Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

    ai jaan tirii yaad ke be-naam parinde
    shaaKhoN pe mire dard kii utreN ge kisii din
    Amjad Islam Amjad


    Comment


    • #77
      Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

      Un sey shikaayet kis munh sey ho jin k hoN ehsaan bahut

      Jin ki komal yaad ney dukhta dil sahlaaya saari raat


      Comment


      • #78
        Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

        Baa hazaaraaN izteraab o sad hazaaraaN ishtiaaq
        Tujh se wo pahlay pahal dil ka lagaana yaad hai


        Comment


        • #79
          Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

          Phir kooNjaiN boleeN ghaas k harey samundar meiN
          Rut aayee peelay phooloN kee, tum yaad aayey


          Comment


          • #80
            Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

            Chhup chhup k ro rahey haiN meri yaad meiN huzoor

            Ban ban k kah rahey thay, mohabbat nahiN rahee


            Comment


            • #81
              Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

              Jee chhahta to hai k teray naaaz uTHaayeiN ham

              Par yaad-e-yaar ab hameiN fursat naheeN rahee


              Comment


              • #82
                Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                YaadoN kee pur paich galee meiN, aik chiraaGh faroazaaN hai

                NisyaaN ki, bay mehr hawa, gul us ko bhi kar jaayey to?


                Comment


                • #83
                  Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                  Yaad aayee teri aur phaila gayee, aik maGhmoom maGhmoom si raushnee

                  ChhaNTnee hai shab-e-hijr kee tairgee, aik ma'adoom ma'aadoom see raushnee


                  Comment


                  • #84
                    Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                    Aaj bhee dil ko yaad hai, pahlay pahal kee waardaat

                    Aik teray Kheyaal meiN, saarey jahaaN se ijtenaab


                    Comment


                    • #85
                      Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                      Tumhaaree yaad ke zaKhmoN pe jab bahaar aayee

                      To ban ke pahail gayee, laala zaar kee Khushboo


                      Comment


                      • #86
                        Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                        Phir kisi ki YAAD ko sine se lagaya hamne,
                        Ek bujhti hui SHAMA ko jalaya hamne


                        Comment


                        • #87
                          Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                          Aataa hai yaad mujh ko guzaraa huaa zamaanaa
                          Vo baaG kii bahaarein vo sab ka chah-chahaanaa


                          Comment


                          • #88
                            Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                            Kon rakh ta hai yaad naamo ko,
                            logh chaharo ko bhool jatey hai,
                            tum samander kee baat karti ho,
                            logh ankho mein doob jatey hai


                            Comment


                            • #89
                              Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                              Kabhee udaas kabhee dilfigaar pa k mujhay

                              Galey lagaati rahee yaad-e-yaar ki Khushbu


                              Comment


                              • #90
                                Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                                Tujh qaid se dil ho kar, azaad bahut roya

                                Lazzat ko aseeri ke, kar yaad bahut roya

                                Mirza Mohammad Rafi Sauda


                                Comment

                                Working...
                                X