Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

(pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

    bujh gayaa dil hayaat baaqii hai
    chhup gayaa chaand raat baaqii hai


    Comment


    • #47
      Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

      Ai aashiq na puuch zindagii kyaa hai
      Zindagii to takhallus hai muhabbat kaa


      Comment


      • #48
        Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

        Zindagii ek daur hai to saans phuule gii zaruur
        Yaa badal mafhuum us kaa yaa phir fariyaad na kar

        Sharif Kanjahi


        Comment


        • #49
          Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

          merii zindagii bhii merii nahiin ye hazaar Khaanon mein baT gaii
          mujhe ek muTThii zamiin de ye zamiin kitanii simaT gaii


          Comment


          • #50
            Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

            zindagi hum tere daghooN se rahe sharminda
            aur tu hai keh sada aina khaanay maaNge


            Comment


            • #51
              Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

              abhii na chheRh muhabbat ke giit ai mutarib
              abhi hayaat kaa maahaul Khushgavaar nahiiN

              ''Sahir'' ludhianvi


              Comment


              • #52
                Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                kyuun zindagii kii raah mein majabuur ho gae
                itane hue kariib ki ham duur ho gae


                Comment


                • #53
                  Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                  chaNd saaNse Khariidane ke liye
                  roz thoRhii sii zindagii bechii

                  ''Abu'' Talib


                  Comment


                  • #54
                    Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                    zindagii jab bhii terii bazm me.n laatii hai hame.n
                    ye zamii.n chaa.Nd se behatar nazar aatii hai hame.n

                    sharyar


                    Comment


                    • #55
                      Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                      Woh aaye hain pashemaan laash par ab
                      Tujhe aye zindagii laauun kahaan sey

                      M K Momin


                      Comment


                      • #56
                        Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                        dil ko Gam-e-hayaat gavaaraa hai in dino.n
                        pahale jo dard thaa vahii chaaraa hai in dino.n


                        Comment


                        • #57
                          Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                          zindagi mein zor-e-tufaaN ghaTte ghaTte ghaT gayaa
                          khair-maqdam keh raha hai pursukooN saahil mujhe


                          Comment


                          • #58
                            Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                            vaqt-e-safar qariib hai bistar sameT looN
                            bikharaa huaa hayaat kaa daftar sameT looN

                            Ajmal Ajmali


                            Comment


                            • #59
                              Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                              zindagi jabar-e-musalsal ki tara kati hai
                              janay kis jurm ki payee hai saza yaad nahi...


                              Comment


                              • #60
                                Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                                Zindagi tujh se har ik sans pe samjhota karoon
                                Shouq jeeney ka hai mujh ko magar itna tu nahi


                                Comment

                                Working...
                                X