Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

(pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

    zindagi jabr-e-musalsal ki tara kati hai
    janay kis jurm ki payee hai saza yaad nahi


    Comment


    • #77
      Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

      Haadason kii bhiir hai chaltaa huaa ye kaaravaan
      Zindagii kaa naam hai laachaariyaan majabuuriyaan

      Sardar Anjum


      Comment


      • #78
        Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

        ZINDAGI mein to apna saya bhi
        roshni ho toh sath chalta hai


        Comment


        • #79
          Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

          teri duniya mein ya rab zeest kay samaan jaltay hain
          faraib-e-zindagi ki aag mein insaan jaltay hain


          Comment


          • #80
            Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

            teraa hijr meraa nasiib hai teraa Gam hii merii hayaat hai
            mujhe terii duurii kaa Gam ho kyon tuu kahiin bhii ho mere saath hai


            Comment


            • #81
              Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

              zindagii Khvaab-e-pareshaa.N hai koii kyaa jaane
              maut kii larazish-e-mizshagaa.N hai koii kyaa jaane...


              Comment


              • #82
                Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                vahii hai zindagii lekin "Jigar" ye haal hai apanaa
                ke jaise zindagii se zindagii kam hotii jaatii hai


                Comment


                • #83
                  Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                  main to ab uktaa gayaa huun kyaa yahii hai qaayanaat
                  bas ye aa_iinaa haTaa de zindagii ai zindagii


                  Comment


                  • #84
                    Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                    zindagii kii raunaq ko yuun sajaanaa parataa hai
                    dard sahanaa parataa hai Gam chhupaanaa parataa hai


                    Comment


                    • #85
                      Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                      Zindagi jab bhi kisi sha ki talab kerti ha
                      Maira honton p taira nam machal jata ha


                      Comment


                      • #86
                        Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                        Ab to har saans kii aamad pe gumaan hota hai
                        Zindagii ek fasurdaa saa diyaa ho jaisey

                        Krishan Adeeb


                        Comment


                        • #87
                          Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                          zindagii yuun huii basar tanhaa
                          qaafilaa saath aur safar tanhaa


                          Comment


                          • #88
                            Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                            bartar andaisha,sod-o-zayan hai zindagi
                            hai kabi jaan aur kabi tasleem-e-jaan hai zindagi
                            Allama Iqbal


                            Comment


                            • #89
                              Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                              ha'ay wo log khoobsoorat log
                              jinki dhun main hayat guzri hai
                              Phir koii aas larkaraee hai
                              ke Naseem-e-Hayat guzri hai


                              Comment


                              • #90
                                Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                                Iss tarah zindagi ne diya hai hamara sath
                                Jaisey koii nibaah rahaa ho raqiib sey

                                Sahir Ludhianvi


                                Comment

                                Working...
                                X