Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    Ye or baat k meri ana jata na saki
    mujhe junon tera her junon say barh k raha !

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      Originally posted by *Moon*Corona* View Post
      Ye or baat k meri ana jata na saki
      mujhe junon tera her junon say barh k raha !
      zabrdast..:salam:

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        Originally posted by *Moon*Corona* View Post
        Ye or baat k meri ana jata na saki
        mujhe junon tera her junon say barh k raha !
        good...:rose

        Apne dil ka dard dil main hi daba kar rakha hai
        Agar karte bayan to mehfil ko rulaa dete

        sigpic


        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          bahut nice gul

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            yeh baat zarf ki hai magar phir bhi kya karein
            qatra bhi aaj kal hai samundar bana huwa

            [hamayat ali shaair]
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              یہ پیار دِل کا آئینہ ہے
              چاہت روح کا آئینہ ہے
              ہمارا تُم پر یوں اعتبار
              اِک احساس کا آئینہ ہے
              ہما

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                Yun be'sbab to koi inhein poojta nahin
                kuchh to hai pathron mein khad-o-khal ki tarha

                [shakeeb jalali]
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  Hadisa Olfat mein hudd say guzarnay ka
                  EHd-e-wafa Khoob nibhya Oss nay
                  Huma

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    yeh dastoor-e-zuban bandi hai kaisa teri mehfil mein
                    yahan to baat karney ko tarasti hai zubaan meri

                    [iqbal]
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      Yehi behtar tha keh Hum Zuban Ko band hee rakhtay
                      Bataa Kay apni kahani Jo Tujh Ko Kho diya hay DOst!!
                      Huma

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        Tay!!
                        To jo kehta hai tery jaisay kai aur bhi haiN,,,
                        tujh ko dawa hai to phir khud sa dikha aik he shaks...
                        That's Enough...!!

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          :embarasse
                          Attached Files

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            ab hai Khushii Khushii men na Gam hai malaal me
                            duniyaa se kho gayaa hon tumhaare Khayaal me

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              Yeh jo deewaney sey do char nazar aatey hain
                              in mein kuchh sahib-e-israr nazar aatey hain
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai
                                Khushii kaa rang liye har malaal aayaa hai
                                vo ek shaKhs ki haasil na thaa jo Khud ko bhii
                                miTaa kisii pe to kaisaa bahaal aayaa hai

                                Comment

                                Working...
                                X