Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Allama IQbal Special .. Sara Butt

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

    Gulzar-e-hast-o-bood na baigana waar dekh
    Hai dekhney ki cheez, issey bar bar dekh
    Aya hai tu jahan main misl-e-shola zaar dekh
    Dam dey na jayye hasti-e-napaydar dekh
    Mana kay teri deed kay qabil nahin hon main
    Tu mera shok dekh, mera intizaar dekh
    Kholi hain zoq-e-deed nay aankhain teri agar
    Her rehguzar main naqsh-e-kaf-e-paay-e-yaar dekh


    Comment


    • #47
      Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

      Iss chaman main murgh-e-dil gayey na azadi kay geet
      Aah! ye gulshan nahin aisey taraney kay liyey


      Comment


      • #48
        Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

        Terey ishq ki inteha chahta hon
        Meri saadgi dekh, kya chahta hon
        Bhari mehfil main raaz ki baat keh di
        Bara bayadab hon, saza chahta hon


        Comment


        • #49
          Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

          Ye Hind kay firqa saaz Iqbal aazri ker rahey hain goya
          Bacha kay daamin buton say apna ghubar-e-rah-e-Hijaz ho ja


          Comment


          • #50
            Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

            Parwaney ko chiragh hai, bulbul ko phool bas
            Siddique kay liyey hai Khuda ka Rasool (PBUH) bas


            Comment


            • #51
              Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

              Aag hai, aulad-e-Ibraheem (PBUH) hai, namrud hai
              Kya Kisi ko phir kisi ka imtihan maqsood hai?


              Comment


              • #52
                Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                Khatar pasand tabiat ko saazgaar nahin
                Wo gulistan kay jahan ghaat main na ho sayyad
                Muqam-e-shok terey qudsiyon kay bas ka nahin
                Unheen ka kaam hai ye jin kay hosley hain Zayyad


                Comment


                • #53
                  Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                  Issi Quran main hai ab tark-e-jahan ki taleem
                  Jis nay momin ko banaya may-o-perween ka amin
                  Tan ba taqdeer hai aaj un kay amal ka andaz
                  Thi nihan jin kay iradon main Khuda ki taqdeer


                  Comment


                  • #54
                    Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                    Wajud-e-zan say hai tasweer-e-kaynat main rang
                    Issi kay saaz say hai zindagi ka soz-e-darun
                    Sharf main berh kay surrayya say masht-e-khaak iss ki
                    Kay her sharf hai ussi darj ka dur-e-maknu


                    Comment


                    • #55
                      Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                      Mashriq say ho bayzaar, na maghrib say hazar ker
                      Fitrat ka ishara hai kay her shab ko seher ker


                      Comment


                      • #56
                        Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                        Na Asia main, na Europe main soz-o-saz-e-hayaat
                        Khudi ki mout hai ye, aur wo zameer ki mout
                        Dilon main walwala-e-inqilaab hai paida
                        Qareeb aa gayi shayad jahan-e-peer ki mout


                        Comment


                        • #57
                          Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                          Main kar-e-jahan say nahin aagah hon lekin
                          Arbab-e-nazar say nahin poshida koi raaz
                          Ker tu bhi hakoomat kay waziron ki khushamad
                          dastoor naya aur nayey dour ka aaghaz


                          Comment


                          • #58
                            Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                            Teri hareef hai ya Rabb! syasat-e-afrang
                            Magar hain iss kay pujari faqat ameer-o-raees
                            Banaya aik hi Iblees aag say TU nay
                            banayey khaak say iss nay dou sa'd hazar iblees


                            Comment


                            • #59
                              Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                              Tera pesha hai saffaki, mera pesha hai saffaki
                              Kay hum kazzak hain dono, tu maidani, main daryai


                              Comment


                              • #60
                                Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                                Teri dua say qaza tou badal nahin sakti
                                Magar hai iss say ye mumkin kay tu badal jayey
                                Teri dua hai kay ho teri aarzu poori
                                Meri dua hai teri aarzu badal jayye


                                Comment

                                Working...
                                X