Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

    Originally posted by Aanchal View Post
    yeh jo loog kehtay hain aurat yeh na karay woh na karey koi job na karey ...majboori par jaye yehi loog sab say pehlay peachay hattay hian .....aik aurat ko khud hi shadi say pehlay hi apnay aap ko set karna chaye takay zindagi main agay chal kar kisi ki muhtaaji na hoo ..
    :) sirf ek muskarahat :) :rose :wk

    Comment


    • #62
      Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

      Originally posted by Aanchal View Post
      mery institute main aik larki the ...bus main ati the kafi pedal bhi chalna parta tha ....3 saal bad mujhay aik shadi pay milli ..woh khud driving kar kay ai the..:) us nay job kar li the or apna life style theek thaak bana lia tha ..no tension ....

      main yeh to nahi kehti zabardasti job karey ...job karian shok say pasand say or apni zindagi behtar banian kisi ki muhtaaj na reahian ...

      OH dear ! :)
      Claps and cheers for that lady jis nay jo chaha oss ko mil giya :)

      Comment


      • #63
        Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

        Originally posted by jia View Post
        [B][I][COLOR=blue]


        @Topic
        agr hum log is baat k liay sure nahi hain k future main khwateen ko job ki zarort par sakti hay to is baat ke kia guarenty hay k usay job ki zarort nahi pary ge...jab lrkian job k qabil ho jati hain tab he job krti hain i mean to say that tab unhain itni smajh to hoti he hay k unhain kia krna hay or kia nahi un k liay ia munasib ho ga or kia nahi or sab say bari yeh baat jo k app nay kahe hay usay road to cross krna he ata ho ga na....aisi baat nahi hay k khwateen ko job ke aadat honie chahiay baat to sirf experience ke hay jo k woh kisi bhi wqt use kr sakti hay:)
        :thmbup:
        agar larkoun ko achay boray ki tameez seekha di jaye to zindagi main koi ghalat kaam nahi karian gee ...or job bhi karian gee to humesha sahi rasta hi chunian gee ...pehlay say job karti houn gee to jab zarorat pari to koi masla nahi hoo ga unhay ....
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #64
          Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

          Originally posted by Super Cop View Post
          Asslam o Alycum All :salam:

          Jia u r absolutely right, baaz jagah aisa hota hai ke kisi ghar mein koi mard he nehi hota, tu wahan ladies kia karein ge..... unhe majboran kaam kaj karna pare ga.

          aur reh gaye baat ke jo aurtein job karti hain, wo apne bachoon ke tarbiat sahi nhi kar sakti tu ye totally ghalat hai, ham ne kai aise families dekhi hain ke jin ke aurtein well educated hain, job nehi karti laiken un ke bacha studies mein bilkul dull hote hain, jab ke aik aise aurat jis ke qualification bhi normal hoti hai wo job bhi karti hai and saath mein bache bhi sanbhalti hai tu us ke bache sab se laiq hote hain (agar aap kaho tu mein aise kai examples dikha sakta hoon, balke ap ne bhi kai aise examples dekhi hoon ge).


          Khair baqi mein tafseel se apna Reply post karoon ga INshallah.

          :thmbup:

          yeh jo aurtian majboori main ghar say niklati hain unhay jo jobs milti hain un say loog in ki majbooreoun ka faida utahtay hian ....unhay ilm nahi hota bahir ki dunia kasi hai loog us ka ghalat faida uthatay hian ....
          jab kay pehlay say agar woh job kar rahi hoti to yeh majboori na ati or job kar kay andaza hoo jata hai koon si job ghalat hai koon si sahi ..or kis kisem kay logoo say kesay deal karna hai kin ko avoid karna hai ....or majboori main jo job ki jaye gee us main us aurat ko jo bhi job mill gai usay karni parti hoo gee ..


          or dosri baat bhi aap ki sahi hai ghar main sab kuch honay kay bawajood , or aurtoun kay job na karnay kay bawajood bhi bachay parhai main dull nikal atay hain ...aisi ladies aksar Starplus kay dramoun main waqat guzarti hian :khi:..starplus main waqat zaya karnay ki bajye kisi achi job main yeh time laga dia jaye to zaida behtar hai :)
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #65
            Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

            bilkul Aanchal sis i am totally agree with u

            and aise aurtein ya tu Star Plus ke darame dekhte hai ye fer wo mashoor hai na ke Khali Dimagh shaitaan ka ghar hota hai tu ye phir dosri aurtoon ke khilaf sazishein karte rehte hain

