Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    ik woh hi nahin tarke-e-ta'aluq peh pasheman
    hai ahl-e-wafa ko bhi nidamat, ussey kehna

    alif again :p
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      Originally posted by Masood
      aaj kisi ney dil torra to ham ko jaisey dhiyaan aaya
      jiska dil ham ney torra tha, woh janey kis haal mein hoga

      Alif
      abhii to badan meN lahuu hai bahut
      qalam chiin le raushanaayii naa day
      aPNe eHsaaS Se cHoo Ker MujhaY SandAL kErdo
      maiN saDiYoN sE aDhori hUN mukammaL kErdo

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        ye aber ka aik tukra kahan kahan barse
        tamam dasht hi piyasa dikhai deta he

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          Yaadon mein kisi ko yaad kartay hain
          Zindagi hum unkay naam kartay hain

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            Na ganwaoun navik-e-neem kash dil reza reza ganwa diya
            jo bachey hain teer samet lo, dil-e-dagh dagh jala diya

            alif
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              Ashkon se mere chalakata hai Wafa ka Samandar
              Har Lehar uthati hai tujhe panay ka Arman lekar

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                rukh-e-roshan key aagey shama rakh ker, woh yeh kehtey hain
                udher jata hai dekhein ya idher parwana aata hai

                yey
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  Yun tou zindagi dam-ba-dam be-mayenay rahi,
                  aaj dekhoon tou meri zeest ka unwaan hai koi

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    yehi shehar-e-gham ka naseeb hai keh woh roshni ka naqeeb hai
                    jo chura geya hai kiran kiran, jo bujha geya hai diya diya

                    alif
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      Ab to Har taraf Khilli hai Apni Mehfil ki Mehak
                      Dil ke veeranay mein yeh Baat kahan thi pehle

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        yeh kah key shehar sey ik qaafila rawana huwa
                        chalo yahan sey yahan khatam aab-o-dana huwa

                        alif again :p
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          :p koi baat nahi

                          Ab to har gum pe andesha hai kho janay ka
                          Har taraf bheed hai, jis taraf nazar jaati hai

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            Yaad-e-Maazi azab hai yaRab
                            cheen ley mujh sey hafiza mera

                            (yeh jaan boojh ker lagaya hai amber ko pataney key liye - keh phir sey alif :p)
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              Mujhe paata hai jaan buj kar kiya hai


                              Aankhen Hazar zabt ki koshish ke bawjood
                              Ruk Ruk ke baar baar barasti hain aaj bhi

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                amber aap kya karein gi, kyun keh i can continue like this :p

                                yeh uzar imtihaan jazb-e-dil kaisa nikal aaya
                                main ilzaam unko deta tha, qasoor apna nikal aaya

                                alif :zuban:
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X