Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Every Tool Explained

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Every Tool Explained 2


    Smudge tool



    Jab bhi aap kisi aesay image mein say koi object copy kareingay jis mein kafi colors hoon, too aap ki copy ki hui cheez kay edges kafi kharab ho jatay hain, jesay keh image mein show kia hua hay



    Uper batiay giay kisi bhi tool say selection karain



    Select kar key Edit > Copy karain phir aik new layer banian aur uss mein white color ka background paint-bucket tool ki madad say apply kar dein, phit aap Edit > Paste karain to aap note kareingay keh aap kay selected objet kay edges kafi kharab lag rahay hain



    Ab aap Z key ki press karain to Zoom tool select ho giay ga uss say aap image par click karain to image zoom-in ho giay ga, ab aap inn area's mein smudge tool apply kareingay, phir dekhtay hain kia hota hay



    Ab Smudge tool select karain aur inn area's mein paint karain



    Jab aap pora kar leingay to dobara say Z ki key press karain aur uper option menu say Actual Size button par click karain, aap ko image ab kafi behtar lagay gi












    Last edited by pakgates; 8 January 2009, 12:24.


    Comment


    • #47
      Re: Every Tool Explained

      nice ....buht achi ja rahi hai....
      plz ab new lesson ka be start kari Sir. :p
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment


      • #48
        Every Tool Explained 2

        Dodge tool


        Ye tool umomi tor par images ko light karnay kay liay istimal kartay hain, inn images ko hum under-exposed images bhi kehtay hain, jis mein image zara dark ho gia ho, jesi yeh image hai



        Agar aap iss kay option abr ko dekhain to aap ko iss mein option nazar aaiangay, inn mein Highlight, Midtones aur Shadow moujod hoonjay. Agar aap Highlight select karain aur aap kay image mein kisi area ko light karan hai to yeh iss liay istimal hota hai, Mid-tones yani, aap kay image mein kuch colors hoongay jo kafi dark hoongay, to yeh select karain aur brush karain to woh colors wazah ho jiangay aur Shadow, skin mein agar koi dark area hai ussay light karnay kay liay issay use kartay hain

        Sab say pehlay aap Highlight select karain, iss mein Exposure(optionbar) mein 50% kar dein aur brush hardness ko 50% kar dein. Ab aap brush stroke lagain


        Iss image mein aap sirf clouds ko color karain, phir aap optionbar mein say Midtones(iss mein flow 50% karain) select karain aur tree aur nechay ki grass ko dodge karain to aap ka final image yeh ho ga



        Aap issay mazeed behtar kar saktay hain, meinnay sirf sikhanay kay liay zara tez kaam kia hai
        Last edited by pakgates; 15 January 2009, 13:43.


        Comment


        • #49
          Every Tool Explained 2



          Burn tool

          Issi kay saath dosra tool hoga, burn tool, agar aap kay image mein ziada roshni aa gie hai, jissay hum over-exposed images kehtay hain, too iss tool ki madad say aap issay remove kar saktay hain, jesay yeh image hai



          Aap tool select karain aur yeh apply karain to aap dekhaingay keh image mein jo ziada roshni thi woh kam ho gie hai





          Comment


          • #50
            Every Tool Explained 2



            Sponge tool



            Yeh aik bohat hi acha tool hai jis say aap image mein different effect create kar saktay hain, aap issay select karain, uper option menu mein say De-Saturate select karain aur image par brushing karain

            Mein yeh image use kar raha hoon



            Meinnay uper walay hissay par iss tool ki madad say kuch strokes lagiay hain, to yeh effect aaya hai





            Comment


            • #51
              Re: Every Tool Explained

              Yahan par dosra hissa bhi ikhtitam pazer hota hai, aap dost apni aarah say bhi aagah kartay rahein, keh aap ko tutorial mein aur kia behateri chahiyay
              Last edited by pakgates; 15 January 2009, 13:57.


              Comment


              • #52
                Re: Every Tool Explained

                ha!! buht khoob new tipz mili... thanks..

                itna acha to chal raha hai.. kia rayee de... just keep it up...
                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                :pr:

                Comment


                • #53
                  Every Tool Explained 3

                  Pen tool
                  Aap sab ki khidmat mein aik bohot hi eham tool lay kar hazir hua hoon,, mein iss tool ko miracle tool kay naam say mutarif
                  karwata hoon, kyon keh yeh tool aap ko bohat munfarid designs de sakta hai aur iss say seletion bhi bohat accurate hoti hai.