            Comment


            • #66
              Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

              Originally posted by Aanchal View Post
              :thmbup:
              agar larkoun ko achay boray ki tameez seekha di jaye to zindagi main koi ghalat kaam nahi karian gee ...or job bhi karian gee to humesha sahi rasta hi chunian gee ...pehlay say job karti houn gee to jab zarorat pari to koi masla nahi hoo ga unhay ....

              :) .....Kia kahoun ab mein :) .....
              Larkon ki tarbiyat .....yehan kahan se aa gai baba!?:) hmm yeh zaroor ho sakta hai k jab aik MOTHER working ho tu wo olaad ko sahi se time nahi dey sakay gee tu .............!!!!!!!!!!!!! :D:

              Comment


              • #67
                Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                Originally posted by Originally Posted by Super Cop
                Asslam o Alycum All

                Jia u r absolutely right, baaz jagah aisa hota hai ke kisi ghar mein koi mard he nehi hota, tu wahan ladies kia karein ge..... unhe majboran kaam kaj karna pare ga.

                aur reh gaye baat ke jo aurtein job karti hain, wo apne bachoon ke tarbiat sahi nhi kar sakti tu ye totally ghalat hai, ham ne kai aise families dekhi hain ke jin ke aurtein well educated hain, job nehi karti laiken un ke bacha studies mein bilkul dull hote hain, jab ke aik aise aurat jis ke qualification bhi normal hoti hai wo job bhi karti hai and saath mein bache bhi sanbhalti hai tu us ke bache sab se laiq hote hain (agar aap kaho tu mein aise kai examples dikha sakta hoon, balke ap ne bhi kai aise examples dekhi hoon ge).


                Khair baqi mein tafseel se apna Reply post karoon ga INshallah.

                :) Mujhay sachi mein hansi aa rahi hai ...:) ....Sorry i dont want to b rude but ..i am sorry i dont to hurt even ! ...
                laikin kitnay mazay ki baat kahi na ...highly educated ....and bachay naalaik ..aur normall educated magar bachay la-eiq ....yeh tu charaagh talay andheray wali baat aa ga`i naa ......aur aap deykh lein chahragh jala kar aisa hee hota hai :)

                ok ab serious ...! :blush:

                yehan Brother SUPER COP nay kaha k ..highly educated khawateen ...Sahib yeh status k topic mein ataa hai .....High standard of lives spend karnay aur apany status ko aagay se aagay barhaanay mein ...WELL EDUCATED khawateen ..apnay gharoun per time nahi deyti KION K onn ko ghar mein rehna hee nahi na onn ko modern hona hai TIME SE agagy niklana hai ..WO WAQT AUR ZAMANAY ko jis had tak BIGAAR chuki hein aakhir oss ko nibhana b tu hai na onhein ..tu who cares k ghar mein bachay maids and helpers se kia seekh rahay hein ....
                (yeh ek alag issue hai .........! iss per b AANchi jee kabhi koi debate rakhiyay ga :)..)

                Misaalein tu bohat bhiyaa ...magar koi samjhay tu na ..:) hamary aaas passs kai masbat aur manfi misaalein moojood hein ....kai ek tu share ki meinn ay :)...
                anyway ....hum ko TOPIC per behass karna hai ..K


                KIA WOEMEN KO JOB KARNI CHAIYAY ..
                yehan per iss ziman mein yeh zikr har giz nahi k ....jis ghar mein mard nahi wahan aurat ko mulazmat karni chhaiay ya nahi....KION k ..wahan tu valid reason hai na ..bhikari tu nahi banay gee aurat....kama k hee apnay behanoun ya maa ko khila-ay gee naa...
                yeh b ek alag issue hai ..
                baat yeh hai k ... @TOPIC k ....hum sawal kia kar rahay hein .....CHAHIYAY ? ya NAHI CHAHIYAY ...

