Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Every Tool Explained

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Every Tool Explained

    Buhat hee Omdha ....Buhat hee informative and really really ...VERY NICE ,..!

    Comment


    • #32
      Every Tool Explained 2


      Yahan taq to aap cloning sahi kar leingay, iss kay baad aap ko masla ho ga



      to iss kay baad aap marquee tool say cloning kareingay, aap M press karain aur area select karain, phir aap Atl ki key press karrain to aap ka kay paas aik ki gaja do triangles aa rahay hoongay, aap left-click karain aur nechay lag jian uss area ko, to kuch iss tarah ka image ho ga



      Ab yahan masla yeh ho sakta hai keh aap ko andaza nahi ho raha ho ga keh aap nay jo clone kia hai woh sahi jaga par aa raha hai ya nahi, to aap selection ko hide kar dein Ctrl + H ki key press karain ab move tool select karain V ki key press kar keh aur sahi positiion kar dein



      Ab dobara say yehi process karain, cloning karain aur area ho sahi karain, kuc h iss tarah



      Aur aap ka final image kuch iss tarah ho ga, jis mein aap nay baray umda tareqay say aik cheez ghaib kar di



      Last edited by pakgates; 3 January 2009, 09:10.


      Comment


      • #33
        Re: Every Tool Explained

        Originally posted by Gul View Post
        Buhat hee Omdha ....Buhat hee informative and really really ...VERY NICE ,..!
        pasand karnay ka shukriya


        Comment


        • #34
          Re: Every Tool Explained

          A/s Nice Sharing............
          Attached Files

          Comment


          • #35
            Every Tool Explained 2


            History Brush tool



            Iss ki madad say aap kisi bhi image mein khobsorti laa saktay hain, mein yeh image use kar raha hoon



            Sab say pehlay aap colours ko khatam karain, Image > Adjustments > desaturate par click karain, to image mein say colours ghayab ho jiangay, kuch iss tarah



            Ab aap History palette open karain Windows > History aur iss mein create new snapshot button ko click karain, aik layer add ho gie hogi



            Ab aap snapshot layer ko click karain



            Ab aap History bursh select karain aur brush karain, ab jab aap brush kareingay to woh area coloured ho jiangay aur aik khubsorat effect namodar hoga, kuch iss tarah ka



            Last edited by pakgates; 3 January 2009, 18:31.


            Comment


            • #36
              Every Tool Explained 2


              History brush ki aik aur kahas baat yeh hai keh agar aap kisi bhi image mein cloning ka koi aur effect kartay hain, aap ko kafi der mein jaa kar yaad aata hai keh aap ko aik makhoos hissa dobara say sahi karna hai, wesi hi jesa keh pehlay tha, to aap History brush tool ki madad say aesa kar saktay hain. Mein yehi image use kar raha hoon, iss mein mein nay cloning ki hai, aur ab mujhay issau remove karna hai aur wohi original image ko restore karna hai, pehlay iss image par ghor karain



              History palette dobara open karain aur phir snapshot layer banain aur uss par click karain



              History tool select karain aur jahan aap dobara original wala area banana chahtay hain, wahan paint karain



              Last edited by pakgates; 3 January 2009, 18:45.


              Comment


              • #37
                Re: Every Tool Explained

                good....i will try to use it ...

                wow!! that baby is soo shweet.. :p
                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                :pr:

                Comment


                • #38
                  Every Tool Explained 2


                  Eraser tool



                  Aam tor par yeh kisi background ko remove karnay kay liay ya brush strokes ko mutanay kay liay istimal hota hay



                  Jab aap image open karengay to yeh background layer par hoga aap Ctrl + J press karain to backgorund layer ka duplicate layer create ho giay gi, aap background layer ko hide kar dein aur layer 1 ko activate karain, jab aap layer 1 par click kareingay to woh activate ho gie ho gi



                  Ab agar aap easer tool ki madad say background ko erase karain to woh erase hona start ho giay ga, iss tarah





                  Comment


                  • #39
                    Every Tool Explained 2


                    Iss tarah background ko remove ho giay ga lekin iss mein time kafi lagay ga, iss kay liay aap Bcckgorund Eraser tool istimaal karain



