Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Allama Iqbal special..life

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Allama Iqbal special..life

    Tha Jawab-e-Sahib-e-Seena Ke Muslim Hai Agar
    Chor Kar Ghaeeb Ko Tu Hazir Ka Shedai Na Ban

    Comment


    • Re: Allama Iqbal special..life

      Zauq-e-Hazir Hai Tou Phir Lazim Hai Iman-e-Khalil (A.S.)
      Warna Khakstar Hai Teri Zindagi Ka Pairhan

      Comment


      • Re: Allama Iqbal special..life

        Hai Agar Diwana-e-Ghaeeb To Kuch Parwa Na Kar
        Muntazir Reh Wadi-e-Faran Mein Ho Kar Khema Zan

        Comment


        • Re: Allama Iqbal special..life

          Aarzi Hai Shan-e-Hazir, Sitwat-e-Ghaeeb Madaam
          Iss Sadaqat Ko Mohabbat Se Hai Rabt-e-Jaan-o-Tan

          Comment


          • Re: Allama Iqbal special..life

            Shaola-E-Namrood Hai Roshan Zamane Mein To Kya
            “Shama Khud Ra Mee Gudazd Darmian-e-Anjuman

            Comment


            • Re: Allama Iqbal special..life

              Noor-e-Ma-Chon Atish-e-Sang Az Nazar Pinhan Khush Ast”

              My light like the stone’s spark is better if concealed’”

              Comment


              • Re: Allama Iqbal special..life

                (Bang-e-Dra-143) Nanak

                Nanak


                Qoum Ne Pegham-e-Gautam Ki Zara Parwa Na Ki
                Qadar Na Pehchani Na Apne Gohar-e-Yak Dana Ki

                The nation could not care less about Gautama’s message—
                It did not know the price of its unique pearl!

                Comment


                • Re: Allama Iqbal special..life

                  Ah! Bad-Qismat Rahe Azwaz-e-Haq Se Be Khabar
                  Ghafil Apne Phal Ki Sheerini Se Hota Hai Shajar

                  Comment


                  • Re: Allama Iqbal special..life

                    Ashakara Uss Ne Kiya Jo Zindagi Ka Raaz Tha
                    Hind Ko Lekin Khayali Falsafe Par Naaz Tha

                    Comment


                    • Re: Allama Iqbal special..life

                      Shama-e-Haq Se Jo Munawwar Ho Ye Woh Mehfil Na Thi
                      Barish-e-Rehmat Huwi Lekin Zameen Qabil Na Thi

                      Comment


                      • Re: Allama Iqbal special..life

                        Aah! Shudar Ke Liye Hindustan Ghum Khana Hai
                        Dard-e-Insani Se Iss Basti Dil Begana Gai

                        Comment


                        • Re: Allama Iqbal special..life

                          Barhman Sarshar Hai Ab Tak Mai-e-Pindar Mein
                          Shama-e-Gautam Jal Rahi Hai Mehfil-e-Aghyar Mein

                          Comment


                          • Re: Allama Iqbal special..life

                            Butkada Phir Baad Muddat Ke Magar Roshan Huwa
                            Noor-e-Ibraheem Se Azar Ka Ghar Roshan Huwa

                            Comment


                            • Re: Allama Iqbal special..life

                              Phir Uthi Akhir Sada Touheed Ki Punjab Se
                              Hind Ko Ek Mard-e-Kamil Ne Jagaya Khawab Se

                              Comment


                              • Re: Allama Iqbal special..life

                                (Bang-e-Dra-142) Aik Khat Ke Jawab Mein

                                Aik Khat Ke Jawan Mein
                                In Response To A Letter


                                Hawas Bhi Ho To Nahin Mujh Mein Himmat-e-Tag-o-Taaz
                                Husool-e-Jah Hai Wabasta-e-Mazaq-e-Talash

                                Even if I have greed I do not have the strength for exertion
                                Acquiring position is connected with the taste for search

                                Comment

                                Working...
                                X