Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

    aurat ko sirf zarorat kay leye hi kio istamal kia jata hai us ka apna koi shok nahi us ki apni koi zindagi nahi kay woh apni pasand say jab chaye job karey ?
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #32
      Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

      abhi tak sirf bachoun or husband wali ladies ki baat ki ja rahi hai ...jin ki shadi nahi hovi hoti ya woh bari omer ki aurtian jin kay bachay shadi kar kay alag ja basye hotay hain ya parhai kay leye ghars ay door hotay hain woh aurtian kia karian ?:)
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #33
        Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

        Originally posted by Aanchal View Post
        ji aap quote kar sakti hain koi masla nahi hai :rose

        Nawazish aanchal jee :)

        Comment


        • #34
          Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

          Originally posted by Aanchal View Post
          ji zaroratian pehlay bhi the ab bhi hain ...ab facilities kafi a gai hian ladies ko job karnay main masla nahi hai ..peechlay zamnay ki taraf nazar dorraian to ladies ko facitilies hi nahi the job karnay ki jo karti .....ab waqat badal chuka hai ......zamnay kay sath sath chalna chaye ....
          aurtian job nahi karian gee to school teachers kahan say aian gee ? sirf Males parhian gay ..or aksar waldenn Males teacher kay paas apni larkeoun ko nahi parhtay ..:)....aik aurat ghar main apnay bachoun ki sahi tarbeyat kar sakti hai to ghar say bahir woh mulk kay hazaroun Lakhoun bachoun ki tarbeyat kar sakti hai ...

          ladies job na karian to lady doctors kahans ay aian gee ? nurses kahans ay aian gee ? kia female apni har beemari ka Ilaaj Male doc say karwaian gee ?
          ladies ki job say ladies hi ko faida hoo ga na ? woh apni baat asani say agay pouncha sakti hian ..apna masla asani sai lady doc ko bata sakti hian ...


          khawateen har mulk ki taqreban adhi abadi to zaror hoti hain ....agar adhi abadi baki adhi badi(Males) pay depend kar kay beath gai to mulk kahan say taraqqi karey ga ....

          :comfort:
          Attached Files

          Comment


          • #35
            Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

            Originally posted by Aanchal View Post
            job without salary sahi or job with salary ghalat ?:D:
            No dear hamra topic job ka hai is main sirf yeh nahi hai kay aurat kamnay kay leye job karey ya na karey .:rose
            :D:
            Attached Files

            Comment


            • #36
              Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

              Originally posted by Aanchal View Post
              job without salary sahi or job with salary ghalat ?:D:
              No dear hamra topic job ka hai is main sirf yeh nahi hai kay aurat kamnay kay leye job karey ya na karey .:rose
              :eye:
              Attached Files

              Comment


              • #37
                Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                Baqi jawabat ley ka Mein kuch deyr baad haazir hoon gee ..:) abhi kuch kaam hein so onhein niptaya ja-ay ....gupshup tu chalti rahay gee inshaAllah! !:)

                Comment


                • #38
                  Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                  Originally posted by Aanchal View Post
                  aurat ko sirf zarorat kay leye hi kio istamal kia jata hai us ka apna koi shok nahi us ki apni koi zindagi nahi kay woh apni pasand say jab chaye job karey ?


                  hmmmm i think keh aurat majboor b hoti hai na.....ais liye us ko sab kerna parta hai sab k liye....wo apni marzi b ker sakti hai...but phir ya tu loog us ko acha nahi samhjtay ya phir.....us ko akila he chor detay hain keh jao ker lo apni marzi...so aurat ko yeh sab kerna he parta hai majboori main ya jesay b....

                  Comment


                  • #39
                    Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                    Originally posted by jia View Post
                    dear every one knows that job is only the way of earn MONEY.......jo bhi koi job krta hay woh paessy kmany k liay he krta hay ...koi koi hotty hain jo k sirf apna shoq poora krny k liay krty hain..laikin ziyada tr majboor log hoty hain jinhain apny bachoon ke behtr parwrish krni hoti hay or apny ghar ko theek treqay say snwaarna hota hay....mery khiyaal say is main koi harj nahi hay k khwaaten job kran .......or unhain zarorat k wqt he nahi bl k us k ilawa bhi job krni chahiay ...kion k woh apny future k bary main kuch nahi jateen k kaisa hoga..... kia pata usay whaan ja kr is ki zarorat bhi par sakti hay...or yeh sab khwateen ghar per baithy baithy nahi rk sakteen unhain ghar say bahir nikalna he parta hay or ajj kal k dor main koi aisi aurat hay jo k ghar main baithna cha'hti hay?


