Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    Originally posted by aik_lerki View Post
    Na mere koe manzil hai na koe kinara
    tanhae mere mehfil yadain mera sahara
    On say bichar kay kuch yon waqt guzra
    kabhe zindagi ko tarsy kabhe mout ko pukara
    Originally posted by Gul View Post
    anna k bhes mein thee zid kabhi na dharkay ga
    yeh dil magar teri aahat se heee tu machla hai
    Originally posted by Aatish View Post
    aap ka shair bait bazi key asoolon key mutabiq nahin, jis harf per shair khatam ho wahin sey neya shair shuru kiya jata hai :) - maslan:

    yeh dard ki tanhaiyaan, yeh dasht ka weeran safar
    ham log to uktaa gaey, apni suna - aawargi
    Kiya yeh aap nay Mujh se kaha .........

    kia aap deykh saktay hein pukaraa alif per bhi khatm hota hai ....


    :comfort:
    Last edited by Gul; 26 September 2007, 02:04.

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      Originally posted by zapk7 View Post
      Yaran-e-tez gaam ne mahmil ko ja liya
      Ham mahw-e-nala-e-jaras-e-karwan rahay

      ye haqeeqat hai k hotaa hai asar baatoun mein
      tum bhi khul jaao gay do-chaar mulaqatoun mein

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        na janay saath choor de ye zindagi kahan
        hanaste huwe zamane main sub se ila kur
        Zindgi iss baar mera naam na shamil krna
        Agur ye tae hai ke yahi khail rahe ga

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          Originally posted by Daood View Post
          na janay saath choor de ye zindagi kahan
          hanaste huwe zamane main sub se ila kur
          ronay hee kahan deytay hein roothay howay moasam
          han abr kabhi dard k chaah jaein, phir baat alag hai
          Last edited by Gul; 26 September 2007, 09:52.

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            Originally posted by Gul View Post
            Kiya yeh aap nay Mujh se kaha .........

            kia aap deykh saktay hein pukaraa alif per bhi khatm hota hai ....

            :comfort:
            :tauba Nahin Gul yeh main ney Aatish ki post ko edit kar key likha hai, apna naam us mein likhna bhool geya tha... unka shair bait bazi key asoolon key khilaf tha... Itney badey alfaaz sey likha hai keh merey deedey phat gaey :kr:
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              Originally posted by Gul View Post
              ronay hee kahan deytay hein roothay howay moasam
              han abr kabhi dard k chaah jaein, phir baat alag hai
              Yehi mizaaj hai apna kisi ka dil na dukhey
              judaiyon ko bhi chaha hai qurbaton ki tarha
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                Originally posted by Masood View Post
                Yehi mizaaj hai apna kisi ka dil na dukhey
                judaiyon ko bhi chaha hai qurbaton ki tarha
                ussey kaho bauhty na'murad shey hai junoon
                usey kaho mujhey hai bauht junoon us kaa

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  Originally posted by Masood View Post
                  Yehi mizaaj hai apna kisi ka dil na dukhey
                  judaiyon ko bhi chaha hai qurbaton ki tarha

                  hairatoun ke sil_sile soz-e-nihaaN tak aa gaye
                  ham nazar tak chaahate the tum to jaaN tak aa gaye

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    Originally posted by Masood View Post
                    :tauba Nahin Gul yeh main ney Aatish ki post ko edit kar key likha hai, apna naam us mein likhna bhool geya tha... unka shair bait bazi key asoolon key khilaf tha... Itney badey alfaaz sey likha hai keh merey deedey phat gaey :kr:

                    likha issi liyay tha baraaa baraaa k ye parh kar meray deedat v pthan walay ho gay thay naaaa:pagal: ...

                    ziada nuqsan tu nahi howa deedoun ka aap k ...........:comfort:

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      Originally posted by Gul View Post
                      hairatoun ke sil_sile soz-e-nihaaN tak aa gaye
                      ham nazar tak chaahate the tum to jaaN tak aa gaye
                      Nahin deedey deedah'war hain bach gaey hain :p

                      Yun phir raha hai kaanch ka pekar liyey huwey
                      ghafil ko yeh guman hai keh pathar na aaey ga!
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          ye aarzoo hii rahii ko_ii aarzoo karte
                          Khud apanii aag mein jalate jigar lahuu karte

                          tere jamaal ka par-tau nigaah mein hotaa
                          kabhii sabaa se kabhii gul se guftagoo karte

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            Yeh tabiyat hai to khud aazar ban jaein gey ham
                            chara'gar roein gey aur gham'khawar ban jaein gey ham
                            kya khabar thi aey nigar shair, terey ishq mein
                            dilbaran-e-shehar key dildaar ban jaein gey ham
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              muhabbat k safar main koi bhee rusta nahin detaa
                              Zameen waqif nahin banti , falak saya nahin detaa

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                Itni shiddat say chaha mager wo kise aur ka ho giya
                                shayad is jahan ma wafa ka koe sila bhe nahe

                                Comment

                                Working...
                                X