Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf ashaar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: sirf ashaar

    hum abhi ibtada me hain sahib
    tum se sekheN ge intahaa karna


    Comment


    • Re: sirf ashaar

      main tujhe is liye aankhoo.n se ojhal kar nahi sakta
      keh kho jaye to binaaii bari mushkil se milti hai


      Comment


      • Re: sirf ashaar

        tum jo haNste ho tou phooloN ki adaa lagte ho
        aur chalte ho tou ik baad_e_sabaa lagte ho


        Comment


        • Re: sirf ashaar

          Tmhary Aaty hi is ngar sy,
          Hmen raqabt c ho gai hy,

          Mai ye sharakt b kesy seh lon,
          K chhoo rhi hain hawain tm ko,


          Comment


          • Re: sirf ashaar

            raseele hoNtt, masoomaana pishaani, haseeN aaNkheN
            k maiN ik baar phir rangeenioN meiN gharq ho jauN
            meri hasti ko teri ik nazar aagosh meiN le le
            humesha k liye is daam meiN mahfooz ho jauN


            Comment


            • Re: sirf ashaar

              Yaad teri, bass baat teri, fariyaad teri,
              Ya rab mujhe kaam koi to aur bhi ho..


              Comment


              • Re: sirf ashaar

                Naa Merii Duaaa Ne Kiyaa Asar..,Yoonhi Anso'on Ne Kiya Safar.,

                Usay Maang Maang K Thak Gaye,Meray HONT Bhi,Meray HAATH Bhi..


                Comment


                • Re: sirf ashaar

                  Uttar jatay hain kuch log dil main is kadar...

                  K un ko dil say nikalo tuo jan nikal jati hai.'


                  Comment


                  • Re: sirf ashaar

                    is iltefaat per hoN laakh iltefaat qurbaaN
                    mujh se kabhi na phaira rukh tu ne be-rukhi ka


                    Comment


                    • Re: sirf ashaar

                      Mujhe Ye Sach Pata Hai Ki Tu Mera Nahin Hai...!
                      Magar Ek Sach Ye Bhi Hai Ke Mujh Mein Sirf Tu Hai..


                      Comment


                      • Re: sirf ashaar

                        Aik Tum ko Agar Chura Loon
                        Tu Zamaana Ghareeb Ho Jaye


                        Comment


                        • Re: sirf ashaar

                          Sar e sehra musaafir ko sitaraa yaad rehta hai
                          Main chalta hun mujhe cheHra tumhara yaad rehta hai


                          Comment


                          • Re: sirf ashaar

                            mahboob nahi baagh_e_jahaaN meiN koi tujh sa
                            boo rakhta hai gul aesi na lazzat samar aesi


                            Comment


                            • Re: sirf ashaar

                              armaghan hyN teri chahat ky shagufta lamhey!
                              by-khudi apni, shab apni, mai-tabaN apna


                              Comment


                              • Re: sirf ashaar

                                rukke to chaand, chalay to hawaaooN jesaa hai
                                woh shakhs dhoop me dhekhoo to chaaooN jesa hai


                                Comment

                                Working...
                                X