Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    Ab Main kya kar sakti hun:(


    aziiz itanaa hii rakho ke jii sa.Nbhal jaaye
    ab is qadar bhii na chaaho ke dam nikal jaaye

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      bohat pyari ghazal hai - aziz itna hi rakho keh dil sambhal jaey :)

      Yeh raat, yeh sakoon, yeh dil ki udasiyaan
      dard aik ho to uskey liye jagtey rahiye

      yey
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        jee bilkul

        yaa mere zahan se yaado.n ke diye gul kar do
        mere ehasaas kii duniyaa ko miTaa do ham-dam

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          apna aik shair hai:

          Masood yehi dastoor-e-duniya hai issey qabool ker
          harf-e-shikayat bhi lab peh lana na bhool ker
          duniya ki pehli chot per tu roney laga, pagla!
          ley merey deewaney dil, pyar ka tohfa qabool kar

          Rey
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            Wah nice shair....aur mushkil bhi nahi tha:p


            Roshni say bohat duur chala aaya mein
            youn zindagi mein meri andhera cha giya
            mein nay to har baat yaad rakhi terii
            Wo tu he tha jo mera pyar bhoola giya

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              :a stick: to kya merey shair mushkil hotey hain :tauba

              Ik churaey huwey napak tabassum key ewaz
              us ney becha hai sulagtey huwey askhon ka gharoor

              Rey :zuban:
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                Rastoun pay na beathoo kay hawa tang karey gee
                bichray hovey logoo ki sada tang karey gee













                theek likha hai na :cc:
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  Ye se
                  YUN TO PYAAR DUNIYA KA MERAY SATH HAI LEKIN!
                  MAAN TERI DUAAON KI BAAT HEE NIRALI HAI

                  Next Ye
                  sigpic

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    ye bhi khadsha k bichhar ker main bhula hee na sakun
                    ye bhi mumkin hai k tum yaad na aao mujhko
                    hum ko maloom hai hum kis se kahan haray hain
                    aaj tum qissa purana na sunao humko
                    next wow
                    Last edited by Eshaa Chaudhry; 20 March 2006, 05:11.
                    sigpic

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      Wo khaab tha bikhar gaya khial tha mila nahin
                      magar dil ko kia huaa ye q bujha pata nahin
                      her ek din udaaas din , tamam shab udaasiyan
                      kisi se kia bichhar gaey k jessay kuch bacha nahin

                      noon
                      sigpic

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        yeh zarori nahi har shaks masiha hi ho..
                        pyaar ke zakhm amanat hain dhikaya na karo


                        Next ...O
                        Last edited by Kainat; 20 March 2006, 07:42.

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          woh rooey rangeen woh maujah-e-yamm keh jaisey damaan-e-gul peh shabnam
                          yeh garmi-e-husan kah hai aalam araq araq hain naha rahey hain
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            Na koi tahreer jagti hai, na ab koi harf bolta hai
                            na aank raston ko dekhti hai na rah manzil say aashna hai

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              yeh ranjish main ham ko hai be'ikhtiyari
                              tujhey teri khaa ker qasam dekhtey hain

                              Noon
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                Na zindigi hai na zindigi mein visaal mosam ki chah koi
                                Na shairi hai na shairi mein jo dukh hai iss say panah koi

                                Comment

                                Working...
                                X