Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

    jin logoo nay participate kia hai sirf vohi is thread main postings kar saktay hian .... Barah-e-mehrabni posting say pehlay zara rules parh lia karian ...:rose
    Last edited by .; 30 October 2007, 17:06.
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #47
      Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

      Originally posted by Gul View Post
      :comfort:
      #34

      Medical field main baray baray operations males hi kartay hian no doubt ..or jis cheez ki aap baat kar rahi hain us main bhi Males hi hotay hain zaidatar (Daywalker mamoun bhi isi field main hain :D) ...lekan is say yeh baat kahan ati hai kay female ko is field main kaam nahi karna chaye kay Male to hai hi pehlay say :donno:
      or jo bhi cases male handle kartyay hain un main kisi female ka sath hona must hai aisay kisi male ko female ka ilaaj karna allowed nahi hota ..:) ....

      or jo Male doc hotay hian un main kitnay cases female say zaidaiti kay samnay atay hian ? ..ab female hi professional houn gee to aisay cases nahi houn gay ...

      or dosri baat kay college /uni main bhi professor zaida male hi paye jatay hian ....is say inkaar nahi hai lekan female ki bhi buhat zarorat hai is field main .....loog co-education pay to buhat shoor machatay hian lekanis baray main koi khamosh hoo jatay hain kay in fields main female ko agay ana chaye ...:)
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #48
        Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

        #35

        yeh to jobs pay depend karta hai woh kis kisem ki job kar rahi hian ..har job aik hi taraha ki thori hoti hai :D:...or izzat say kaam karnay wali job lakhoun hain un main aian ....koi koi majboori kay thehat aisi jobs kar laiti hain jin ka tazkara aap nay kia hai ..or bad main apni life main set honay kay bad isay choor kay koi behtar job karti hian :rose
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #49
          Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

          Originally posted by Gul View Post
          :eye:
          #36
          ghar pay rehnay wali khawateen beshak kaam karti hain ....lekan is main us ki apni khawaihsian dab jati hain :) ghar ghar or ghar kisi or cheez ka kuch pata nahi hota .....aap aisi female say ja kay poouchian un kay kai khawaab hotay hian jo woh pooray nahi kar pati ...kisi cheez ki khawish ho to pehlay ghar waloun ko poora karti hain pher kahi ja kay us ki bari ati hai bad main woh cheez millye na millye :donno: ..jab kay jobs karnay wali khawateen main aisi mayousi buhat kam pai jati hai woh apnay khawaab khud pooray kar sakti hain kisi ki muhtaaji kay bagheer :rose
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #50
            Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

            Originally posted by jia View Post
            sis app nay attachment ke hay or jab quote kia hay to yhaan per woh wali posts saath nahi aa rahi is liay mujhy likhny main zra mushkil ho rahi hay...sari baat samny ho to likhny main bohat asaani hoti hay..hr baat ka asaaani say jwaab dia ja sakta hay..plz next time b careful about it:)
            Mein aap Ko upload kar k link dey doon kion mein har haal mein aap ki aasaani chati hoon :)

            Comment


            • #51
              Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

              Originally posted by jia View Post
              sis app nay attachment ke hay or jab quote kia hay to yhaan per woh wali posts saath nahi aa rahi is liay mujhy likhny main zra mushkil ho rahi hay...sari baat samny ho to likhny main bohat asaani hoti hay..hr baat ka asaaani say jwaab dia ja sakta hay..plz next time b careful about it:)



