Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

    Assalamalikum
    jesa kay ham nay aik debate announce ki hovi hai ,woh ham abhi say shuru kar kar rehye hian ..hamara topic hai

    "kia khawateen ko mulazamat karni chaye ?"

    han ya na jo bhi jawaab hoo us pay teams nay apnay comments deenay hian ...
    hamri 2 teams hain ..

    Team A
    Aanchal
    jia
    shakh e tamana
    super cop

    Team B
    shaim
    gul
    hamzad

    Rules:
    aik aik hafta yeh topics chalian gay...(aik hafta bad bhi koi continue karna chaye to kar sakta hai lekan woh competition main shamil nahi hoo ga)...aaj Sunday hai to Next Sunday tak is ka end hoo ga ..

    Judge koi nahi hai is debate ka ...debate kay end main ham fourm kay baki members ko jinhoo nay participate nahi kia unhay invite karian gay kay woh donoo teams kay baray main batye kis nay kitnay achay points likhye hain..

    larai jhugra , fazool behas say parheez karian , zateyaat pay baat karnay say guraizz karian

    zarori nahi aik sath hi apni baat likhian aik aik point kar kay bhi apni baat likh saktay hian ....aik dosray ki posts pay reply kar sakti hian donoo teams lekan larai jhurhray say door rehian :)

    (jinhoo nay participate karnay ko kaha tha aaj kay din woh bata daian to unhay team main shamil kar dia jaye ga warna pher nahi ...or baki kisi member allowed nahi hai kay debate kay darmeyan posting karian ...debate kay end main baki members apni baat kar saktay hian ..
    i think sab kuch clear hai to ham apni debate abhi say shuru kartay hian :D:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

    Team A ki taraf say main apni debate start karti houn
    Bismillah kar kay baat shuru kartay hian :D:

    hamara topic hai kia khawateen ko mulazamat karni chaye ? to sab say pehlay humye yeh deekhna chaye kay jo mulazamat ki jati hai us kay kia hasil hota hai ? pesay or apni taleem ka acha istamal ....na pesay kamnay main kio boorai hai na taleem kay istamaal main to pher khawateen jobs kio nahi kar sakti ?:)
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment

    • #3
      Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

      Mein As A MEMBER OF TEAM B ....iss debate ko aagay barhaati hoon!

      start tu kher jab aap favor mein hoon tu always easy hota hai
      :) aap nay do reasons dee khawateen k job karnay ki...
      Ek earn karna ,aur second Taleem ka usage ...
      hum apni zarooriyat ko mehdood agar rakhein ..fazooliyat se bachein, kafayat shoaari se kaam lein tu hum khwateen ko job ki koi zaroorat nahi...
      Rahii..taaleem ka behtareen istemal apnay bachoun ki parvarish hai. kion k sab se pehla madresa( school) Maan ki GOUD( lap) yani ghar hota hai
      .ya agar aap iss ko aur b masbat aur mofeed karna chahti hain
      tu Islaahi turr per kaam kijay charity bases per bachoun parha-iyay....
      ya phir aisi khwateen tak elm ki roshni puhancha-ein ..jo beychaari kisi wajh se nahi parh sakein...Os sk li-ay JOB karnay ki Qata`an zaroorat nahi .! :)
      Last edited by Gul; 28 October 2007, 08:56.

      Comment

      • #4
        Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

        [CENTER]
        :) aap nay do reasons dee khawateen k job karnay ki...
        Ek earn karna ,aur second Taleem ka usage ...
        hum apni zarooriyat ko mehdood agar rakhein ..
        aaj ka door itna fast hoo chuka hai insaan aap apni kitni zarortian mehood rekh sakti hian ?:)fazooliyat se bachein, kafayat shoaari se kaam lein tu hum khwateen ko job ki koi zaroorat nahi...
        jo jobs karti hain woh khawateen bhi kefayatshurai say kaam kar sakti hain :D:

        Rahii..taaleem ka behtareen istemal apnay bachoun ki parvarish hai. kion k sab se pehla madresa( school) Maan ki GOUD( lap) yani ghar hota hai

        ji sahi ..lekan kia jo khawateen jobs karti hain woh achi maaian sabit nahi hoti ?main nay aksar aurtian aisi deekhi hain jo jobs or ghar donoo ki sahi sanbhaal rahi hian ....bachoun ko bhi achi tarebat day rahi hain ...is leye mere khayal main to yeh sahi nahi lagta kay jobs na karnay wali khawateen hi bachoun ki achi parwrish kar sakti hai ...ya agar aap iss ko aur b masbat aur mofeed karna chahti hain
        tu Islaahi turr per kaam kijay charity bases per bachoun parha-iyay....
        ya phir aisi khwateen tak elm ki roshni puhancha-ein ..jo beychaari kisi wajh se nahi parh sakein...Os sk li-ay JOB karnay ki Qata`an zaroorat nahi .! :)

        yeh sab bhi to jobs main shumar hota hai na ?:D:

        ,,
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment

        • #5
          Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

          orat ka asal mukam us ka ghar he jahan us ko bohat sara waqt dena hota he,bachon ki tarbeyat karna hoti he or ye aik full time job he is ke elawa phir mazeed kisi job ki kia zarurat he?:donno:ager wo ghar ko bhi dekhe or job bhi kare to wo phir double kaam kare gi or natija thakawat or zehni tension ho ga jo us ke ghar or bachon par bure asraat muratab kare ga.aj ke doar me insan me bardasht kam ho chuki he is leay k insan ne khud ko bilawaja hi dher saer bakheron me masroof kar lia he.purane waqton me khwateen gharon par rehne ko tarjeeh dia karti thein to ghar pursakoon raha karte the jab ke aaj dekh lein kese asaani se ghar toot jate hen.

          Comment

          • #6
            Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

            Originally posted by hamzad View Post

            app nay bikul theek kaha hay laikin agr usi ghar main kuch khany ko na hoa or koi or kmany wala bhi na hoa to kia aurat moon daikhti rhay ge k koi aa'ay or mujhy kmaa kr day....mery khiyal say aurat ko zindagi k hr shobay main mharat hasil honie cha'he'ay....taan k woh hr mushkil ka samnaa ba'koobi kr saky or usay kisi ka mohtaaj na hona pary....agr koi khwaateen job kr bhi laiti hain to is main koi problem nahi hay.... job krna dossroon k aagy haath phailany say behtr hay:)
            or agr koi auat job krti hay to is ka mtlb yeh nahi k woh apny bachoon ko nahi sanbhal skay ge...ajj kal k moashry main jo khwateen job krti hain woh poarni khwateen ke nisbat ziyada illam rakhti hain..or apni knowledge k hisaab say woh apny bachoon ke achi parwrish bhi kr sakti hain or job bhi kr sakti hain:)

            Comment

            • #7
              Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

              Originally posted by jia View Post

              bilkul majburi ki halat me job zarur karni chaey lekin me ne yahan un khawateen ki baat ki he to mehez shok me ya wo chunke parhi likhi hen to job kar leti hen.un ke bare me likha he.:)
              Anchal ab batao yahan ham kia karen???:blush:me ne to pehle bhi yehi kaha tha ka bila zarurat job nahi karni chaey ab jahan zarurat ko samne rakh kar behes ki jaey gi to ham team A me shamil ho jaen ge na:tauba

              Comment

              • #8
                Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                Originally posted by Gul View Post

                Mein As A MEMBER OF TEAM B ....iss debate ko aagay barhaati hoon!

