Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Every Tool Explained

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Every Tool Explained

    W.Salam
    superb!! itni achi tool explain karni ki lyee shukria
    realy mujhy khod ab tak itni zayada in toolz ki bari mein pata hai nahi tha..

    Healing brus .. ka kam :clap:
    chalo jaldi sy baqi toolz ki bari mein bataoo :p
    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

    :pr:

    Comment


    • #17
      Re: Every Tool Explained

      Originally posted by *Hala* View Post
      W.Salam
      superb!! itni achi tool explain karni ki lyee shukria
      realy mujhy khod ab tak itni zayada in toolz ki bari mein pata hai nahi tha..

      Healing brus .. ka kam :clap:
      chalo jaldi sy baqi toolz ki bari mein bataoo :p
      your welcome, jaldi kis baat ki hai, samjhata hoon zara haule haule :p


      Comment


      • #18
        Every Tool Explained 2


        Brush Tool



        Aik bohat hi eham tool jo aap ko desiging aur editing donon mein bohat madad de sakta hai. Aaein zara iss ki khososiyat par nazar sani ho giay.

        Sab say pehlay aap ko bhi image open karain brush tool select karain aur image par aa kar right click karain, yeh open ho gia brush resizing menu, iss say aap brush ka size aur uss ki stokes ko control kar saktay hain





        Comment


        • #19
          Re: Every Tool Explained


          Yahan par do chezain qabl-e-ghor hain, sab say pehli cheez aap Master Diameter ko kam ya ziada kar keh brush size ko bara ya chota kar saktay hain, aur aap Hardness ko kam ya ziada kar keh brush stokes control kar saktay hain, yeh dekhain meinnay kuch stokes lagain hain





          Comment


          • #20
            Re: Every Tool Explained


            Issi menu mein agar aap arrow par click karain to aap different brushes use kar saktay hain, iss mein default brushes aur aap nay jo add kiay hain donon aa rahay hoongay




            Comment


            • #21
              Re: Every Tool Explained


              Ab aatay hain zara brushes kay asal options ki tarah, jin ko change kar kay aap bohat umda designing kar saktay hain. Agar aap Photoshop mein top-right par dekhain to aap ko brushes ka option nazar aaiay ga ussay select karain to yeh menu open ho ga





              Comment


              • #22
                Re: Every Tool Explained


                Iss menu mein agar aap Shape Dynamics ki settings change karain different kar kar key try karain Size Jitter, Angle Jitter, Minimum Roundness sab ko change karain aur brush say strokes lagain, yeh meinnay different settings kay sath strokes lagiay hain, aap bhi try karain




                Last edited by pakgates; 2 January 2009, 17:38.


                Comment


                • #23
                  Every Tool Explained 2


                  Issi menu mein agar aap Scattering change kar dein, phir brush strikes lagain to different colours kat sath kuch iss tarah kay strokes lageingay






                  Last edited by pakgates; 2 January 2009, 17:43.


                  Comment


                  • #24


                    Top-right mein brush kay sath aik aur button hoga Tool presets ka susay click karain, iss mein aap AirBrush, PaintBrush aur Tranparent bari bari select karain aur strokes lagain, inn mein apni settings hain jin say aap achay effects create kar saktay hain



                    kuch strokes meinnay bhi lagiay hain






                    Iss effect ko aap khatam kar saktay hain upper option menu mein Flow ko 100% kar dein aur uss kay sath jo button hain iss par click karain




                    Iss kay baad document par jaa kar right-click karain aur Hardness ko full kar dein

                    Last edited by pakgates; 2 January 2009, 18:24.


                    Comment


                    • #25

                      Brush tool ki aik aur khusosiat yeh hai keh aap iss say selection bhi kar saktay hain, kisi bhi image mein koi khaas area ko yeh baray aaram say select kar sakta hai.

                      Pehlay aap koi image open karain

                      Ab aap brush tool select karain, phir Edit in quick mask mode slelect karain, yeh option aap ko toolbar mein nechay ki taraf nazar aaiay ga



                      Ab aap jis area ko select karna hai ussay paint karain, uss par strokes lagain to kuch iss tarah kay stokes lageingay, red colour mein paint ho ga








                      Ab aap Edit in standard mode select karain, yeh toolbox mein edit in quick mask mode button kay sath hoga, ussay click karain to aap kay selection hog gia ho ga, kuch iss tarah ka



                      Lekin yeh aap ka backgorund select hua hay, aap upper mein say Select > Inverse par click karain ya phir keyboard say Ctrl + Shift + I press karain, ab aap ka woh area select ho gia ho ga jis ki aap ko zarorat thi



                      Last edited by pakgates; 2 January 2009, 18:28.


                      Comment


                      • #26
                        Every Tool Explained 2


                        Color Replacement Tool



                        Brush tool mein aik aur tool hay, jo bohat kam ka tool hai. Aap aksar koi photo khenchtay hain to sunlight ki waja say image kuch iss tarah ki ho jati hai



                        Color Replacement Tool iss tarah kay images ko miniton mein theek kar sakta hay



                        Comment


                        • #27
                          Every Tool Explained 2


                          Aap Color replacement tool select karain, aur Alt ki key press karain, ab aap pani mein kahein bhi ja kar left click karain, yeh aap ka color pick ho gia



                          Ab aap brush say strokes lagain aur effected area par brush karain, iss tarah



                          Aur aap final image kuch iss tarah ka hoga



                          Wasay amomi tor par samandar ka color blue hi hota hai, to aap Atl ki key phir press karain asman mein ja kar left-click karain aur samandar par brush karain to aap ka image nikhar jiay ga, kuch iss tarah


                          Last edited by pakgates; 3 January 2009, 08:42.


                          Comment


                          • #28
                            Every Tool Explained 2


                            Clone Stamp Tool



                            Yeh aik bohat hi zarori tool hai image editing kay lihaz say agar aap ko kisi picture kay koi ghair zarori cheez remove karni hai to aap baasani iss tool ki madad say ussay remove kar saktay hain.

                            Mein yeh image use kar raha hoon



                            Aap jis cheez ko remove karna hai uss kay paas jian aur Alt ki key press karain, aap ka cursor uss tarah ka ho gia ho ga, ab left-click karain mouse say to aap ka area select ho gia



                            Ab aap jo cheez remove karna hai uss par ja kar strokes lagain, aap dekhaingay keh woh area remove ho raha hai aur uss ki jaga woh area aa raha hai jo aap nay abhi Atl key say sample kia tha



                            Aur kuch aur area sample karain, phir aap ka image kuch iss tarah ka ho ga



                            Last edited by pakgates; 3 January 2009, 08:53.


                            Comment


                            • #29
                              Re: Every Tool Explained

                              Walikumsalam

                              3xc3ll3nt sharing:thmbup:
                              3v3n i dun knw th3 function of all tools but u expalin3d it v3ry nic3ly...
                              Looking forward for mor3....

                              Comment


                              • #30
                                Re: Every Tool Explained

                                Originally posted by *khushi* View Post
                                Walikumsalam

                                3xc3ll3nt sharing:thmbup:
                                3v3n i dun knw th3 function of all tools but u expalin3d it v3ry nic3ly...
                                Looking forward for mor3....
                                your w3lcome :rose


                                Comment

                                Working...
                                X