                hum yeh sawal tab kartay hein jab hamein khud maloom ho k yeh kam lazmi nahi ...karna chahiyay ya nahi ...
                kia hum khanay k baray mein yeh soachtay hein k kahan chahiyay ya nahi ...jab tak hamein bhook hai hamein khana hai warna bad-hazmi ho sakti hay na !!!!!!!!!! jab Bhook ho tab khana kahan lazim hai ...haan hum ko yeh soachna hai aaj mujhay raat jaag k parhna chhaiyay k nahi ...kion k raat tu soany k liyay hai ..magar shyd mein raat mein ziyada sakoon se parh loon gee ..nisbatan DIN k ..halan k mein yeh janti hon k mein agar raat ko jagoon gee tu din ko university ya college mein mein itni attentive nahi reh sakti ..magar mein iss k baaray mein koi daliil doon gee khud ko ...bas yehi yehan per TOPIC hai .... I HOPE U GOT MY POINT :)

                Comment


                • #68
                  Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                  Thanx Shakh-e Tamnnah je ...!:) ...U R DOING WELL....aap ki kai points kafi masbat hein :)

                  Comment


                  • #69
                    Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                    Originally posted by hamzad View Post
                    agreed Gul:thmbup::phool:or inpage me likh kar to kamal kar dia:)

                    Thanx dear ! :) ....

                    Comment


                    • #70
                      Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      :thmbup:

                      yeh jo aurtian majboori main ghar say niklati hain unhay jo jobs milti hain un say loog in ki majbooreoun ka faida utahtay hian ....unhay ilm nahi hota bahir ki dunia kasi hai loog us ka ghalat faida uthatay hian ....
                      jab kay pehlay say agar woh job kar rahi hoti to yeh majboori na ati or job kar kay andaza hoo jata hai koon si job ghalat hai koon si sahi ..or kis kisem kay logoo say kesay deal karna hai kin ko avoid karna hai ....or majboori main jo job ki jaye gee us main us aurat ko jo bhi job mill gai usay karni parti hoo gee ..


                      or dosri baat bhi aap ki sahi hai ghar main sab kuch honay kay bawajood , or aurtoun kay job na karnay kay bawajood bhi bachay parhai main dull nikal atay hain ...aisi ladies aksar Starplus kay dramoun main waqat guzarti hian :khi:..starplus main waqat zaya karnay ki bajye kisi achi job main yeh time laga dia jaye to zaida behtar hai :)
                      Originally posted by Super Cop View Post
                      bilkul Aanchal sis i am totally agree with u

                      and aise aurtein ya tu Star Plus ke darame dekhte hai ye fer wo mashoor hai na ke Khali Dimagh shaitaan ka ghar hota hai tu ye phir dosri aurtoon ke khilaf sazishein karte rehte hain
                      very Sad story SUPER COP...::D: agar wo darama na deykhein tu shayd onn ka damagh khali ziyada rahay ga naa :khi:acha hai agar wo sabzi kat-tay ..ya karhaai kartay ...ya ...aap k liyay samosay banatay koi darama hee deykh lein :) aap ko b mazay k kahnay mil jaein gay na ..and onn ka b taym pass ::) ho ja-ay ga :D:

                      umm@topic ...siyasi..khel har jagah hein ..Offices mein tu had se ziyada siyasat hai......agar kisi boss nay kisi secretary per kuch mehrbaani dikha de kisi b wajh se niyat achi thee ya Buri ...tu baqi k sab ,,,loag aur specially koi doosri khatoon ..kia kia siysat karti houngee ...:) yeh siyasat ka khel tu hamaray moashray mein lahoo ban k dorta hai ...oss k bian hamari society na mukamal hai ...( iss ka yeh matlab nahi k I am in favor of this type of politics or of any kind...) but aisa hota hai so ..gahr mein rehnay wali khawateen hee sirf siyaasat ka shikar nahi ..office mein jaanay wali ....b iss se Mehfooz nahi aur phir oss mein jab ghair mard b shamil ho jaein tu ............! siyasat ka rang...........KIA HO GA!?:cc:

                      Comment


                      • #71
                        Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                        Originally posted by Gul View Post
                        Thanx Shakh-e Tamnnah je ...!:) ...U R DOING WELL....aap ki kai points kafi masbat hein :)


                        thnx Gul ji:phool:

                        Comment


                        • #72
                          Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                          Originally posted by Aanchal View Post
                          yeh pher zabardasti wali baat hoo jati hai na kay jesa husband chaye , mushara chaye wesay aurat ko banaoo ..aurat ki apni marzi ka khayal to nahi reakha jata na :donno:

                          well ap me ko ik baat bataien......ager urat apni marzi karay gi kisi ki nahi sunay go...us ko perwa nahi ho gi husband ki....musharay ki.....koi us ko izat day ga? bataien.......

