Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

(pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

    yehi hai "zindagi" khuch khawab chund umeedein
    inhi khilono sey tum bhi behal sucko tu chalo





  • #2
    Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

    vahii hai ziNdagii lekin ''jigar'' ye haal hai apanaa
    ke jaise ziNdagii se ziNdagii kam hotii jaatii hai


    Comment


    • #3
      Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

      zindagi jabar-e-musalsal ki terhan kaati hai
      janye kis jurm ki saza paayi hai yaad nahi


      Comment


      • #4
        Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

        "zindagi" main bhi chaloun ga terey peechye peechye
        tu merey dost ak taqshye kaf-e-pa hojana


        Comment


        • #5
          Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

          Zindagi na tamaam hai shayad
          maut waqfe ka naamhai shayad


          Comment


          • #6
            Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

            wahi qaaflye wahi raastey, wahi "zindagi wahi merhalye
            mager apnye apnye muqam per khabhi tum nahin kabhi hum nahi


            Comment


            • #7
              Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

              khuaab ' khuaaish' wehem hai zindagi
              ek bhayanaq haadsa hai zindagi
              aaj tak ye masla suljha hi nahi
              k maiN khafa hooN k khafa hai zindagi


              Comment


              • #8
                Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                Aaj aye dil lab-o-rukhsaar kii baaten hii sahii
                Vaqt kat jaayegaa kuch pyaar kii baaten hii sahii
                Yun to katatii hii rahegii gam-e-dauraan men hayaat
                Aaj kii raat gham-e-yaar kii baaten hii sahii


                Comment


                • #9
                  Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                  "zindagi" ko terey der sey bhikaari ki terhan
                  aik pal ko rukna hai aur guzer jana hai


                  Comment


                  • #10
                    Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                    na bus meiN ziNdagii iske na qaboo maut par iskaa
                    magar insaan phir bhi kab Khuda hone se darta hai

                    ''Rajesh'' Reddy


                    Comment


                    • #11
                      Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                      zindagii ek kiraaye kaa ghar hai ek na ek din badalanaa pa.Degaa
                      maut jab ham ko aavaaz degii ghar se baahar nikalanaa pa.Degaa


                      Comment


                      • #12
                        Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                        zindagii jab bhii terii bazm me.n laatii hai hame.n
                        ye zamii.n chaa.Nd se behatar nazar aatii hai hame.n


                        Comment


                        • #13
                          Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                          zindagii jaisii tamannaa thii nahii.n kuchh kam hai
                          har gha.Dii hotaa hai ehasaas kahii.n kuchh kam hai


                          Comment


                          • #14
                            Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                            zindagii kii raunaq ko yuu.N sajaanaa pa.Dataa hai
                            dard sahanaa pa.Dataa hai Gam chhupaanaa pa.Dataa hai


                            Comment


                            • #15
                              Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                              zindagii Khvaab-e-pareshaa.N hai koii kyaa jaane
                              maut kii larazish-e-mizshagaa.N hai koii kyaa jaane

                              raamish-o-rang ke aivaan me.n lailaa-e-hayaat
                              sirf ek raat kii mehamaa.N hai koii kyaa jaane


                              Comment

                              Working...
                              X