Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

(pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

    Zindagi jab bhi kisi sha ki talab kerti ha
    maira hontoon p taira nam machal jata ha


    Comment


    • #32
      Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

      zindagii jiine ko dii, jii maiN ne
      qismat meN likhaa thaa piina to pii maiN ne
      maiN na piitaa to teraa likhaa ghalat ho jaataa
      tere likhe ko nibhaayaa kyaa Khataa kii maiN ne


      Comment


      • #33
        Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

        Dil ko Gham-e-hayaat gavaaraa hai in dinon
        Pahale jo dard thaa vahii chaaraa hai in dinon

        Qateel Shifa


        Comment


        • #34
          Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

          Wo ek baar marey jin ko tha hayaat se pyaar
          Jo zindagii se gurezaan thay roz marate thay


          Comment


          • #35
            Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

            Gham-e-hayaat kaa jagaraa mitaa rahaa hai koii
            Chale bhii aao ke duniyaa se jaa rahaa hai koii

            Sardar Anjum


            Comment


            • #36
              Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

              zindagii jab bhii terii bazm mein laatii hai hamen
              ye zamiin chaand se behatar nazar aatii hai hamen


              Comment


              • #37
                Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                maut jisko suljhaaye, ziNdagii fir uljhaa de
                janm-janm ka feraa mas'alaa hai KhwaaboN ka

                krishn bihari ''noor''


                Comment


                • #38
                  Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                  yahii hai zindagii kuchh Khvaab chand ummiiden
                  inhiin khilaunon se tum bhii bahal sako to chalo


                  Comment


                  • #39
                    Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                    bujh gayaa dil hayaat baaqii hai
                    chhup gayaa chaaNd raat baaqii hai

                    ishq meN ham nibhaa chuke sab se ai ''Khumar''
                    bas ek zaalim hayaat baaqii hai

                    ''Khumar'' barabankvi


                    Comment


                    • #40
                      Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                      Gam-e-hayaat se dil ko abhii nijaat nahiin
                      nigaah-e-naaz se kah do ki intazaar kare


                      Comment


                      • #41
                        Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                        zindagii phailii huii thii shaam-e-hijraaN kii tarah
                        kis ko itanaa hausalaa thaa kaun jii kar dekhataa

                        Ahmad ''Faraz''


                        Comment


                        • #42
                          Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                          zindagii yuun bhii guzar hii jaatii
                          kyon teraa raahaguzar yaad aayaa


                          Comment


                          • #43
                            Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                            gham-e-hayaat se beshaq hai Khud-kushii aasaaN
                            magar jo maut bhii sharmaa gaii to kyaa hogaa

                            ehsaan daanish


                            Comment


                            • #44
                              Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                              zi.ndagii ek safar hai suhaanaa
                              yahaa.N kal kyaa ho kisane jaanaa....
                              Shailendra..


                              Comment


                              • #45
                                Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                                kyuN zindagii kii raah meiN majboor ho gaye ?
                                itne hue qariib ke ham duoor ho gaye :?


                                Comment

                                Working...
                                X