Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Allama IQbal Special .. Sara Butt

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

    Zameer JaaG To Jaata Hai' Agar Zinda Ho...Iqbal,,

    Kabhi Gunah Se Pahle' To kabhi Gunah k Baad....!!!!!


    Comment


    • Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

      Dyar E Ishq Mein Apna Maqaam Paida Ker

      Naya Zamana Naye Subh O Shaam Paida Ker

      Khuda Agar Dil-E-Fitrat Shinaas De Tujhko

      Sukoot-E-Laalaa-O-Gul Se Kalaam Paida Kar


      Comment


      • Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

        Aik hon Muslim Haram ki Pasbani kay liyae
        Neel kay sahil sae lay kar ta bakhak-e-Kashghar


        Comment


        • Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

          Allama Iqbal

          Ki Muhammed (S.A.W.) Se Wafa Tu Ne Tau Hum Tere Hain
          Yeh Jahan Cheez Hai Kya, Loh-o-Qalam Tere Hain


          Comment


          • Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

            Meri Mushkil Ko Na Aasan Kar Saka Koi IQBAL,

            Jab bhi kaam Aaya Mera “Parvardigar” Kaam Aaya......


            Comment


            • Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

              Tujhey Ilm se mumkin nahee firagh k tu

              Kitab khuwan hai magar sahib-e-Kitab nahee...!
              (Iqbal)


              Comment


              • Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                sitaron se age jahan aur bhi hain
                abhi ishq k imtihan aur bhi hain

                tahi zindagi se nahin ye fazayen
                yahan saikaron karawan aur bhi hain

                kanat na kar alam-e-rang-o-bu par
                chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain

                agar kho gaya ek nasheman to kya gam
                maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain

                tu shahin hai parwaz hai kam tera
                tere samne asman aur bhi hain

                isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
                k tere zamin-o-makan aur bhi hain

                gae din k tanha tha main anjuman mein
                yahan ab mere razadan aur bhi hain


                Comment


                • Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                  Khabar Iqbal Ki Layi Hai Gulistan Se Naseem
                  Nau Griftar Pharakta Hai Teh-e-Daam Abhi


                  Comment


                  • Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt



                    Comment


                    • Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                      utho meri dunya k garibon ko jaga do
                      khak-e-umra k dar-o-diwar hila do

                      garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
                      kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do

                      sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
                      jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do

                      jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
                      us khet k har khosha-e-gandum ko jala do

                      kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
                      piran-e-kalisa ko kalisa se hata do

                      main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
                      mere liye mitti ka haram aur bana do

                      tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
                      adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do


                      Comment


                      • Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                        Meree zindagi ka maqsad teree deen ki sarfrazi
                        Meh isiliye mujahid meh isiliye namazi.

                        [O'Allah The Objective of my life is to work for the Glory of Islam and therefore,
                        I serve as a Soldier of Islam and offer Prayers.]

                        Parwaaz hai dono ki isi ek fizaan mein
                        Karghaz(vulture) ka jahan aur hai, Shaheen(falcon) ka jahaan aur

                        [The vulture and the falcon fly in the same sky, but both have different
                        ways of living. A vulture eats carrion while a falcon preys. So which is
                        more majestic and awesome]

                        Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
                        Khuda bande se khud pooche, batta teri razaa kya hai

                        Mitta de apni hasti ko agar kuch martaba chaahata hai
                        Ke daana khaak mein mil kar gul-e-gulzaar hota hai

                        Tere azzaad bandon ki na yeh duniya na woh duniya
                        yaha marne ki paabandi vahaan jeene ki paabandi

                        Na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye
                        Jahaan hai tere liye tu nahi jahaan ke liye

                        Ki Mohammed se vafa tune to hum tere hai
                        Yeh jahaan cheez hai kya loh-o-qalam tere hai

                        Yu Tho Syed bhi ho, Mirza bhi ho, Afghan bhi ho
                        Tum sabhi kuch ho, batao kya musalman bhi ho

                        Wo aik Sajda jisay tu giran samajhta hai
                        hazar sajdon say deta hai is admi ko nijjat

                        Alfaz-o-maani mein tafawat(difference) nahi lekin
                        Mullah(religious person) ki azaan aur, mujaajid(holy warrior) ki azaan aur

                        [The mullah and the mujaahid both utter the same words Allahu Akbar
                        but there is a difference in the forcefulness of each]

                        Namaaz-o-roza-o-qurbaani-o-haj
                        yeh sob bakhi hai tu bakhi nahi hai

                        Aaj bhi ho jo Ibrahim sa Imaan paida
                        Aag kar sakti hai andaaz-e-gulistaan paida

                        [Prophet Ibrahim(AS), as you may recall, was made to jump into a fire,
                        but he was saved by virtue of his faith, which transformed the fire into a bed of flowers]


                        Comment


                        • Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                          Daag-e-sajood

                          Agar teri peshani pey

                          Howa to kiya howa…

                          Koi aisa SAJDA

                          bhi tu kr k ZAMEEN pey

                          nishaan rahey..

                          *Allama Iqbal*


                          Comment


                          • Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt



                            Comment


                            • Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                              parindon ki dunya ka Darwaish hun mein
                              kay Shaheen banata nahi aashiyana


                              Comment


                              • Re: Allama IQbal Special .. Sara Butt

                                Diloon ki Emaaraton mein kahin Bandagi Nahi.....

                                Pathar ki Masjidon mein KHUDA Dhoondhtey hain Log.....!
                                Iqbal


                                R


                                Comment

                                Working...
                                X