Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

    Qaid-e-tanhaayi meiN bhi tanha nahiN ai yaad-e-yaar

    Aaj ye uqda khula ham par k haiN aazaad ham


    Comment


    • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

      Shaayed wo yaad kartay haiN ham ko k aaj bhee

      Takleef-e-izteraab kee shiddat hai aaj kal


      Comment


      • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

        Hijr meiN rahnay lageeN aur bhee kuchh yaad hameiN

        Wo mara'aat kee baataiN, wo murawwat kee nazar


        Comment


        • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

          Ishq kee rooh-e-paak ko, tohfa-e-Gham se shaad kar

          Apnee jafaa ko yaad kar, mairee wafaa ko yaad kar


          Comment


          • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

            Dil-e-pur shauq meiN aayee karam-e-yaar ki yaad

            Ke chaman meiN qadam-e-baad-e-bahaaaree aaya


            Comment


            • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

              dekhanaa mujhako jo bargashtaa to sau sau naaz se
              jab manaa lenaa to phir Khud ruuTh jaanaa yaad hai


              Comment


              • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                Tujh se kuchh miltay hi wo baybaak ho jaana mera
                Aur tera daaNtoN se wo uNglee dabaana yaad hai


                Comment


                • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                  Aa gaya kuchh yaad, dil bhar aaya, aaNsoo gir paRay

                  Ham na ro-ey thay tumhaarey muskuraanay ke kiyey


                  Comment


                  • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                    Har dil meiN nayey dard se hai yaad kisee ki

                    Miltee nahiN faryaad se faryaad kisee ki


                    Comment


                    • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                      BaaGh-e-firdaus meiN bhee boo-e-watan yaad rahey

                      Itr maTTi ka dam-e-marg suNghha de mujh ko


                      Comment


                      • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                        Daikh ai shaam-e-Ghareebi wo musaafir huN maiN

                        Jis ka ghar baar na ho, jis ko watan yaad na ho


                        Comment


                        • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                          Haryaalee ki khoaj meiN tanhaayee ke sehr basaayey
                          Tan par sabza chamkey, andar patjhaR baRhtee jaayey
                          Jab jab taira saja sajeela, hara bhara tan daikhooN
                          Maple! mujh ko apna zard sa neem bahut yaad aayey


                          Comment


                          • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                            Wo jo ham meiN tum meiN qaraar tha, tumheiN yaad ho k na yaad ho
                            Wahi yaani wa'ada nibaah ka, tumheiN yaad ho k na yaad ho


                            Comment


                            • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                              Haayey wo yaad k jis yaad ko ho kar majboor

                              Dil-e-maayoos ne muddat se bhula rakkha hai


                              Comment


                              • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                                Kya ThehraayeiN tarz-e-takallum, raNg-e-taGhazzul yaad nahiN

                                Sach poochho to hartf-e-tamanna aaj to bilkul yaad nahiN


                                Comment

                                Working...
                                X