Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

    Bhulanaa chahaa kabhi uss ko agar
    Aur bhii wo yaad aayaa der tak


    Comment


    • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

      Ek yaad ka jhoaNka tha, naawaqt chala aaya
      Phir dil na mera Thehra, phir neeNd nahiN aayee


      Comment


      • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

        sehra-e-gham may aik teri yaad ka sahara tha
        ghubar-e-karwaan ko ye reham kab gawara tha


        Comment


        • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

          har dard-e-muhabbat se ulajhaa hai ghum-e-hasti
          kya kya humein yaad aya jab yaad teri aayi


          Comment


          • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

            Kabhee kabhee yaad meiN ubhartay haiN naqsh maazee, miTay mitay sey
            Wo aazmaayish dil o nazar kee, wo qurbateiN see, wo faasley sey


            Comment


            • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

              abh usse roz na socho to badan toot'ta hai Faraz
              umer guzri hai uss ki yaad ka nasha kartay kartay


              Comment


              • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                Kabhee udaas kabhee dil figaar paa key mujhey
                Galey lagaatee rahee yaad-e-yaar ki Khushboo


                Comment


                • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                  Tairy yaad ka behta darya mairey liyey
                  Chaahat ka ye tanha jazeera tairey naam


                  Comment


                  • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                    phir yun hua ke ankhoon ne kayee rat jagay dekhay
                    palkoon pay teri yaad betha kar roye bohot hai hum


                    Comment


                    • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                      Yaad-e-mehboob faraamoash na howey, ai dil!
                      Husn-e-neeyat ney mujhey ishq see naimat dee hai


                      Comment


                      • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                        Woh dil ka bura na baywafa tha
                        bus, mujh say yonhi bichar gaya tha
                        hum dono ka dukh tha ek jasa
                        ashsas magar juda juda tha !


                        Comment


                        • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                          Yaad aayee jabb kabhi teray lehjay ki naGhmagee
                          Dheemey suroN meiN gooNjtee shehnaayiyaaN raheeN


                          Comment


                          • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                            yaadon ke naye mousam ne ye ehsan kiya hai
                            ab yaad mujhe dard puraanay nahi aatay


                            Comment


                            • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                              Kisee ki yaad ka ek lamha-e-faroazaaN tha
                              Ke aik Khwaab-e-sehar raat ki nigaahoN meiN


                              Comment


                              • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                                Iss tang dil mein kis kis ko jagha don YA RAB
                                ghum rehe, dam rehe, faryad rehe YAAD rehe


                                Comment

                                Working...
                                X