Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Every Tool Explained

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Every Tool Explained

    Asalam-o-alikum doston,

    Aaj say mein yeh thread start kar raha hoon, iss mein mein aap ko Photoshop kay har aik tool kay baray mein jitna mein jaanta hoon aap sab ko mustafid karoonga. Iss ka koi waqt nahi, mujhay jab time milay ga tab mein bana kar aap sab ki khidmat mein pesh kar doonga. Aap sab apni aarah say mujhay aagah kartay rehyaya ga, aur tutorial mein kia hona chahiyay.

    Version used: Mein iss mein Photoshop ka version CS-2 istimaal kar raha hoon
    Last edited by pakgates; 30 December 2008, 17:35.



  • #2
    Re: Every Tool Explained

    Sab say pehlay Photoshop ka toolbox aur iss ki division mulahiza farmian



    Comment


    • #3
      Re: Every Tool Explained

      Acha jee sab say pehlay chaltay hain selection tools ki janib, yeh hain selection tools

      Selection tool

      Last edited by pakgates; 30 December 2008, 20:30.


      Comment


      • #4
        Re: Every Tool Explained

        Mein aap ko Rectaugular Marquee tool say kaam sikha deta hoon baqi saray tools Elliptical , Single Row aur Single Column issi bina par kaam kareingay

        Ab aap Photoshop mein aik nazar upper ki taraf dorain to aap ko Option bar nazar aaiay ga, agar yeh show nahi ho raha hai to Window>Option mein jaa kar issay show kar lein, iss ki malomat kuch iss tarah hai



        Comment


        • #5
          Iss waqt agar aap iss mein dekhain to single selection active ho gi, agar aap koi image open karein aur selection karain too image ka koi bhi aik hissa select ho jiay ga. Tip: Jab aap image mein selection kar rahay ho to select kartay hiay aap mouse click ko chornay say pehlay spacebar press karain to aap selected area ko move kar saktay hain



          Ab aap V press karain aap ka move tool select ho giay ga aur phir selected area ko move kar lein



          Option bar say agar aap feather ki value set kar dein jesay agar aap value 10 kar dein to aap square kay edges ko round kar saktay hain, phir aap ki selection kuch iss tarah ki hogi





          Last edited by pakgates; 30 December 2008, 18:23.


          Comment


          • #6
            Re: Every Tool Explained

            Ab zara nazar daltay hain Option bar kay dorsay option multiple selection or addition in selection, iss option ko select karain, iss say aap aik waqt mein 2 ya 2 say ziada area ko select kar saktay hain, jesa keh picture kay upper walay hissay mein dikhaya gia hai, aik aur kaam iss sa kia jaa sakta hai, addition in selection, yani aap aik area ko select karain, phir dosra area select karain, to dosnon area ko single selection bana de ga, jesa keh picture mein shoe kia gia hai

            Before selection


            After selection



            Last edited by pakgates; 30 December 2008, 18:10.


            Comment


            • #7
              Re: Every Tool Explained



              Ab agar zara nazar dorain Optionbar kay tesray option ki taraf, aur ussay select karain, subtraction from selection, aap aik area select karain, phir dosra area select karain, jo aera inn donon mein mistariq(same) ho ga woh area remove ho giay ga, jesa kay pictue mein show kia gia hai

              Before selection


              After selection




              Last edited by pakgates; 30 December 2008, 18:19.


              Comment


              • #8
                Re: Every Tool Explained

                Ab zara nazar-e-sani karain Optionbar kay last option ki, ussay select karain, intersect from selection, ab aap 2 area select karain, to jo area in donon mein same ho ga woh seelct ho giay ga, jesa keh pic mein show kia gia hai




                Comment


                • #9
                  Re: Every Tool Explained

                  Lasso Tool

                  Ab aik zarori tool ki taraf nazar daltay hain, lasso tool, kisi bhi kisam ki selection kay liay yeh tool istimaal hoti hay, iss tool ki 2 kisam hain, Lasso, Polynomial Lasso tool aur Magnatic lasso tool, sab say pehlay Lasso tool par zara baat ho giay, yeh tool free hand work karta hay, yani jesay aap hand move karay ga, yeh tool bhi ussi direction mein move karay gi, yeh kuch iss tarah ki hoti hai



                  Lasso tool say selection karain, to aap ki selection ho giay gi, aap aik jaga say start karain aur selection jab khatam karni ho to issi jaga wapas aaian jahan say start kia tha, aik chota sa circle aa jiay ga aap kay mouse par, iss ka matlab selection sahi ho gie, agar nahi aaya to cirlce aanay taq selection kartay rahein



                  Optionbar mein nazar dalein to aap ko iss mein Feather ka option phir nazar aaiay ga, agar aap iss ki value to barha dein to aap ki selection kafi had taq cirlce ho giay gi kuch iss tarah





                  Last edited by pakgates; 30 December 2008, 20:37.


                  Comment


                  • #10
                    Re: Every Tool Explained

                    Polynomial Lasso Tool

                    Iss tool ki madad say aap point-to-point/pixel-to-pixel selection kar saktay hain, yeh kaf accurate selection kar sakta hai, yeh sedhi selection karta hai, agar aap 2 points ko select karain to aik sedhi line draw ho gi, yeh freehand selection nahi karta balkay pixel-to-pixel karta hai, aur iss mein bhi selection khatam karnay kay liay circle par rukna parta hai, jesa keh pic mein show kia gia hai



                    Last edited by pakgates; 30 December 2008, 21:13.