                start tu kher jab aap favor mein hoon tu always easy hota hai
                :) aap nay do reasons dee khawateen k job karnay ki...
                Ek earn karna ,aur second Taleem ka usage ...
                hum apni zarooriyat ko mehdood agar rakhein ..fazooliyat se bachein, kafayat shoaari se kaam lein tu hum khwateen ko job ki koi zaroorat nahi...
                Rahii..taaleem ka behtareen istemal apnay bachoun ki parvarish hai. kion k sab se pehla madresa( school) Maan ki GOUD( lap) yani ghar hota hai
                .ya agar aap iss ko aur b masbat aur mofeed karna chahti hain
                tu Islaahi turr per kaam kijay charity bases per bachoun parha-iyay....
                ya phir aisi khwateen tak elm ki roshni puhancha-ein ..jo beychaari kisi wajh se nahi parh sakein...Os sk li-ay JOB karnay ki Qata`an zaroorat nahi .! :)
                App nay bhi biklkul theek kaha hay....laikin aik trf aap keh rahi hain k khwateen ko job nahi krni cha'he'ay or dussri trf app keh rahi hain islaahi turr pr kaam krna theek hay to main app ko btati chalo k jisay hum log job ka name day chukky hain usay dossry lafzoon main kaam krna he kaha jata hay...or jisa k app nay kaha k aisi aurtoon tk illam pohancha'ain jo k kisi wjah say parh nahi sakeen to isay dussry lafzoon main teaching kehty hain or yeh bhi job he hay:)
                aik trf app keh rahi hain k job nahi krni cha'he'ay or dussri trf job k zraya bata rahi hain ?:cc:

                Comment

                • #9
                  Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                  Originally posted by Masood View Post
                  Main kahan hoon in teams mein? :blush::blush::blush:
                  Aap awaam ho app nay rules nahi parhy kia?:cc:

                  Comment

                  • #10
                    Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                    Originally posted by Masood View Post
                    Main kahan hoon in teams mein? :blush::blush::blush:
                    :a stick:

                    aaj ki date main aap bata daian koon si team main jana chahtay hainto theek warna aaj ki date guzar gai to pher nahi a saktay :na:

                    yeh un loogoo kay leye hai jinhoo nay kahaa tha ham participate karian gay lekan confirm nahi kia tha .....
                    aik larki, raafi, masood, or jo bhi members hain jinhoo nay us thread main kaha tha ham participate karian gay woh abhi bata daian warna aaj ki date guzar gai to pher nahi a saktay ....or baki members abhi allow nahi hain :rose
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment

                    • #11
                      Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                      Originally posted by hamzad View Post
                      bilkul majburi ki halat me job zarur karni chaey lekin me ne yahan un khawateen ki baat ki he to mehez shok me ya wo chunke parhi likhi hen to job kar leti hen.un ke bare me likha he.:)
                      Anchal ab batao yahan ham kia karen???:blush:me ne to pehle bhi yehi kaha tha ka bila zarurat job nahi karni chaey ab jahan zarurat ko samne rakh kar behes ki jaey gi to ham team A me shamil ho jaen ge na:tauba
                      :taubaoh dearest mainy kaheen per bhi yeh nahi kaha k aurat ko zarorat k wqt he job krni cha'he'ay...mainy to kaha hay k usay hr wqt hr mushkil ka samna krnay k liay tiyar rehna cha'he'ay....or is ka mtlb yeh nahi k woh zarort k wqt he job kary bl k agr woh start say he job krti ho ge to zarorat k wqt usay mushkil nahi ho ge woh ba'aasani hr kaam kr lay ge....
                      or agr app kehti hain k zarorat k wqt he aurat ko job krni cha'he'ay to main is cheez k bhi against he hoon ....kion k jab aurat ko zarorat pary ge to woh aik dam say kis trhaan job talash kary ge phir usay kis trhaan handle kary ge yeh sab kaam bohat mushkil hoty hain..or zarorat k wqt to pehly he aurat mushkil main hoge to usi wqt is baat ke kia guarenty hay k usay job mill ja'ay ge?or agr mill bhi gai to woh aik dam say us job ko ba'khoobi kr pa'ay ge?

                      Comment

                      • #12
                        Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                        Originally posted by hamzad View Post
                        orat ka asal mukam us ka ghar he jahan us ko bohat sara waqt dena hota he,bachon ki tarbeyat karna hoti he or ye aik full time job he is ke elawa phir mazeed kisi job ki kia zarurat he?

                        beshak aurat ki pehli zimmadari ghar hai ....ab agar koi aurat ghar or bahir donoo ko sahi manage kar sakti hai to kio na karay job ?:)

                        :donno:ager wo ghar ko bhi dekhe or job bhi kare to wo phir double kaam kare gi or natija thakawat or zehni tension ho ga jo us ke ghar or bachon par bure asraat muratab kare ga.aj ke doar me insan me bardasht kam ho chuki he is leay k insan ne khud ko bilawaja hi dher saer bakheron me masroof kar lia he.