                    well aurat ko gahar say jesay b ya jis b halaat main nikalna parta hai....lakin hamara mashra aisa hai keh....jo b aurat beshaik wo majboor hai ye jesay b...koi b usay achi nigah say nahi dekhta...yeh tu ab sab jantay he hain..or mantay b hain....beshaik zamanay nay buhat taraqi ki hai...but still loog aisay he sochtay hain.....

                    or dosri baat....ik aurat....kisi ki maan,behan,beti,baho or biwi b hoti hai....so in main say koi b realation yeh sunana kabhi pasand nahi karay ga..keh haan ji ais ki behan,beti,baho,biwi ya maan...kaam kerti hai...ya koi b aisi waisi baat...koi b nahi sun sakta...so ais liye b loog aurton ka kaam kerna na pasand he kertay hain.....jab keh aurat ka kaam kerna koi itna bura kaam nahi hai....

                    Comment


                    • #40
                      Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                      Originally posted by jia View Post
                      dear every one knows that job is only the way of earn MONEY.......jo bhi koi job krta hay woh paessy kmany k liay he krta hay ...koi koi hotty hain jo k sirf apna shoq poora krny k liay krty hain..laikin ziyada tr majboor log hoty hain jinhain apny bachoon ke behtr parwrish krni hoti hay or apny ghar ko theek treqay say snwaarna hota hay....mery khiyaal say is main koi harj nahi hay k khwaaten job kran .......or unhain zarorat k wqt he nahi bl k us k ilawa bhi job krni chahiay ...kion k woh apny future k bary main kuch nahi jateen k kaisa hoga..... kia pata usay whaan ja kr is ki zarorat bhi par sakti hay...or yeh sab khwateen ghar per baithy baithy nahi rk sakteen unhain ghar say bahir nikalna he parta hay or ajj kal k dor main koi aisi aurat hay jo k ghar main baithna cha'hti hay?
                      Originally posted by jia View Post
                      mery khiyal say zarori nahi hay k hr aurat (Working women)aisi hooon ge jo k apny bachoon ko time nahi day pati hoon ge ...infact kai aisi khwateen hai jo k job krti hain is k baawjood bhi woh apny gher waloon ko bhi time daiti hain apny bachon ko bhi sanbhalti hain or un k bachy bhi un say khush hoty hain....yeh ab job krny wali khwaaten per depend krta hay k woh kis hud tk apny ghar ko bhi or apni job ko bhi sanbhal sakti hain.:)agr woh yeh sab theek trhaan say nnahi kr sakteen to is say acha hay k woh job na krain laikin is ka mtlb yeh nahi hay k koi bhi aurat job na kary.......aurtoon ko khudkafeel hony k liay ghar say nikalna he parta hay....ghar per baithy kuch nahi hota...ghar say bahir nikal kr he bahir k halat ka or apny gird-o-nwaah ka pata chalta hay.....
                      porany zmany main bhi aurtain job krti theen....to ab kion nahi kr sakteen?
                      :phool:
                      Attached Files

                      Comment


                      • #41
                        Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                        Originally posted by Gul View Post
                        :phool:
                        sis app nay attachment ke hay or jab quote kia hay to yhaan per woh wali posts saath nahi aa rahi is liay mujhy likhny main zra mushkil ho rahi hay...sari baat samny ho to likhny main bohat asaani hoti hay..hr baat ka asaaani say jwaab dia ja sakta hay..plz next time b careful about it:)



                        @Topic
                        mainy aisa to nahi kaha k hum log apni baitioon ko zbardasti job krwany pr tull ja'ain ...........yan aisi bhi koi baat nahi hay k hum apny bachoon ko istrhaan say srkoon per chod dain gay ...bl k hum logoon ka frz bnta hay k hum unhain un srkoon ko cross krnay ka treeqa btain kion k hum log sari zindagi to un logoon k saath saath nahi ghoomain gay k aoo tumhain road cross krwa doon..theek hay naa?...is k ilawa agr hum log is baat k liay sure nahi hain k future main khwateen ko job ki zarort par sakti hay to is baat ke kia guarenty hay k usay job ki zarort nahi pary ge...jab lrkian job k qabil ho jati hain tab he job krti hain i mean to say that tab unhain itni smajh to hoti he hay k unhain kia krna hay or kia nahi un k liay ia munasib ho ga or kia nahi or sab say bari yeh baat jo k app nay kahe hay usay road to cross krna he ata ho ga na....aisi baat nahi hay k khwateen ko job ke aadat honie chahiay baat to sirf experience ke hay jo k woh kisi bhi wqt use kr sakti hay:)

