Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Allama IQbal Special .. Sara Butt

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

    Ye faizan-e-nazar tha kay maktab ki karamat thi
    Sikhayey kis nay Ismail ko aadab-e-farzandi?
    Terey azad bandon ki na ye duniya na wo duniya
    Yahan merney ki pabandi, wahan jeeney ki pabandi


    Comment


    • #32
      Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

      Her lehza hai Momin ki nayi shaan, nayi aan
      Guftaar main, kirdaar main, Allah ki Burhaan
      Qahari-o-ghaffari-o-qadusi-o-jabroot
      Ye chaar anaasir hon tou banta hai Musalman
      Hamsaya-e-Jibreel-e-Ameen, Banda-e-Khaaki
      Hai iss ka nash-e-mann na Bukhara na Badakhshaan
      Jis say jigr-e-lala main thandak ho wo shabnam
      Daryaon kay dil jis say dehel jayen wo toofan
      Ye raaz kisi ko nahin maloom kay Momin
      Qari nazar aata hai, haqeeqat main hai Quran


      Comment


      • #33
        Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

        Nikal kay sehra say jis nay Roma ki saltanat ko ulat diya tha
        Suna hai qudsiyon say main nay, wo sher phir hoshyar ho ga
        Khuda kay bandey tou hain hazaron, banon main phirtey hain marey marey
        Main uss ka banda banon ga jis ko Khuda kay bandon say pyar ho ga


        Comment


        • #34
          Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

          Guftaar-e-syasat main watan aur hi kuch hai
          Irshaad-e-Naboo'at (PBUH) main watan aur hi kuch hai


          Comment


          • #35
            Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

            Apney parwanon ko phir zoq-e-khud afrozi dey
            Barq-e-daireena ko farman-e-jigar sozi dey


            Comment


            • #36
              Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

              Aankh ko baydaar ker dey wada-e-deedar say
              Zinda ker dey dil ko soz-e-johar-e-guftaar say


              Comment


              • #37
                Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                Shab guraizan ho gi aakhir jalwa-e-khursheed say
                Ye chaman mamoor ho ga naghma-e-Tauheed say


                Comment


                • #38
                  Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                  Dilon ko markez-e-mehr-o-wafa ker
                  Hareem-e-Kibriya say aashna ker
                  Jissey nan-e-jaween bakhshi hai Tu nay
                  Ussey bazo-e-Haider bhi ata ker


                  Comment


                  • #39
                    Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                    Azaim ko senon main baydaar ker dey
                    Nigah-e-Musalman ko talwaar ker dey


                    Comment


                    • #40
                      Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                      Taqdeer kay paband nabatat-o-jamadat
                      Momin faqat ehkaam-e-ILahi ka hai paband


                      Comment


                      • #41
                        Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                        Zameer-e-lala main roshan chiragh-e-aarzu ker dey
                        Chamman kay zarrey zarrey ko shaheed-e-justaju ker dey


                        Comment


                        • #42
                          Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                          Bazu tera Tauheed ki quat say qawi hai
                          Islam tera des hai, tu Mustafawi hai
                          Nizara-e-daireena zamaney ko dikha dey
                          Aey Mustafawi! khaak main iss bu't ko mila dey


                          Comment


                          • #43
                            Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                            Phir dilon ko yaad aa jayey ga paigham-e-sajood
                            Phir jabeen khaak-e-Haram say aashna ho jayey gi
                            Aankh jo kuch dekhti hai, lab pay aa sakta nahin
                            Mehw-e-hairat hon kay duniya kya say kya ho jayey gi


                            Comment


                            • #44
                              Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                              Wo dana-e-subul, khatam-ur-rasul, maula-e-kul jis ney
                              Ghubar-e-rah ko bakhsha farogh-e-wadi-e-seena
                              Nigah-e-ishq-o-masti main wohi awwal wohi aakhir
                              Wohi Quran, wohi Furqan, wohi Yasin, wohi Taha


                              Comment


                              • #45
                                Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                                eri nigah main sabit nahin Khuda ka wajood?

                                Meri nigah main sabit nahin wajood tera
                                Wajood kya hai? faqat johar-e-khudi ki namu
                                Kay apni fiker ker, johar hai baynamud tera


                                Comment

                                Working...
                                X