Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    Yun karwaan zeesat rawaan hai keh sath sath
    raftar mein hain badah gusaron key qaafley
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      yoon bhi tu jeetay thay ab bhi jee jayein ge
      tum ne yaad kiya tu kya tum ney bhula diya tu kya

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        Is Ajnabi Dunia Mein Koi Bhi Apna Nahin
        Gairon Ki Aankhon Mein Apni Surat Dhundthii Hoon
        Umeed Ki Thi Pyar Ki Bas Yehi Bhool Thi Meri
        Girte Hue Ashkon Mein Apni Hasrat Dhundthii Hoon
        sigpic


        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          Originally posted by Wafa View Post
          Is Ajnabi Dunia Mein Koi Bhi Apna Nahin
          Gairon Ki Aankhon Mein Apni Surat Dhundthii Hoon
          Umeed Ki Thi Pyar Ki Bas Yehi Bhool Thi Meri
          Girte Hue Ashkon Mein Apni Hasrat Dhundthii Hoon
          Nahin hoon aap apni dastaras mein
          Us ko jab se muyassar ho gaya hoon :)
          sigpic

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            Nakaam rahey nashaad rahey taqdeer bhi ham sey rooth gaii
            jis shaakh peh ham ney haath rakha woh shaakh wohi sey tooti gaii
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              nakash thy hath ki lakeron par,desteras se magar pere magar tum thy,
              hum ne jis raha ka intaghab kia,us k har mor par khare tum thy
              sigpic

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                intaghab nahi shaid aap intakhab likhna huga

                waisy achi choice hay

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  Originally posted by Raniya Asif View Post
                  nakash thy hath ki lakeron par,desteras se magar pere magar tum thy,
                  hum ne jis raha ka intaghab kia,us k har mor par khare tum thy
                  Raniya ham aap ko Pegham per welcome kartey hain aur is thread mein bhi jo hamara bohat aham thread hai. Aap sey siraf itna kehna tha keh Bait Bazi key qanoon key mutabiq jis harf per shair khataf hota hai usi sey doosra shair shuru kiya jata hai :)

                  Yeh muhabbaton ki amanatein yehi hijartein yehi qurbatein
                  diyey baam-o-dar kisi aur ney to raha basa koi aur hai

                  next yey
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    ye b sabab hai dard ke berhne ka doston
                    manoos ho gaye thy bohat charagar se hum
                    sigpic

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      muhabbat karney waley kam na hongey
                      teri mehfil mein lekin ham na hongey
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        Yun tu nahi Hotay hum Kisi say B Naaraz kabhi
                        Laikin Howay Hein Hum khafa Iss Bar khudi say
                        Huma

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          Yeh dard ki tanhaiyaan yeh dasht ka weeran safar
                          ham log to uktaa gaey apni suna, aawargi
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            Yeh Alfaaz JO sahara rahay
                            Ab Wo Dil Ki raah Bhi Bhoolay
                            Hum Bhi Ho liyay zindgee Ki Taraf
                            zinda Rehany ki wajah Thay Bhoolay
                            Huma

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              yahan qadar kya dil ki ho gi, yeh duniya hai soda'garon ki
                              muhabbat ka dil thokron mein hai qeemat yahan pathron ki
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                Yadoun say jab koi apna Jhankay
                                aankhoun say Phir Moti barsey
                                Munn Mein Aag Milan Ki jaagay
                                Tanaha Dil Phir machlay tarsay

                                Huma

                                Comment

                                Working...
                                X