hai.

                                Ab hum us zimmydaari ko zer-e-behes laaaty hain jo k ik Aurat pr hooti hain.
                                ghar k sabhi kaam waghera.....let suppose apk paas ik full time servent bhi hai even then kuch cheezin aise hooti hain jo ik Aurat jis se sb rishty mansoob hain usy sar-anjaam deni hooti hain......or ager usky paas ik bhi servenmt nahi to sab usy khud hi krna hai isky ilawa sab se ziada xpect ik Aurat se usky Bacchy krty hain jinka poora haqq hoota hai apni Maa'n pr k wo unki nighidasht kary or unhy poori tawajju de specially initial yrs mai........

                                So in tamaam zimmydaarion k bais ik Aurat job nahi kr sakti........or ager kary to sab hi rishty sab hi zimmydarian buri tarah se mutaa'sir hooti hain....jiski wajah se mera Opinion Khawateen k job NA KARNY k haqq mai jaata hai.....!

                                Abhi k lye Itna hi.....
                                baaqi main mazeed justifications k sath aon gi taaky apny topic ko defend kr sakoon

                                KHUSH RAHYYE
                                Ma'ASSALAM!

                                Comment

                                Working...
                                X