Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

harf==alif== se ash,aar likhiye

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: harf==alif== se ash,aar likhiye

    Afsos mat karo
    Wo apnay ghar chala gya afsos mat karo
    itna hi us ka sath tha afsos mat karo
    insan apnay aap mein majboor hay bohat
    koi nahi hay bewafa afsos mat karo
    is baar tum ko aanay mein kuch dair ho gaee
    thak haar kay wo sogya afsos mat karo
    dunya mein aur chahnay walay bhi hein bohat
    jo hona tha so hogya afsos mat karo
    is zindagi kay mujh pay kaee qarz hein magar
    mein jald lot aoon ga afsos mat karo
    ye dekho phir se aagaein phoolon pay titliyan
    ik roz wo bhi aiga afsos mat karo
    wo tum se aaj door hay kal paas aiga
    phir se khuda milaiga afsos mat karo
    bekar Dil pay bojh liye phir rahay ho "nOmI"
    dil hay tumhara phool sa afsos mat karo

    Comment


    • Re: harf==alif== se ash,aar likhiye

      aaNdhii chalii to naqsh-e-kaf-e-paa nahin milaa
      dil jis se mil gayaa vo dobaraa nahin milaa

      Comment


      • Re: harf==alif== se ash,aar likhiye

        Aap k khayalon se fursat nahi milti
        Hamey aik pal ki rahat nahi milti
        Mil tho jata hai sab kuch bas
        Aik aap ki jhalak nahi milti

        Comment


        • Re: harf==alif== se ash,aar likhiye

          iss mein kuch un ki jafaa-eiN bhi tu shamil hain 'Shamim'
          bevafaaii kii jo tohamat mere sar aai hai

          Last edited by Gul; 30 September 2007, 08:49.

          Comment


          • Re: harf==alif== se ash,aar likhiye

            abhi woh dard baqi hai
            agarche waqt marham hai

            magar kuch waqt lagta hai
            kisi ko bhool janey mein

            dobara dil basaney mein
            abhi kuch waqt lagna hai

            abhi woh dard baqi hai
            mein kaise naii ulfat mein

            apni zaat ko gum kar doon
            ke mere jism-o-wajdaan mein

            abhi woh fard baqi hai
            abhi us shakhs ki mujh per

            nigah-e-sard baqi hai
            abhi to ishq ke raston ki

            mujh per gard baqi hai
            abhi woh dard baqi hai.....
            Sach

            Abhi Woh Dard Baqi Hay.....

            Comment


            • Re: harf==alif== se ash,aar likhiye

              Abhi keh do jo kehna hai
              abhi tu raat baaqi hai
              koi soghaat baqi ho
              Kisi jhilmil see ankhoun ki
              Koi jo dard mehka dey
              wo ek Gulaab baqi hai
              abhi se thak nahi jana ......
              abhi wo dard baqi hai.
              WO qisaa keh hee daalo
              K jiss ka dard baaqi hai
              ....abhi kia dard baqqi hai ...................
              Filbadeeh.

              Comment


              • Re: harf==alif== se ash,aar likhiye

                Uth,ti nahe nigaah kise aur ki taraf
                paband kar gae ha kise ki nazar mujhy

                Comment


                • Re: harf==alif== se ash,aar likhiye

                  us ki ankhon mein mohabbat ka sitara ho ga
                  ik din aye ga woh shaks hamara ho ga

                  Comment


                  • Re: harf==alif== se ash,aar likhiye

                    abhi se meray rafoo gar k hath thaknay lagay..
                    abhi tu chaak gareeban ka mera ziala b nahi ...

                    Comment


                    • Re: harf==alif== se ash,aar likhiye

                      ab koi hont nahin in ko churany atay
                      mere ankhon mein agar ashk howa karty thy

                      Comment


                      • Re: harf==alif== se ash,aar likhiye

                        AAya hee tha abhi meray lab per wafa ka nam
                        Kuch dostoun nay haathoun mein pathar otha liyay

                        Comment


                        • Re: harf==alif== se ash,aar likhiye

                          apni zulfon mein uterti hove chandani ko chupa
                          meray bikhray howay balon se pareshan na ho

                          Comment


                          • Re: harf==alif== se ash,aar likhiye

                            Aaaj phir pehli mulaaqaat say aaghaaz keron
                            aaj phir dour say he dekh ker aao os ko

                            Comment


                            • Re: harf==alif== se ash,aar likhiye

                              Aa ja ka abhi zabat ka mosam nahin guzra
                              aa ja ka paharon pa abhi baraf jami ha
                              khushboo k jazeeron se sitaron ki hadon tak
                              is sher mein sab kuch ha bas ik tere kami ha

                              Comment


                              • Re: harf==alif== se ash,aar likhiye

                                Ab yahi aakhri sahara hai
                                Mai tera, tu mera kinara hai
                                Loutna ab nahi raha mumkin
                                Tu ne jis mour pe chhora hai
                                Hum ko jeene ki chah nahi hai ab
                                Zindagi kya hai bus ek guzara hai

                                Comment

                                Working...
                                X