                  Iss kay option bar mein nazar dalein to aap ko 2options pehlay nazar aaiangay, Shape layers aur Paths, agar aap ko koi shape
                  design karna hai to aap shape layer select karain ya agar koi selection karni hai to Paths select karain. Freehand selection jesa
                  keh naam say zahir hota hai keh iss ki madad say aap freehand selection kar saktay hain(lekin mein iss ko prefer nahi karonga).
                  Aik chota sa arrow bhi nazar aa raha ho ga aap ko iss ko click karain to aap ko Pen tool kay options nazar aainagay,
                  RubberBand, iss ko enable karain to aap ko agay ka selection show ho giay ga, iss ko enable karain selection karain, phir
                  disable karain aur selection karain to aap ko clear ho giay ga iss ka maqsad




                  Comment


                  • #54
                    Re: Every Tool Explained

                    Optionbar say Shape layer ka option select karain, aik new document open karain aur clicks karain to aap ko path banta nazar aaiay ga, iss mein highlighted box ka matlab hai keh aap ko nia point enter karaingay click kay zariyay to woh iss say agay add ho ga




                    Comment


                    • #55
                      Every Tool Explained 3

                      Ab agar aap do points kay darmian click karain to aik aur point add ho giay ga, phir aap iss point ki madad say iss area kay shape ko adjust kar
                      saktay hain


                      Issi tarah agar aap kisi point par click karain to woh point delete ho giay ga


                      Ab agar aap point ko click karain aur mouse say Ctrl key press karain aur move karain to aap curve create kar saktay hain do points kar darmian


                      Issi tarah agar aap Alt press karain to aap ko Anchor points nazar aaiangay, inn ko move kar keh bhi aap nia shapre bana saktay hain


                      Last edited by pakgates; 26 January 2009, 11:39.


                      Comment


                      • #56
                        Every Tool Explained 3



                        Ab agar aap optionbar mein say Paths select karain aur points lagein to aap kisi bhi image mein koi bhi chez ko select kar saktay hain, aap click karain to points aanay start ho jiangay



                        Jab aap selection complete kar leingay to aap right click karain aur Make selection kar click karain



                        Uper menu say Edit > Copy karain aur phir Layer > New > Psste via new layer select karain, to aap ka selected object new layer par paste ho jiay ga, iss tool say aap bohat accurate selections kar saktay hain






                        Comment


                        • #57
                          Every Tool Explained 4

                          Text tool

                          Jesa keh naam say zahir hai keh iss tool say aap text add kar saktay hain


                          Iss say optionbar ki tafselat note kar lein



                          Iss mein text orientation ki madad say aap text ko horizontal/vertical shift kar saktay hain, koi bhi text likh kar agar aap Text Wrap button par click karain to aap ko floating, waving aur degar effect add karnay ki sahulat ho jiay gi


                          Iss image mein meinnay kuch effects show kiay hain

                          Last edited by pakgates; 26 January 2009, 12:14.


                          Comment


                          • #58
                            Every Tool Explained 4





                            Koi graidient backgorund create karain aur Text tool mein aik aur tool bhi moujod hai jo keh kafi useful hai, aap Horizontal type mask tool select karain



                            Edit>Copy karain aur new layer create karain iss mein white background fill karain aur Edit > Paste karain






                            Comment


                            • #59
                              Every Tool Explained 4



                              Notes tool

                              Wasay too yeh tool PS mein kam hi istimal hota hai, lekin aik acha tool hai, yeh aap ki tasaver mein different jaja par notes bana deta hai, taqe agar aap kay image ko koi aur edit karay to ussay yeh ilm ho keh aap nay image par kitna kaam kar lia hai, aur ussay kitna karna hai



                              Bus tool ko select karain aur notes likh lein, yeh notes sirf .PSD file mein hi show hongay



                              Issi kat sath aik aur tool hai Audio annotation tool, yeh bhi yehi kaam karta hai lekin iss mein aap audio record kar keh set kar saktay hain






                              Comment


                              • #60
                                Every Tool Explained 4

                                Shape tool

                                Ab barhtay hain PS kay last tool ki taraf, Shape tool, iss tool say aap Circle, Square, Ellipse, Rectangle, Polygon aur kafi saray shapes create kar saktay hain.



                                Iss kay optionbar mein arrow par click karain to aap ko different shapes kay different option nazar aainagay



                                Iss mein custom shapes bhi moujod hain, inn mein say bhi aap kuch use kar saktay hain, aur agar poray shapes show nahi ho rahay to aap arrow par click karain aur All ko select karain




                                Comment

                                Working...
                                X