Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Allama IQbal Special .. Sara Butt

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

    *.Aey Tair-e-Lahooti, uss rizq say mout achi

    Jis rizq say aati ho, parwaz main kotahi
    Aain-e-jawanmardi, haq goi-o-bay baaqi
    Allah kay sheron ko, aati nahin rubaahi


    Comment


    • #17
      Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

      Hai Fikr mujhey misra-e-saani ki zyada
      Allah karey tujh ko ata Fuqr ki talwaar
      Jo haath main ye talwaar bhi aa jayey tou Momin
      Ya Khalid-e-Janbaaz hai, Ya Haider-e-Karrar


      Comment


      • #18
        Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

        Wo kal kay gham-o-aish per kuch Haq nahin rakhta
        Jo aaj khud afroz-o-jigar soz nahin hai
        Wo qaum nahin laiq-e-hangama-e-farda
        Jis qaum ki taqdeer main imroz nahin hai


        Comment


        • #19
          Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

          Paani paani ho gaya sun ker Qalander ki ye baat
          Tu jhuka jab ghair key aagey, na tann tera na mann
          Apney mann main dub kay pa ja suragh-e-zindagi
          Tu agar mera nahi banta, na ban, apna tou bann


          Comment


          • #20
            Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

            .Ho terey bayaban ki hawa tujh ko gawara
            Iss dasht say behter hai na Dilli na Bukhara
            Jis simt main chahey, sift-e-sal-e-rawan chal
            Wadi ye hamari hai, wo sehra bhi hamara
            Ghairat hai bari cheez jahan-e-tag-o-dou main
            Pehnati hai derwaish ko taj-e-sir-e-dara
            Afraad kay haathon main hai akwaam ki taqdeer
            Her fard hai millat kau muqaddar ka sitara
            Deen haath say dey ker agar azad ho millat
            Hai aisi tijarat main Musalaman ka khasara


            Comment


            • #21
              Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

              *. Kabhi aey, Naujawan Muslim! taddabur bhi kiya tu ney?
              Wo kya gardon tha tu jis ka hai ik toota hua tara
              Tujhey uss qaum nay pala hai aaghosh-e-mohabbat main
              Kuchal dala tha jis nay paon main taaj-e-sir-e-dara


              Comment


              • #22
                Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                Hawa-e-byaban say hoti hai kaari
                Jawanmard ki zarbat-e-ghaaziyanan
                Paltna, jhapatna, jhapat kay palatna
                Lahu garm rakhney ka hai ik bahana
                Parindon ki duniya ka derwesh hon main
                Kay shaheen banata nahin aashiyana


                Comment


                • #23
                  Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                  Utha mat khana-e-shesha-e-farang kay ihsaan
                  Sifaal-e-Hind say meena-o-jaam paida ker
                  Hazar chasshmey teri sang-e-rah say phootey
                  Khudi main doob kay zarb-e-kaleem paida ker


                  Comment


                  • #24
                    Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                    Nahin tera nash-e-mann kasr-e-sultani kay gumband per
                    Tu Shaheen hai basera ker paharon ki chatanon per


                    Comment


                    • #25
                      Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                      Aghyaar kay ufkaar-o-takhayyul ki gadai
                      Kya tujh ko nahin apni khudi tak bhi rasai?


                      Comment


                      • #26
                        Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                        Khudi ko ker buland itna kay her taqdeer say pehley
                        Khuda bandey say khud poochey bata teri raza kya hai


                        Comment


                        • #27
                          Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                          Ghulami main na kaam aati hain shamsheerain, na tadbeerain
                          Jo ho shok-e-yaqeen paida tou cut jaati hain zanjeerain
                          Koi andaza ker sakta hai iss kay zor-e-bazu ka?
                          Nigha-e-mard-e-momin say badal jati hain taqdeerain


                          Comment


                          • #28
                            Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                            Ghareeb-o-sada-o-rangeen hain daastan-e-Haram
                            Nihayat iss ki Hussain, Ibtada hai Ismail


                            Comment


                            • #29
                              Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                              Ye Ghazi ye Terey purisraar bandey
                              Jinhain Tu nay bakhsha hai zoq-e-Khudai
                              Dou neem inn ki thokar say sehra-o-darya
                              Simmat ker paharr inn ki haibat say rai
                              Dou alam say beygana kerti hai dil ko
                              Ajab cheez hai lazzat-e-aashnai
                              Shahadat hai matloob-o-maqsood-e-Momin
                              Na maal-e-ghaneemat, na kishwar kushai


                              Comment


                              • #30
                                Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                                a Rabb! dil-e-Muslim ko wo zinda tammana dey
                                Jo qalb ko germa dey, jo rooh ko tarpa dey
                                Phir wadi-e-faran kay her zarrey ko chamka dey
                                Phir shok-e-tamasha dey, phir zoq-e-taqaza dey
                                Mehroom-e-tamasha ko phir deeda-e-beena dey
                                Dekha hai jo kuch main nay, auron ko bhi dikhla dey
                                Bhatkey huey aahu ko phir su-e-Haram ley chal
                                Iss sheher kay khugar ko phir wus'at-e-sehra dey
                                Iss dour ki zulmat main her qalb-e-pareshan ko
                                Wo dagh-e-mohabbat dey, jo chand ko sherma dey
                                Ihsaas inayat ker aasar-e-museebat ka
                                Imroz ki shorish main andesha-e-farda dey
                                Main bulbul-e-nalan hun ik ujray gulistan ka
                                Taseer ka sa'il hun, mohtaaj ko Datta dey


                                Comment

                                Working...