                        Comment


                        • #42
                          Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                          Originally posted by Gul View Post
                          :phool:
                          dear yeh sab ab us aurat per depend krta hay k woh kistrhaan apni family ko bhi sanbhally ge or job bhi kary ge...pehly zmany main aurtoon ko izzat de jati thi laikin is zmany main aurtoon ko izzat hasil krni parti hay:)...is main aurtoon ka koi qasoor nahi hay..is main halaat or moashry ka qasoor hay....ab agr koi aurtoon k haqooq ko peechay choday ga to phir aurtoon ko to yeh krna he pary ga na k woh apny haqooq k liay jad-o-jahad krain or apna moqaam qayem krain....or rahi mard hzraat ke baat to yeh un logoon ko cha'he'ay k aurtoon ko jgaah de ja'ay na k aurtain kehti pherain k woh un ke jgah per baithna chahti hain:(.....is main aurat ko he kion blam kia jaa raha hay kuch fra'ez mrdoon k bhi hoty hain jo k woh log ada nahi krty is ka mtlb yeh nahi aurat haath par haath dhar kr baithi rhay or apny paeroon per khari na ho..
                          main janti hoon k aurat or treeqon say bhi ghar say bahir nikal sakti hay laikin...is trhaan nikalny say woh apny ghar k akhrajaat to poory nahi kr sakti na... jab k job ghar k akhrajat poory krny k liay ke jati hay na k duniya ke sair-o-siyahat k liay ....

                          Comment


                          • #43
                            Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                            Originally posted by Aanchal View Post
                            yep har aurat aisi nahi hoti :thmbup: main nay khud kai aurtian aisi deekhi hain jo ghar pay hoti hain job nahi karti pher bhi apnay bachoun ki sahi tarebeyat nahi kar pati ...is leye bachoun ki sahi tarbeyat na honay ka ilzam job pay lagana sahi nahi hai ......main pehlay bhi aik cheez keh chuki houn TIME MANAGEMENT ki kay jo aurtian is ka khyal karti hain woh job,ghar donoo ko sanbhal sakti hai :rose
                            :)
                            ji Anchal app nay theek kaha hay k TIME MANAGMENT ka khiyal rakhty ho'ay khwateen hr kaam ba'khoobi or ba'aasani kr sakti hain...or agr woh nahi kr sakteen to is ka mtlb yeh nahi k koi bhi aurat nahi kr sakti...
                            hr wo aurat jo job krti hay usay itna to pata he hota hay k usay ghar k kaam bhi sanbhalny hain or job bhi krni hay phir agr yeh sab janty hoay woh job kary ge to mera nahi khiyal k woh apny ghar walon ko time nahi day pa'ay ge:)Yaan apny ghar ko theek trhaan say sanbhal nahi pa'ay ge......

                            Comment


                            • #44
                              Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                              Originally posted by jia View Post
                              app nay bikul theek kaha hay laikin agr usi ghar main kuch khany ko na hoa or koi or kmany wala bhi na hoa to kia aurat moon daikhti rhay ge k koi aa'ay or mujhy kmaa kr day....mery khiyal say aurat ko zindagi k hr shobay main mharat hasil honie cha'he'ay....taan k woh hr mushkil ka samnaa ba'koobi kr saky or usay kisi ka mohtaaj na hona pary....agr koi khwaateen job kr bhi laiti hain to is main koi problem nahi hay.... job krna dossroon k aagy haath phailany say behtr hay:)
                              or agr koi auat job krti hay to is ka mtlb yeh nahi k woh apny bachoon ko nahi sanbhal skay ge...ajj kal k moashry main jo khwateen job krti hain woh poarni khwateen ke nisbat ziyada illam rakhti hain..or apni knowledge k hisaab say woh apny bachoon ke achi parwrish bhi kr sakti hain or job bhi kr sakti hain:)

                              Asslam o Alycum All :salam:

                              Jia u r absolutely right, baaz jagah aisa hota hai ke kisi ghar mein koi mard he nehi hota, tu wahan ladies kia karein ge..... unhe majboran kaam kaj karna pare ga.

                              aur reh gaye baat ke jo aurtein job karti hain, wo apne bachoon ke tarbiat sahi nhi kar sakti tu ye totally ghalat hai, ham ne kai aise families dekhi hain ke jin ke aurtein well educated hain, job nehi karti laiken un ke bacha studies mein bilkul dull hote hain, jab ke aik aise aurat jis ke qualification bhi normal hoti hai wo job bhi karti hai and saath mein bache bhi sanbhalti hai tu us ke bache sab se laiq hote hain (agar aap kaho tu mein aise kai examples dikha sakta hoon, balke ap ne bhi kai aise examples dekhi hoon ge).


                              Khair baqi mein tafseel se apna Reply post karoon ga INshallah.

                              Comment


                              • #45
                                Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                                Originally posted by Gul View Post
                                :phool:
                                agreed Gul:thmbup::phool:or inpage me likh kar to kamal kar dia:)

                                Comment

                                Working...
                                X