              @Topic
              mainy aisa to nahi kaha k hum log apni baitioon ko zbardasti job krwany pr tull ja'ain ...........yan aisi bhi koi baat nahi hay k hum apny bachoon ko istrhaan say srkoon per chod dain gay ...bl k hum logoon ka frz bnta hay k hum unhain un srkoon ko cross krnay ka treeqa btain kion k hum log sari zindagi to un logoon k saath saath nahi ghoomain gay k aoo tumhain road cross krwa doon..theek hay naa?...is k ilawa agr hum log is baat k liay sure nahi hain k future main khwateen ko job ki zarort par sakti hay to is baat ke kia guarenty hay k usay job ki zarort nahi pary ge...jab lrkian job k qabil ho jati hain tab he job krti hain i mean to say that tab unhain itni smajh to hoti he hay k unhain kia krna hay or kia nahi un k liay ia munasib ho ga or kia nahi or sab say bari yeh baat jo k app nay kahe hay usay road to cross krna he ata ho ga na....aisi baat nahi hay k khwateen ko job ke aadat honie chahiay baat to sirf experience ke hay jo k woh kisi bhi wqt use kr sakti hay:)
              Aap ko waqi link deynay ki zaroorat hai kion k aap meri itni detail ko sahi se yaad nahi rakh paaein naturally wahi baat k wo atachment aap k samnay nahi thee....! kher mein oss detail mein tu har giz nahi jana chahOOn gee ! bass ek baat k ....Shadi k baad jo hona hai ya ..kal Jo hona hai oss k liyay hum amal mein tiyar rehnay k liyay ...oss ka knowledge hasil kartay hein ..right? Road cross karna meinn ay auratoun ko nahi kaha tha ....ek iste`ara use kia tha k ..:) kher Larkiyan beyshak oss age mein hoti hein jab wo job kar sakti hein jab wo SAMJHDAR hoti hein ...aur mein 100% ki baat nahi kar rahi magar MOST OF ki baat kar rahi hoon ..k wo wahi samjhdaar larkiyan ...ghar k halaat ko sudhaar nahi saktien ...magar JOB jo money making hoti hein BUHAT KHOOBSOORAT tareqay se nibha leyti hein.!!!!!!!!!!!!!!!:):donno:

              Comment


              • #52
                Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                Originally posted by jia View Post
                :)
                ji Anchal app nay theek kaha hay k TIME MANAGMENT ka khiyal rakhty ho'ay khwateen hr kaam ba'khoobi or ba'aasani kr sakti hain...or agr woh nahi kr sakteen to is ka mtlb yeh nahi k koi bhi aurat nahi kr sakti...
                hr wo aurat jo job krti hay usay itna to pata he hota hay k usay ghar k kaam bhi sanbhalny hain or job bhi krni hay phir agr yeh sab janty hoay woh job kary ge to mera nahi khiyal k woh apny ghar walon ko time nahi day pa'ay ge:)Yaan apny ghar ko theek trhaan say sanbhal nahi pa'ay ge......

                yehan khawateen k time mangment ki tu baat hee nahi na .. ( Khawateen ki Salahiyutun ko kisi aur debate mein discuss karein gay :) ) Yehan per ONN 20% khawteen ki baat ho rahi hai jo job karti hein..office tu waqt per puhanch jaati hai magar ghar k kaam k liyay onn k pass Time nahi hota ...KION K beychaari thak gaien hein na:)

                Comment


                • #53
                  Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                  Originally posted by Aanchal View Post
                  #34

                  Medical field main baray baray operations males hi kartay hian no doubt ..or jis cheez ki aap baat kar rahi hain us main bhi Males hi hotay hain zaidatar (Daywalker mamoun bhi isi field main hain :D) ...lekan is say yeh baat kahan ati hai kay female ko is field main kaam nahi karna chaye kay Male to hai hi pehlay say :donno:

                  or jo bhi cases male handle kartyay hain un main kisi female ka sath hona must hai aisay kisi male ko female ka ilaaj karna allowed nahi hota ..:) ....

                  or jo Male doc hotay hian un main kitnay cases female say zaidaiti kay samnay atay hian ? ..ab female hi professional houn gee to aisay cases nahi houn gay ...

                  yehan aap baat ko doosri janib ley gaein...Aanchal jee yehan male aur femal ki discussion har giz nahi ..mera kehna jo tha wo maqsad yeh tha k ...Khawateen agar dr na b houn tu tu b kaam chal sakta hai ..iss ka matlab aap doosri jaanib lay gaein ... anyway ziyadti ki baat ko deykha ja-ay tu jo khawateen doctors ziyadti karti hein wo agar aap ko zikr karoon tu janay baat kahan se kahan puhanch ja-ay ...hamein yehan paisay ko discuss nahi karna job wali khawteen ko discuss karna hai !