                          Comment


                          • #73
                            Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                            Originally posted by Aanchal View Post
                            yeh jo loog kehtay hain aurat yeh na karay woh na karey koi job na karey ...majboori par jaye yehi loog sab say pehlay peachay hattay hian .....aik aurat ko khud hi shadi say pehlay hi apnay aap ko set karna chaye takay zindagi main agay chal kar kisi ki muhtaaji na hoo ..


                            ya me yahi keh rahi hoon na keh....shadi say pehlay ager wo khud ko establish kerna chahti hai tu ker lay...job kerna chahaye tu ker lay....but after shadi......i dont think so keh.....us ko job kerni chahiye......jab tak us ko zaroort na ho....


                            her baat insaan apni marzi per nahi chor sakta na..keh us ki apni marzi kaya hai....jab ais duniya main rehna hai tu..apnay ird gird ka b khayal rakhna chahiye.....

                            Comment


                            • #74
                              Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                              Originally posted by Gul View Post
                              :) Mujhay sachi mein hansi aa rahi hai ...:) ....Sorry i dont want to b rude but ..i am sorry i dont to hurt even ! ...
                              laikin kitnay mazay ki baat kahi na ...highly educated ....and bachay naalaik ..aur normall educated magar bachay la-eiq ....yeh tu charaagh talay andheray wali baat aa ga`i naa ......aur aap deykh lein chahragh jala kar aisa hee hota hai :)

                              ok ab serious ...! :blush:

                              yehan Brother SUPER COP nay kaha k ..highly educated khawateen ...Sahib yeh status k topic mein ataa hai .....High standard of lives spend karnay aur apany status ko aagay se aagay barhaanay mein ...WELL EDUCATED khawateen ..apnay gharoun per time nahi deyti KION K onn ko ghar mein rehna hee nahi na onn ko modern hona hai TIME SE agagy niklana hai ..WO WAQT AUR ZAMANAY ko jis had tak BIGAAR chuki hein aakhir oss ko nibhana b tu hai na onhein ..tu who cares k ghar mein bachay maids and helpers se kia seekh rahay hein ....
                              (yeh ek alag issue hai .........! iss per b AANchi jee kabhi koi debate rakhiyay ga :)..)

                              Misaalein tu bohat bhiyaa ...magar koi samjhay tu na ..:) hamary aaas passs kai masbat aur manfi misaalein moojood hein ....kai ek tu share ki meinn ay :)...
                              anyway ....hum ko TOPIC per behass karna hai ..K


                              KIA WOEMEN KO JOB KARNI CHAIYAY ..
                              yehan per iss ziman mein yeh zikr har giz nahi k ....jis ghar mein mard nahi wahan aurat ko mulazmat karni chhaiay ya nahi....KION k ..wahan tu valid reason hai na ..bhikari tu nahi banay gee aurat....kama k hee apnay behanoun ya maa ko khila-ay gee naa...
                              yeh b ek alag issue hai ..
                              baat yeh hai k ... @TOPIC k ....hum sawal kia kar rahay hein .....CHAHIYAY ? ya NAHI CHAHIYAY ...

                              hum yeh sawal tab kartay hein jab hamein khud maloom ho k yeh kam lazmi nahi ...karna chahiyay ya nahi ...
                              kia hum khanay k baray mein yeh soachtay hein k kahan chahiyay ya nahi ...jab tak hamein bhook hai hamein khana hai warna bad-hazmi ho sakti hay na !!!!!!!!!! jab Bhook ho tab khana kahan lazim hai ...haan hum ko yeh soachna hai aaj mujhay raat jaag k parhna chhaiyay k nahi ...kion k raat tu soany k liyay hai ..magar shyd mein raat mein ziyada sakoon se parh loon gee ..nisbatan DIN k ..halan k mein yeh janti hon k mein agar raat ko jagoon gee tu din ko university ya college mein mein itni attentive nahi reh sakti ..magar mein iss k baaray mein koi daliil doon gee khud ko ...bas yehi yehan per TOPIC hai .... I HOPE U GOT MY POINT :)