                        double kaam to nahi kar saktay is main Time Management zaida important hoti hai ...usay sahi say manage karna ata hai sab kuch to usay rokna bhi nahi chaye jobs say .....

                        hamri aik teacher the teaching bhi karti thein , bachoun ki bhi theek taraha say deekh bhaal karti thein ..khair bachaye ab baray hoo chukyethey lekan woh teaching shuru say karti a rahi thein jab bachay school janay ki age ki hovey tab say teaching start kar di ....bachoun kay ghar anay say pehlay khana waghera sab ready kar laiti ..ghar ka sara kaam khud karti thein kabhi kaam wali nahi reakhi ...kabhi bahir ka khana nahi kahaya kahana khud banati the humesha ....or husband kay kaam main bhi help karti the .......or achi khasi active aurat thein .....

                        isi hawalye say aik baat yeh hai kay jabaurtoun ki age bari a hoo jati hai , bachay baray hoo kay apni studies/jobs main lag jatay hian to woha urtian kia karian farigh ? pesa bhi hath main hoo to or zarorat na hoo job ki to pher kia karian ..jobs karian gee apna acha waqat guzaar sakti hain or apnay mulk ki taraqqi main bhi hath bata sakti hain ...bajye is kay kay woh parties main apna time guzarian :D:

                        purane waqton me khwateen gharon par rehne ko tarjeeh dia karti thein to ghar pursakoon raha karte the jab ke aaj dekh lein kese asaani se ghar toot jate hen.
                        poornay waqatoun main bhi aurtian kaam karti thein lekan gharoun main reh kay karti the usay job ka naam nahi dia jata tha ....ab vohi kaam bahir ja kay karnay lagi hain to usay job ka naam day kay is ki mukhalafat ki jati hai....aaj bhi aurtian gharoun main kaam kar rahi hain agar yehi bahir ja kay karian to mukhalafat aisa kio ?:donno: ....

                        aik aurat ko sirf apnay bachoun apnay ghar key leye nahi pooray mulk ki leye kaam karna chaye :)

                        .
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment

                        • #13
                          Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                          [QUOTE=jia;555001][B][I][COLOR=blue]....mery khiyal say aurat ko zindagi k hr shobay main mharat hasil honie cha'he'ay....taan k woh hr mushkil ka samnaa ba'koobi kr saky or usay kisi ka mohtaaj na hona pary..

                          sahi :thmbup: aksar loog yehi kehtay hian jab buhat zarorat hoo tab kaam kia jaye ..lekan mery nazdeek yehi hai kay aap pehlay hi say apnay aap ko set karoo ..takay bad main mushkil aye hi na ...
                          bad main kjab job karna chaaye gee to jobs us kay leye available houn gee ?:) itna fast zamana hai kisi bhi cheez key leye kafi hath paoun marnay partay hian ...bad main jo cheez usay chaye woh wesi mill jaye gee usay ?mazeed tension hoo gee usay job dhoundnay main bhi ...or ghar main reh reh kay aksar aurtian is taraf step utha bhi nahi sakti pher ...itna arsa ghar main guzaar kar bahir niklna koi asan nahi hota ...is taraha woh dosroun ki muhtaaj rehti hai koi aye to us ka kaam karwa day :)

                          ..
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment

                          • #14
                            Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                            Originally posted by hamzad View Post
                            bilkul majburi ki halat me job zarur karni chaey lekin me ne yahan un khawateen ki baat ki he to mehez shok me ya wo chunke parhi likhi hen to job kar leti hen.un ke bare me likha he.:)
                            Anchal ab batao yahan ham kia karen???:blush:me ne to pehle bhi yehi kaha tha ka bila zarurat job nahi karni chaey ab jahan zarurat ko samne rakh kar behes ki jaey gi to ham team A me shamil ho jaen ge na:tauba
                            hamra point yeh hai kay agar pehlay hi say is taraf kushish ki jaye to majboori peda hi nahi hoo gee ...:D: ab majboori a gai to zahir hai karni hi parey gee jo kay hamra mozoo nahi hai yeh ...