                  Originally posted by Aanchal View Post
                  or dosri baat kay college /uni main bhi professor zaida male hi paye jatay hian ....is say inkaar nahi hai lekan female ki bhi buhat zarorat hai is field main .....loog co-education pay to buhat shoor machatay hian lekanis baray main koi khamosh hoo jatay hain kay in fields main female ko agay ana chaye ...:)
                  JANAB AAP HE KA KEHNA K ZAMAAN BUHAT FAST HAI :) iss baray mein kia arz karoon aur !
                  jab aurat mard k sath offices mein kaam kar sakti hein tu college ya universities mein onn se parh kion nahi saktein?:D:

                  Comment


                  • #54
                    Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                    Originally posted by Aanchal View Post
                    #35

                    yeh to jobs pay depend karta hai woh kis kisem ki job kar rahi hian ..har job aik hi taraha ki thori hoti hai :D:...or izzat say kaam karnay wali job lakhoun hain un main aian ....koi koi majboori kay thehat aisi jobs kar laiti hain jin ka tazkara aap nay kia hai ..or bad main apni life main set honay kay bad isay choor kay koi behtar job karti hian :rose
                    chalein aap nay yeh tu mana k JIA sahiba ki baat ! gahlat hoi k life mein set hoany k baad yani aftre shadi wo job chore sakti hein ..:) Fully MARD per depend kar k ..jab k wo ..tu shadi k baad mulazmat ki liyay tiyar honay ki baat kar rahi thee jaisay maan apni beyti ko ghar gharsti sikhaati hai ...wesay MULAZMAT B karna sikhana chahiyay yeh ONN ki posts se Zahir hota hai :)

                    Comment


                    • #55
                      Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      #36
                      ghar pay rehnay wali khawateen beshak kaam karti hain ....lekan is main us ki apni khawaihsian dab jati hain :) ghar ghar or ghar kisi or cheez ka kuch pata nahi hota .....aap aisi female say ja kay poouchian un kay kai khawaab hotay hian jo woh pooray nahi kar pati ...kisi cheez ki khawish ho to pehlay ghar waloun ko poora karti hain pher kahi ja kay us ki bari ati hai bad main woh cheez millye na millye :donno: ..jab kay jobs karnay wali khawateen main aisi mayousi buhat kam pai jati hai woh apnay khawaab khud pooray kar sakti hain kisi ki muhtaaji kay bagheer :rose
                      mein ghar mein rehnay wali khatoon hoon :):):) meri koi khawhishaat nahi dabbi hoi:) Alhamdolillah ....My Life is A Loveliest one ... MashaAllah ! meray khawab kabhi mehdood nahi hein .mein apnay khawab kia, khiyal kia ..amal kia sab mein Allah k hadd ko qaim rakhay howay hoon ya atleast mein iss koshish mein tu hoon.. ..meray Hubby MashaAllah sab kuch mujhay provide kartay hein mein MIDDLE CLASS ki aik parhi likhi aurat hoon Chahoon tu ek achi job kar sakti hoon ....magar mein nay apnay ap Ko Khud Mehdood kia hai kion k mein iss baaray mein

                      Alahmdolillah mein zindgee se kabhi MAYOOS nahi ...KION K mein nay SHUKAR ki RAAAH apnaai :) ..


                      pakistan mein government k grades ki baat nahi karti..:) aal over the world ki baat hai !:)

                      ...Laikin yeh haqeeqat hai jo khatoon ..ghar per hein wo Buhat mutmaein hein ..KIon k wo apnay shoahar ya bhai ya walid k provided secure dar o deewar mein safe hein ...WO bahir jaati hein Ghoomti hein magar apni hadd mein reh kar ...wo zindgee se lutf andoz hoti hein ...KION K Wo mehfooz hein ...


                      aap SHARAFT ko jaanch nahi saktien ..aaap ki niyat ek dum Clear hai aap JOB iss liyay karti hein k aap apnay waqt ka masraf ( jo aap k khiyal mein mulazmat karnay se hai) acha rakhein magar Jahan aap kam karti hein wahan parhay likhay EDUCATED

                      Comment


                      • #56
                        Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                        Originally posted by Gul View Post

                        yehan aap baat ko doosri janib ley gaein...Aanchal jee yehan male aur femal ki discussion har giz nahi ..mera kehna jo tha wo maqsad yeh tha k ...Khawateen agar dr na b houn tu tu b kaam chal sakta hai ..iss ka matlab aap doosri jaanib lay gaein ... anyway ziyadti ki baat ko deykha ja-ay tu jo khawateen doctors ziyadti karti hein wo agar aap ko zikr karoon tu janay baat kahan se kahan puhanch ja-ay ...hamein yehan paisay ko discuss nahi karna job wali khawteen ko discuss karna hai !


