Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    yeh hami they jin key libas per sar-e-reh siyahi likhi gaee
    yehi daagh they jo saja key ham sar-e-bazm-e-yaar chaley gaey

    Yey
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      Yaadein tera Sulook ki dasti hain aaj bhi
      Milnay ki Arzoo Me Tarasti hain aaj bhi

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        Yar-o-Ghamkhaar mera haal to sab poochhtey hain
        phir pooch keh sab kehtey hain keh qismat teri

        yey
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          yeh ghazal nahi mere ghazal
          yeh ghazal alam ki hai dastan
          koi ghum na koi sarkashi
          mere zindagi khula aasman

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            Nadaan ho, jo kehtey ho keh "kyun jeetey hain Ghalib?"
            qismat mein hai marney ki tamana koi din aur

            rey
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              ret pe lekh ke mera naam mitaya na karo,
              ankhein sach boltei hai pyar chupayaa na karo

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                woh kahin bhi geya, lauta to merey paas aaya
                bas yehi bhaat hai achhi merey harjaee ki

                yey
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  yeh tamana hai tujhay apna bana kar rakhoon
                  sari duniya sey pare khud mein chupa kar rakhoon

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    apna shair hai:
                    Nadamton sey jhuka huwa hai sar, issey urra do
                    aey meri mehboob-e-nazar, koi karri saza do

                    wao
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      hmm nice

                      Woh aik shakhs saray jahan say zara juda
                      umeed meri aas meri hausla mera
                      aiwan-e-dil mei aatish-e-chahat laga gaya
                      din ka sukoon raat ki neendein chura gaya

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        ab to ghabraa key yeh kehtey hain keh mar jaein gey
                        mar key bhi chain na paya to kidher jaein gey?

                        yey
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          Yeh sach hai un se nigahain kabhi mila na sakay
                          hum un ki yaad ko lekin kabhi bhula na sakay

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            Youn khoay tere yaad main ky khudko bhula diya
                            jesy hum ko khud say bhe koe wasta na ho


                            wao

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              Wafa ke paasbaan hain,jafa bhala kiya jaanein
                              aik tum hi to faqat,wafa ke alamdar na thay

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                yoonhi bhar aey ankhon me ansoo
                                jaeay aap! koi baat nahi

                                Comment

                                Working...
                                X