                            or shok ki baat kahi hai aap nay to is main boorai kia hai kisi ko job ka shok hoo to ?:D: jesa kay main nay pehlay kaha kay pesa kamana , taleem ka istamal yeh sari cheezian hasil karnay ka haq to aurat ko bhi hona chaye ...or shok hai to tab bhi koi boorai nahi ...

                            deekhian aik aurat ghar main reh kay kaam kaaj karti hai bachoun kideekh bhaal karti hai ..or bakis ara waqat tv, parties,or shopping in cheezoun main guzar daiti hai .....or dosri aurat ghar/bachoun kay bas apna waqat jobs main guzartyi hai to kia boorai hai ?

                            aurtoun ki zindagi may bhi stages hotay hian ...parhai kay bad shadi say pehlay kafi waqat hota hai us waqat bhi job kar sakti hain ...us waqat kuch khas zimmdarian bhi nahi hoti ..

                            continue .....:D:
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment

                            • #15
                              Re: debate *kia Khawateen ko mulazamat karni chaye?*

                              Originally posted by Aanchal View Post

                              aaj ka door itna fast hoo chuka hai insaan aap apni kitni zarortian mehood rekh sakti hian ? :D:
                              Sweet definitions :) ...
                              anyway ....sab se pehlay I just want to know k rules mein Quote karnay se koi problem tu nahi agar aisa hai tu ....Plz do tell me ..RIGHT!

                              anyway ... :) hum har cheez mein time ko blame kartay hein k waqt hee aisa aa giya hai ....tu dear zaroortein tu har durr mein kahin na kahin kisi na kisi soorat moojood rahein, Har zamany mein oss k mutabiq zarooratoon k sawal othay ...magar hamari khawateen nay apnay aap ko oss se roka ..aur they lived happy life..hum kis tarah mehdood kar sakti hein apni zarooratoun ko yeh hum khud hee apnay ehtesaab karein tu jaan sakti hein ..:) yeh ek individual ko theek honay ki zaroorat hai ...and u know that k
                              ek fard se millat banti hai ...:) *har fard hai millat k muqaddar ka sitara*

                              Originally posted by Aanchal View Post

                              jo jobs karti hain woh khawateen bhi kefayatshurai say kaam kar sakti hain :D:
                              Jee sahi kaha aap nay k wo kafayat-shoaari nahi kanjoosi k has tak ho jaati hein magar sirf oss money k liyay jo wo earn karti hein ...hubby ki kamaai ko be dregh kharch karti hein ....ya kuch adverse situations b create ho jaati hein ,,jo mein next posts mein yaqeenan quote karoon gee :)

                              Originally posted by Aanchal View Post
                              ji sahi ..lekan kia jo khawateen jobs karti hain woh achi maaian sabit nahi hoti ?main nay aksar aurtian aisi deekhi hain jo jobs or ghar donoo ki sahi sanbhaal rahi hian ....bachoun ko bhi achi tarebat day rahi hain ...is leye mere khayal main to yeh sahi nahi lagta kay jobs na karnay wali khawateen hi bachoun ki achi parwrish kar sakti hai ...
                              Maan hona ....maan ki tarah hona mein bihat farq hai ...beshak maan apnay jazbaat apnay ehsasat ko kabhi b peechay nahi chorti chahay wo ek ghar mein rehnay wali maan ho ya ...ghar se bahir kaam karnay wali maaN....yeh jazba tu equally janwaroun mein b hai ..MAAN ki azmat se kisay inkar hai , but yes I have seen so many families jahan ..working mothers har waqt yehi rona daaliti hein k ..kia karoon kaam se wapic aao tu itnay thakay hotay hein ..ghar ko sahi se time nahi dey saktay ...bachay ignore ho rahay hein ....agar Mulazim hein tu jo haalat mein nay deykhay wo ...those are so ridiculous that...:(
                              Originally posted by Aanchal View Post
                              yeh sab bhi to jobs main shumar hota hai na ?:D:

                              ,,
                              Job but with out salary ..and we are talking about the JOB which Women DO for earning Money .....:)

                              Comment

                              Working...
                              X