Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    YaaroN ki mohabbat ka yaqeen kar lia meiN ney
    haathoN meiN chupaya huwa khanjar nahi deikha
    :)

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      Us ney awar mizaj ko naya mor diya,
      paba zanjeer kia or mujhey choor diya
      os ney anchal sey nikalii meri gumgushta bayaz
      chupke sey mohabat ka warq mor diyaa
      hum ko maloom thaa anjam-e-mohabbat
      hum ne akhri hurf sey pehley hi qalm tor diyaa

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        andaaz apna dekhtey hain, aainey mein woh
        aur yeh bhi dekhtey hain, koi dekhta na ho
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          Wasta tha olfat ka, Tanhai bhi olfat mein
          Aaiyna he ho gay thay saray jazbay olfat mein >>> :)

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            Naam tera jo aaey ulfat ki galiyon mein sanam
            tasweer teri saja doo GUL ki kaliyon mein sanam
            :)
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              Mein Oarh loun Ridaa jab bhi teri yadoun ki
              Mujhay sujha-ee hee na day phir kisi judai ka ghum:)

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                madgham ho jaein ham yun aik doosrey mein
                keh taqdeer bhi bol uthey, tumhein juda kaisey karoon
                :)
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  Na meray Qalm say likhi gai na meri zaban say ada hui
                  Jo nazar say kehnay ki baat hay kisi hurf may na samajh aye gi
                  Koi phool chunta hay kis liye koi dhul hota hay kis tarhan
                  Ye waqt waqt ki baat hay tujhay zindagi bataye gi !!

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    yun lagey dost tera mujh sey Khafa ho jana
                    jis tarah phool se Khushboo ka juda ho jana
                    ahal-e-dil se yeh tera tark-e-ta'alluq
                    waqt se pahle aseeron ka riha ho jana
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      udaas logon se pyar karna koi tau seekhay
                      sufaid lamhon main rang bharna koi tau seekhay

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        yun agar ho to jahan mein koi kaafir na rahe
                        mo'ajza tere wadey ka wafa ho jana
                        zindagi main bhi chalunga tere pichhey pichhey
                        tu mere dost ka naqsh-e-kaf-e-pa ho jana
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          ik shaam ki tooti hoi dehleez peh baithayy
                          hum dil kay ujarrnay ka sabab soch rahay hain

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qarar hoon
                            jo kisi ke kaam na aa sake main woh ek musht-e-ghubar hoon
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              Naey safar pe ravaana huwa hooN az'sar-e-nao
                              jab aaoN ga to mera naam bhi nayaa rakhna
                              hisaar-e-shaoq utthaana Zafar zaroor magar
                              kisi taraf sey nikalney ka raasta rakhna
                              Last edited by MuQadas; 7 November 2006, 19:42.

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                ik umer ulajhta raha duniya ki hawa sey
                                kya main bhi tere kaakil-e-pechaan ki tarha tha
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X