Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    aadmi , aadmi ko kiya de ga
    jo bhi de ga wohi khuda de ga

    mera qatil hi mera munsif hai
    kia mere haq main faisla de ga

    zindagi ko qareeb se dekho
    is ka chehra tumhain rula de ga

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      aey lazzat-e-zindagi key munkar
      ik baar kisi sey pyar kar ley
      jab tak main tera jamaal dekhoon
      tu zakhm merey shumaar kar ley
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~


        YaRab naseb onn ko bhi ho dard-e-dil aisa
        keh yaad karein hum ko bhi lay kar wo tera naam

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          main jab bhi sochoon tera naam, kuchh phool khiltey hain
          yadon key andheron mein deep terey naam key jaltey hain
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            Na Karien Yaad Onhein Jin Nay Aapko Bhulya Hay
            Inn Akhoun Ko Kitnay Pehroun Talak Rulya Hay=

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              yeh aur baat keh duniya mujh ko behlati rahi
              magar aey dost meri zindagi mein teri kami rahi
              Last edited by Masood; 7 November 2006, 22:42.
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                Yaad karnay say koi yaad kahan aata hay huma~
                Bhool jatay hein wahi jin ko kiya hum nay yaad

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  Dil diyaa jan ker ku us ko wafadar asad
                  ghaliti ki k jo kafir ko muslaman samjhaa

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    ONN ki yaad tu shayd naseeb mein hee nahi GUL kay
                    keh onn k sath guzray pal hamein tanha nahi kartay
                    >>

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      Yuun sjaa chaand ki jhalkaa tere andaaz kaa rang
                      yuun fizaa mahkii ki badlaa mere hamaraaz kaa rang
                      Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
                      Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
                      Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
                      Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        Ghistey ghistey mit jata ,app ney abas badlaa
                        tang sajdaa sey meraa,sanga astan apnaa

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          Aankh mein neend c aayi howi
                          yaad mein kisi kay jo parai howi
                          Aaj iss raat k iss pehar mein huma~
                          YUUN kis ki yaad hay aayi howi=

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            yun dey ker gar tu ney intizar ki zehmatein
                            aazmana tha aey dost merey zabt ka hosla
                            shaam-e-abad to aa gaii rah taktey takteky
                            dey dena tha tu ney maut ko bhi sandesa
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              aa gaii yaad shaam dhaltay hi
                              bujh gya dil charagh jaltay hii

                              khul gaye shehar-e-gham k darwazay
                              ik zara sii hawa kay chaltay hii

                              tuu bhi jaisay badal sa jata hai
                              aks-e-deewar kay badaltay hii
                              Last edited by MuQadas; 8 November 2006, 10:45.

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                Ahat jab bhi howi koi sher-e-odass mein
                                Hum wo Jamal lamhay bass dhoondhtay rahay

                                Comment

                                Working...
                                X