                              Gul Sister koi kaam ke baat bhi karein :khi:
                              ye ap kin chakroon mein par gayein hai :donno:

                              Comment


                              • #75
                                Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                                Originally posted by Gul View Post
                                Aap ko waqi link deynay ki zaroorat hai kion k aap meri itni detail ko sahi se yaad nahi rakh paaein naturally wahi baat k wo atachment aap k samnay nahi thee....! kher mein oss detail mein tu har giz nahi jana chahOOn gee ! bass ek baat k ....Shadi k baad jo hona hai ya ..kal Jo hona hai oss k liyay hum amal mein tiyar rehnay k liyay ...oss ka knowledge hasil kartay hein ..right? Road cross karna meinn ay auratoun ko nahi kaha tha ....ek iste`ara use kia tha k ..:) kher Larkiyan beyshak oss age mein hoti hein jab wo job kar sakti hein jab wo SAMJHDAR hoti hein ...aur mein 100% ki baat nahi kar rahi magar MOST OF ki baat kar rahi hoon ..k wo wahi samjhdaar larkiyan ...ghar k halaat ko sudhaar nahi saktien ...magar JOB jo money making hoti hein BUHAT KHOOBSOORAT tareqay se nibha leyti hein.!!!!!!!!!!!!!!!:):donno:
                                dear main janti hoon k app nay baat ko samjhany k liay yeh iste'ara ka istemal kia hay.....to mainy bhi app ko usi trhaan jwaab dia:)
                                or rahi job or ghar samnbhalny ki baat to jo lrkian apny ghar k liay job kr sakte hain woh apny gharoon ko bhi ba'khooobi sanbhal sakti hain...infact woh sanbhalti hain ...mery khiyal main jo smajhdaar lrkiaan hoon ge woh donoon kaam khobsoorti k saath anjaam day sakte hain otherwise unhain smajhdaar nahi kaha ja sakta....agr koi aurat job krti hay to woh money making k liay eh krti hay or usay apny ghar ka pata hota hay k woh araam say ghar jaa kr sab kuch handle kr lay ge kion k ghar wally us ki batoon ko asaani say smajh sakty hain ..laikin rahi baat job k time ke to jab koi job krta hay to whaan us ki mrzi nahi chalti k woh time say pehly ghar chali ja'ay yaan phir time say pehly job say chutti kr lay....or ghar wally to phir hr baat ko smajh sakty hain kion k un k ghar k halat un say chopy nahi hoty...unhain pata hota hay k jo job kary ga usay job k liay ziyada time nikalna ho ga.....agr unhaibn manzoor ho ga to woh un ko job krwa lain gay otherwise nahi....or jo job krti hain un k ghar waloon ko to automaticaly pata hota hay k job k roles bhi hoty hain jo k sab ko follow krny prty hain .....offfice ka kaam humain khud he krna hota hay jo k hr haal main hona cha'he'ay jab k ghar k bary main hum janty hain k kai or log bhi gahr per hain jo k us k hissay ka kaam kr sakty hain........kion k job woh apny ghar k liay kr rahi hay to ghar wally itna to kr he sakty hain????

                                Originally posted by Gul View Post
                                yehan khawateen k time mangment ki tu baat hee nahi na .. ( Khawateen ki Salahiyutun ko kisi aur debate mein discuss karein gay :) ) Yehan per ONN 20% khawteen ki baat ho rahi hai jo job karti hein..office tu waqt per puhanch jaati hai magar ghar k kaam k liyay onn k pass Time nahi hota ...KION K beychaari thak gaien hein na:)
                                g haan main janti hoon k yeh khwaaten ke time menegment ke baat nai ho rahi laikin mainy sath he job ke bhi baat ke hay k agr khwateen time ka hissab rkhain geen to hr kaam main asaani ho ge or woh hr kaam kr skain geen:)....laikin kai bachari aisi bhi hain jo k job krny k baawjood apny gharoon ko sanbhalti hain:)...

                                Comment

                                Working...
                                X