Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shairiana Muqabla

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: Shairiana Muqabla

    ham bhool jaeiN zeest ke har ik malaal ko
    kuch aisee shaey pilao, tabii,at udaas hay
    najma ansar najma

    192 all out

    Comment


    • #62
      Re: Shairiana Muqabla

      pareshaan haal afsurdah dil tabiyat na'saaz si hai
      wadi-e-khiyaal mein goojney wali woh ik aawaz si hai
      masood
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #63
        Re: Shairiana Muqabla

        wo tasawwur, keh jise dil se bhulaa bhi na sakii
        ek eh,saas tha esa, keh bataa bhi na sakii
        najma ansar najma

        Comment


        • #64
          Re: Shairiana Muqabla

          reh-guzr intizaar ki aazmaish aik aur hai
          haalat terey beqrar ki khawahish aik aur hai
          masood
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #65
            Re: Shairiana Muqabla

            wo zamane khaab ho kar reh gaey
            thaa kabhi jab bhaaee chare ka rawaaj
            najma ansar najma

            Comment


            • #66
              Re: Shairiana Muqabla

              waqat kay sath sath halaat badal jatay hain
              insaan vohi rehtay hain khayalaat badal jatay hain





              hehehe main nay pher shair ki taang toor di :eye:
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #67
                Re: Shairiana Muqabla

                zulm sey woh baaz na aaein ge ahl-e-zoq peh
                shairon ko rakhein ge khoob teer ki nok peh
                masood

                aanchal ji ko tang kartey huwey :tang:
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #68
                  Re: Shairiana Muqabla

                  wo to unka zarf tha, aur ye hamara hausla
                  zulm wo karte rahay, ham marhaba kehte rahay
                  najma ansar najma

                  Comment


                  • #69
                    Re: Shairiana Muqabla

                    sar tasleem-e-kham hai is jaffa key aagey
                    yeh to kuchh bhi nahin hai us saza key aagey
                    sadiyon ka karab tha, sah chukey, uff tak na ki
                    mazeed kya karein ge dil-e-sabr'aazma key aagye
                    masood
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #70
                      Re: Shairiana Muqabla

                      Mein ne koi bayan e safai nahin diya
                      bas chup rha tu khud hi Wazahat si ho gai

                      Comment


                      • #71
                        Re: Shairiana Muqabla

                        her baat chup rehny sy wazay nahe hote
                        samajta nahe her kise ko khamooshi ki zaban

                        Comment


                        • #72
                          Re: Shairiana Muqabla

                          main tughy samnay pa kar bat karnay ka hoslah bhi karti hoon
                          tyri ankhoon ki sard jheelon main myri awaz doob jati hay..

                          Comment


                          • #73
                            Re: Shairiana Muqabla

                            Aaj Hal-e-Dil zuban per aa janey do
                            shayed yaha koi tera hum khayal ho

                            saima
                            sigpic

                            Comment


                            • #74
                              Re: Shairiana Muqabla

                              Sunaty nahe hal-e- dil zamany ky saamnay
                              Her koi to yaha per mukhlis nahe hotaa
                              aik lerki

                              Comment


                              • #75
                                Re: Shairiana Muqabla

                                Haal-e-Dil sunayein kis ko is zamaney mei
                                Zakhm hotey hain taza Hal-e-Dil sunaney mei

                                (ek shaks jo bicher gaya)
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X