Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    Naya mosam mere beenae ko tasleem nahe kerta
    mere aankhon ko wohi khawab puraanay la doo

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      wo k Khushbuki trha phaila tha mery chaar-su
      maiN usay mehsoos kr sakta tha chhu sakta na tha...

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        Aik tere tamanna nay kuch aisa nawaza hai
        Mangi he nahe jate ab koe dua hum say

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          yaaro kisii qaatil se kabhii pyaar na maa.Ngo
          apane hii gale ke liye talavaar na maa.Ngo

          gir jaaoge tum apane masiihaa kii nazar se
          mar kar bhii ilaaj-e-dil-e-biimaar na maa.Ngo

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            Wo aaty hain to dil ma ek khalish se hote hai
            Mai darti hon kahe isko Mohabbat to nahe kehty

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              ye shab-e-firaq ye bebasii hai.n qadam qadam pe udaasiyaa.N
              meraa saath ko_ii na de sakaa merii hasarate.n hai.n dhuaa.N dhuaa.N

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                Na jaanay kion dil laga lety hain loog
                Khud ko yonhi saza dety hain loog
                Jab koe pas ho to qadar nahe kerty
                Dour chala ja'ay to sada dety hain loog

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  gaye dinon kaa suraaGh lekar kidhar se aayaa kidhar gayaa vo
                  ajiib maaoos ajanabii thaa mujhe to hairaan kar gayaa vo

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    hoo aish main bhi yaad us ki tu maza hai
                    ata hia zamaney ko museebat main khuda yaad

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      dil-e-muztarib se guzar gaii shab-e-wasl apnii hi fikr mein
                      na dimaaGh thaa na faraaGh thaa na shakeb thaa na qaraar thaa
                      Last edited by Gul; 24 September 2007, 10:25.

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        Aik mohabbat ko paany ki koshih ma mai nay
                        zakhmi ker de hain wafa'ain kitne
                        kitna masoom sa lagta hai aik lafz mohabbat
                        aur is lafz say munsalik hain saza'ain kitne

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          Originally posted by aik_lerki View Post
                          Aik mohabbat ko paany ki koshih ma mai nay
                          zakhmi ker de hain wafa'ain kitne
                          kitna masoom sa lagta hai aik lafz mohabbat
                          aur is lafz say munsalik hain saza'ain kitne
                          Yeh jab say khwab daikha hai mujhe tum chor jaow gee
                          Main ab darta hoon khwabon say main ab sonay say darta hoon
                          sigpic

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            Na mere koe manzil hai na koe kinara
                            tanhae mere mehfil yadain mera sahara
                            On say bichar kay kuch yon waqt guzra
                            kabhe zindagi ko tarsy kabhe mout ko pukara

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              anna k bhes mein thee zid kabhi na dharkay ga
                              yeh dil magar teri aahat se heee tu machla hai

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                aap ka shair bait bazi key asoolon key mutabiq nahin, jis harf per shair khatam ho wahin sey neya shair shuru kiya jata hai :) - maslan:

                                yeh dard ki tanhaiyaan, yeh dasht ka weeran safar
                                ham log to uktaa gaey, apni suna - aawargi
                                Last edited by Masood; 25 September 2007, 12:46.

                                Comment

                                Working...
                                X