salam. likhtay huwe go ziada arsa nahin huwa...isliye bas kuch arhay tirchay alfaz hi likh pati hoon :)... as i m new here..so goin 2 share my 1st poem here :)....bardasht kijiye ga
apki qeemti aara ka intazar rahay ga...:rose
khush rahiye
Mehroo
~* main hansna bhool gaii shayad *~
sab mujh say poocha kartay hain
kiyon chup chup si, kiyon gum sum si
kiyon khoi khoi rehti hoon?
ab kiya batlaoon unko main
ke sans bina jeena ho to
phir jeena kaisa lagta hai?
sab mujh say kehtay rehtay hain
udaas kiyon likha karti ho?
ab unko kiya samjhaoon main
jab aankh ke sapnay tootain to
jab apne piyaray roothain to
phir dil ki bat qalam par laa kar
likhna kaisa lagta hai?
sab mujh say poocha kartay hain
Mehroo kiyon hansa bhool gaii?
ab unko kiya keh paoon main?
jab aankh say darya behtay ho
to hansna kaisa lagta hai?
main kiss ki baat ghalat keh doon
sab theek hi kehtay rehtay hain
is waqt ki behti dhara main
sapnon ki dhool gaii shayad
main hans kar kaisay dikhla doon?
main hansna bhool gaii shayad.....
sab mujh say poocha kartay hain
kiyon chup chup si, kiyon gum sum si
kiyon khoi khoi rehti hoon?
ab kiya batlaoon unko main
ke sans bina jeena ho to
phir jeena kaisa lagta hai?
sab mujh say kehtay rehtay hain
udaas kiyon likha karti ho?
ab unko kiya samjhaoon main
jab aankh ke sapnay tootain to
jab apne piyaray roothain to
phir dil ki bat qalam par laa kar
likhna kaisa lagta hai?
sab mujh say poocha kartay hain
Mehroo kiyon hansa bhool gaii?
ab unko kiya keh paoon main?
jab aankh say darya behtay ho
to hansna kaisa lagta hai?
main kiss ki baat ghalat keh doon
sab theek hi kehtay rehtay hain
is waqt ki behti dhara main
sapnon ki dhool gaii shayad
main hans kar kaisay dikhla doon?
main hansna bhool gaii shayad.....
apki qeemti aara ka intazar rahay ga...:rose
khush rahiye
Mehroo
Comment