                    Comment


                    • #11
                      Re: Every Tool Explained

                      Magnetic Lasso Tool



                      yeh tool aap ko sleection mein aur aasai de sakta hai, yeh pixel-to-pixel selection karta hai, yeh same colours kay pixels ko select kar keh point laga deta hai aur selection karta hai, iss ki selection kuch iss tarah ki hoti hai





                      Last edited by pakgates; 30 December 2008, 21:25.


                      Comment


                      • #12
                        Re: Every Tool Explained

                        Crop Tool



                        Yeh tool aap ko kisi bhi picture ka khaas hissa cut karnay mein istimaal hota hay, yani agar aap ko kisi pic mein koi khaas hissa darkar hay aap ussay iss tool ki madad say select karain to baqya hissa khud remove ho giay ga, iss ko select karain aur pic mein koi bhi hissa select karain, to iss tarah select ho giay ga



                        aur baqya hissa remove ho giay ga, iss tarah







                        Comment


                        • #13
                          Re: Every Tool Explained

                          Magic Wand Tool



                          Iss tool ki madad say aap aik hi colour kay pixels ko aik sath select kar saktay hain, buss kisi bhi area par click karain too woh pixels jo uss colour kay hoongay select ho jiaygay



                          koi bhi area seelct karain, too woh select hoo gia ga, phir ussay remove kar saktay hain



                          Tip: Optionbar mein dehain to aap ko Tolarence nazar aaiay gi agar iss ki value ko increase karain to aap selection area ko barha saktay hain, phir aap select karaingay to ziada area select ho ga


                          Yahan pehlay hissa khatam hota hay, mein slice tool nahi explain kar raha kyon keh yeh Adobe ImageReady mein istimaal hota hai, PS mein iss ka koi kaam nahi, agla tutorial aap ki aarah par pesh kia jiay ga, agar yeh silsila aap ko acha laga to mujhay zaror bata diay ga aur kuch acha nahi laga to woh to zaror point out kar dein, aap ki aarah ka muntazir aap ka apna deisgner
                          Last edited by pakgates; 31 December 2008, 06:36.


                          Comment


                          • #14
                            Re: Every Tool Explained

                            wow really great work

                            Comment


                            • #15
                              Healing Brush Tool



                              Image editing ka aik bohat hi eham tool jis mein madad say aap chehray say daagh wagaira hata saktay hain

                              Mein yeh image istimal kar raha hoon








                              Sab say pehlay aap skin ki kisi aesay hissay par mouse ko lay kar aaian, jahan skin kuch behtar ho, phir aap keyboard say Alt press karain too aap kay mouse ka symbol change ho giay ga kuch iss tarah









                              Ab aap left-click karain mouse say, issay sampling kehtay hain, aap nay aik area select kia jo bilkul sahi hain, ab aap kisi aesay area jar jian jahan ki skin kharab ho, meinnay nechay say start kia hai, jab aap click kareingay to brush strokes lagna start ho giangay, thora sa move karain aur phir mouse click ko chorain, kuch iss tarah ka ho ga aap ka image iss doran







                              Phir say yehi karain, skin ka koi aesa area jis mein skin sahi ho wahan jaa kar Alt press karain, to iss tarah ka symbol aa jiay ga



                              Ab aik dafa phir click karain kisi aesa jaga par jahan ki skin kharab ho, brush strokes lagna start ho jiangay, aur aap ka image kuch iss tarah ho ga iss doran



                              yeh chek karain meinnay aik side complete kar le hai, aap agar meray saath kaam kar rahay hain too aap ka image bhi kuch issi tarah ho ga, ya iss ka aas paas






                              Agar aap Helaing Brush tool mein dekhain to aik aur tool ho ga Spot Healing Brush tool, agar aap kisi chotay say spot ko remove karna chahtay hain jeas pic mein show kia hai, to yeh iss liay istimal hota hai





                              Iss mein aasani ki baat yeh hai keh aap ko bus click karna hai, jo area skin ka kharam ho wahan click karain woh area khud sahi ho giay ga, area par click karain to kuch iss tarah ka symbol ho giay ga aap kay mouse ka




                              Healing brush tool kar menu mein aik aur tool hota hai Patch tool kay naam say, kuch iss tarah ka, issay select karain







                              Skin mein jo area kharab ho ussay select karain iss tool ki madad say, phir aap mouse say left-click karain aur jo area skin mein sahi ho wahan lag ja kar drop kar dein (mouse click cohrain) kuch iss tarah ka image ho ga aap ka uss waqt







                              Aur jab aap image ko patch kar leinjay to iss tarah ka image banay ga



                              Aap koi bhi tool istimaal kar saktay hain, image say dhaag remove karnay kay liay, inn mein say yeh aap par depend karta hai keh aap ko kis mein aasani hai, aur final image kuch iss tarah ki hogi



                              Last edited by pakgates; 2 January 2009, 18:27.


                              Comment

                              Working...
                              X