                    Iss tool ki madad say aap woh hissay remove karain jo background aur aap ki picture kay colors ko alag kar rahay hain



                    Image par right-click karain to option windows open ho gi iss tool ki iss say aap brush size ko adjust kar saktay hain



                    Yahan aap dekhain bachay kay backgorund ko edges say remove kar dia hai



                    Ab aap Magic eraser tool select karain iss mein yeh khobi hoti hai keh yeh aik hi colors ko aik sath remove kar deta hai



                    Yahan dehain saray colors remove ho giay lekin yeh nahi huay kyon keh inn kay colors different thay



                    Ab aap eraser tool ki madad say yeh bhi remove kar lein








                    Last edited by pakgates; 5 January 2009, 09:15.


                    Comment


                    • #40
                      Every Tool Explained 2


                      Ab aap new layer create karain, iss button par click kar keh



                      Ab uss layer par click karain aur issay drag karain nechay layer 1 say uss tarah keh yeh layer layer 1 kay nechay aa jiay



                      Ab aap koi bhi color select karain aur paint bucket select karain, phir ussay image par click karain to aap kay backgorund mein color aa jiay ga





                      Comment


                      • #41
                        Every Tool Explained 2


                        Gradient tool

                        Designing ka aik bohat hi eham tool jia say aap bohat khubsurat backgrounds bana saktay hain



                        Mein yeh imahe use kar raha hoon



                        Aap background remove karain aur new layer create karain, phir aap issay acticate karain, jab aap layer par click karain to woh activate ho gati hai



                        Ab aap gradient tool slect karain aur mouse ko image kay uper walay hissay par click kar key hold karain aur phit shift press karain(iss say aap ki line sedhi ho jati hai) ab aap nechay move karain aur phir mouse click ko chorain aap dekhaingay keh 2 colors background mein aa giay hoongay, yeh wohi colors hoongay jo aap kay Backgorun aur Foregorund mein selected hoongay





                        Comment


                        • #42
                          Every Tool Explained 2



                          Optionsbar par nazar dalein to iss mein kuch option hoongay inn ki malomat yeh hain



                          Inn options ko select kar keh aap bari bari gradient apply karain to yeh results aaiangay






                          Optionbar mein agar aap yahan click karain to Gradient Editor open ho jiayga



                          Iss say aap anay color combination kay gradients thakhleq kar saktay hain, sliders ko move karain to colors different honay lageingay



                          Yahan click karain jo pehlay arrow show kar raha hai to aap colors change kar saktay hain, aur jo dorsa arrorw hai wahan click kar keh aap points add kar saktay hain jis say aap aur colors bhi add kar saktay hain








                          Last edited by pakgates; 5 January 2009, 09:39.


                          Comment


                          • #43
                            Re: Every Tool Explained

                            buht zabardast thread hai jari rakhiye gaaa......ALLAH TALA aap ko istiqamat ata fermaaye....
                            For New Designers
                            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                            Comment


                            • #44
                              Every Tool Explained 2


                              Blur tool



                              Yeh tool kisi khaas area ko focus karnay mein kaam aata hai, jesay agar aap kisi aesi picture ko dekhain jis mein kuch log hain aur pechay background hai, ab aap chahtay hain keh logon par ziada focus ho aur backgorund ziada nazar aa aaiay. Mein yeh pic istimaal kar raha hoon



                              Iss mein jo bachi hai iss ko ziada focus karna hai, too aap Blur tool select karain, image par right-click karain, brush size select karain, radius select karai aur backgorund kar kuch hissay ko blur kar dein too aap ka image kuch iss tarah ho ga





                              Comment


                              • #45
                                Every Tool Explained 2

                                Sharpen tool

                                Issi set mein aik aur tool ho ga Sharpen tool kay naam say, iss tool say aap kisi khaas hissay ko jo blur ho ussay focus mein laa saktay hain, jesay yeh kuch area hain inn par mein yeh tool apply karonga to woh focus mein aa jiangay



                                Apply karnay kay baad aap ka image kuch iss tarah ka ho ga
















                                Comment

                                Working...
                                X