Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    Alif..

    "Is teera raat ka naseeb-e-saihar koi nahi..
    jo mere dukh ko baant le, bashar koi nahi...
    abhi nahi aaya hai mere yaar ka shaihr...
    pohancha abhi meri taraf pather koi nahi..."

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      Nahi wo rang thai us k , juda ab us ka chehra tha

      Bohat hee bad muddat kai jo main nai us ko daikha tha
      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        Urran jiski hamesha sey jarhana rahi
        woh aaj meri tarha be'paron mein rehta hai
        meri kitab-e-muhabbat mein uska ziker nahin
        woh khush'khiyaal ghalt fehmiyon mein rehta hai

        naushi gilani
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          yeh..


          yeh tujhe jaagte rehne ka shoq kub se howa???
          hume tu khair tera intezaar karna tha......:(

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            Umeed waham key mehwar sey hat key dekhtey hain
            zara si der ko duniya sey kat key dekhtey hain
            bikhar chukey hain bohat baagh-o-dasth-o-darya mein
            ab apney hujrah-e-jaan mein simat key dekhtey hain

            iftikhar aarif
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              ye....

              "Yun tu ghalat nahi hai chehro ke taasor mager..
              Log waise bhi nahi jaise nazar aate hain...."

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                Na laina naam ae qasid faqat itna hi kah dena
                Jinhein tum bhool baithey ho wo aksar yaad karte hein
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  Nahe bhool pa'ay hum jin k sath beeta ek bhe pal
                  Aaj vohi samajhty hain humain apna guzara hoa kal

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    Laakh Mojoon Mein Gira Hon,
                    Lekin Dhooba to nahin mein,
                    Mujhay Sahil say pukaaro,
                    Kay Zinda Hon Abhi Mein

                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      Na jaany kon sa aansoo kise sy kia keh day
                      hum is khayal say nazrain jhuka'ay bethy hain

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        Na jaaney kaun du'aoN mey yaad rakhta hai
                        Mey doobta huN, Samandar uchaal deyta hai
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          yeh intaqam hai dashtay bala say badil ka
                          samandaron say barastay howay guzar jana
                          sigpicعشق لاحاصل میرا

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            ehl-e-qafas ko muxda-e-tazah hawaa hi de
                            or kuch naheeN to zindagii kaa hauslah hi de

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              Ye kia keh bayan sab say dil ki halaten karni
                              Fraaz tujh ko na aain muhabbaten karni
                              Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                Yeh kis ki aankhon ney baadlon ko sikha diya hai
                                keh seenah-e-sang sey rawaan aabshar karna
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X