                        main baat ko kahi nahi lay ja rahi vohi main :D: aap ka point hai female kay doc honay say koi faraq nahi parta ..mera point of view hai beshak Male jitnay achay doc houn female ki jaga ab bhi khali hai woh female doc ki jaga nahi lay saktay :na:
                        ghar say bahir nikloo mard hi mard har jaga ....ab female ko bhi ana chaye ...or is main koi boori nahi hai :lpop:

                        JANAB AAP HE KA KEHNA K ZAMAAN BUHAT FAST HAI :) iss baray mein kia arz karoon aur !
                        jab aurat mard k sath offices mein kaam kar sakti hein tu college ya universities mein onn se parh kion nahi saktein?:D:
                        parhye parh kay pher job karey or khud parhaye :lpop:
                        Last edited by .; 30 October 2007, 22:02.
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment


                        • #57
                          Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                          Originally posted by hamzad View Post
                          shok me job karna burai nahi he lekin isi shok shok me aap janti hen k males ki job ke leay jobs ka aik masla ban chuka he.bohat sari jaghon par khawateen ne mardon ka haq ghasab kar rakha he or asal zarurat mand mard jinhon ne aik puri family chalani hoti he un ko jobs nahi mil paten.
                          yeh mehza mardoun ka aik bahana hota hai kay femal ki waja say un ko job nahi mill saktien ...jinhoo nay mehnat ki hoti hai unhay mehnat ka phal zaror milta hai female chaye lakh jobs main a jaian mardoun ki apni jaga hai woh unhay milti hain agar mehnat karian to ....parhai main deekhian khawateen mardoun say agay nikal rahi hain to ab jobs bhi usi hissab say unhay millian gee na :D:
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment


                          • #58
                            Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                            Originally posted by Shakh-e-Tamana View Post
                            hmmmm i think keh aurat majboor b hoti hai na.....ais liye us ko sab kerna parta hai sab k liye....wo apni marzi b ker sakti hai...but phir ya tu loog us ko acha nahi samhjtay ya phir.....us ko akila he chor detay hain keh jao ker lo apni marzi...so aurat ko yeh sab kerna he parta hai majboori main ya jesay b....
                            yeh pher zabardasti wali baat hoo jati hai na kay jesa husband chaye , mushara chaye wesay aurat ko banaoo ..aurat ki apni marzi ka khayal to nahi reakha jata na :donno:
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment


                            • #59
                              Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                              Originally posted by Shakh-e-Tamana View Post
                              well aurat ko gahar say jesay b ya jis b halaat main nikalna parta hai....lakin hamara mashra aisa hai keh....jo b aurat beshaik wo majboor hai ye jesay b...koi b usay achi nigah say nahi dekhta...yeh tu ab sab jantay he hain..or mantay b hain....beshaik zamanay nay buhat taraqi ki hai...but still loog aisay he sochtay hain.....

                              or dosri baat....ik aurat....kisi ki maan,behan,beti,baho or biwi b hoti hai....so in main say koi b realation yeh sunana kabhi pasand nahi karay ga..keh haan ji ais ki behan,beti,baho,biwi ya maan...kaam kerti hai...ya koi b aisi waisi baat...koi b nahi sun sakta...so ais liye b loog aurton ka kaam kerna na pasand he kertay hain.....jab keh aurat ka kaam kerna koi itna bura kaam nahi hai....

                              yeh jo loog kehtay hain aurat yeh na karay woh na karey koi job na karey ...majboori par jaye yehi loog sab say pehlay peachay hattay hian .....aik aurat ko khud hi shadi say pehlay hi apnay aap ko set karna chaye takay zindagi main agay chal kar kisi ki muhtaaji na hoo ..
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment


                              • #60
                                Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                                mery institute main aik larki the ...bus main ati the kafi pedal bhi chalna parta tha ....3 saal bad mujhay aik shadi pay milli ..woh khud driving kar kay ai the..:) us nay job kar li the or apna life style theek thaak bana lia tha ..no tension ....

                                main yeh to nahi kehti zabardasti job karey ...job karian shok say pasand say or apni zindagi behtar banian kisi ki muhtaaj na reahian ...
                                Last edited by .; 30 October 2007, 22:50.
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...
                                X